Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~* Bila Unwan *~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~* Bila Unwan *~

    Main suna karta tha kai insaan pathar ho jatey hain .!! Insaan janwar ban jatey hain .!! Misal hee tehree par aaj dekh bhi raha hoon mehsoos bhi kar raha hoon main .!! Wo sab jo main suna karta tha ..!! Sun kar main has deya karta tha yaa lanat malamat kya kerta tha .!! Aaj main khud pathar ho gya aur shayad janwar bhi ..!! Kya kabhi kisi nai kisi pathar ko insaan bantey dekha ? kisi janwar ko insaan bantey dekha ? Mujhey bhi yehi lagta hai kai ab pathar ka ho kar reh gya hoon main na koi jazba na koi shoaq na dil main koi umang na koi umeed ..!! Ik janwar bhi yehi kerta hai subah ghar sai nikla shikar kya apney zinda rehney ka bandobast kya aur phir wapis ghar ..!! Aaj ik janwar main aur mujh main koi faraq nahi raha ..!! Aisa kyun hua kasey hua ? Loag aksar poochtey hain mujh sai kai mujhey khud sai nafrat kyun hai .!! Ab kisey kya bataon main ..!! Kai ik janwar kyun kar bana tha yaa kyun kar ban gya main .!! Mujhey to khud merey kitney hee sawalon kai jawab nahi miltey main to khud talash kerta kerta thak chuka hoon ..!! Ab mujh sai nahi talashi jatee wo zindagi wo khushi wo zinda dili .!! Ab main bas wohi janwar hoon wohi pathar hoon ...!!! Na pathron ki taqdeerein kabhi badlein na janwaron ki sab ik sa he hai .!! Na hosh pathron ko kai janey kaun kahan sai thokar maar jaye aur na hosh janwaron ko kai na janey kaun kahan sai shikar kar jaye ..!! Main ab wasey hee hoon ..!! Par ab ye sab mujhey acha lagney laga hai logon ki thokarein mujhey sakoon deney lagi hain kisi janwar kai jasee zindagi sai mujhey mohabbat honaey lagi hai ..!! Mujhey ab aur kuch nahi chayeh meri ab aur koi tamana nahi ..!! Main janwar main pathar main aisey hee bhala ..!!


  • #2
    Re: ~* Bila Unwan *~

    :cc:

    Comment


    • #3
      Re: ~* Bila Unwan *~

      hmmmm :)
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: ~* Bila Unwan *~

        Originally posted by shy
        :cc:
        Parhney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

        Comment


        • #5
          Re: ~* Bila Unwan *~

          Originally posted by ~khawahish~
          hmmmm :)
          Parhney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

          Comment


          • #6
            Re: ~* Bila Unwan *~

            khud ko ainda ye sab kehnai ki kio zaroorat nahi na hi mujhe sunna hai ye /hammer

            khush raha karain bas :)

            Comment

            Working...
            X