Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~* Nishan-e-Ibrat *~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~* Nishan-e-Ibrat *~

    Saree umr bhagta raha ..!! Ab tak bhaag raha tha main ..!! Ik khushi bas ik khushi ki talash main ..!! Thokar khata tha sambhalta tha phir bhagta tha janey kyun manzil saaf dikhti thi mujhey ..!! Kayee baar mara kayee baar jiya main bas faqat ik khushi kai liye ..!! Mujhey ilm na tha kai wo manzil jisey pana hai mujhey wo ik khushi jis kai liye bhag raha hoon ..!! Wo to maut hai meri zindagi mera ye safar sab kuch baeykar hai mera girna mera sambhalna mera uthna phir bhagna un burey halon main ..!! Ik us zinda shaks jaisa jo murda tha murda hai aur rahey ga ..!! Jaga lanat malamat wo logon ka mujh ko dekh ker hasna ..!! Mujhey ilm na tha kai main to Nishan-e-Ibrat hoon OUS kai bandon kai liye ..!! OUS nai mujhey Nishan-e-Ibrat ban'aney ko paeda kya .!! Mera Girgarana mera tarasna mera tarapna wo sab wo sab ka sab OUS nai meri qismat main likh dala tha ..!! Aur wo Ibrat ki mohar kisi paeda'eshi nishan ki tarhan merey mathey par thi ..!!

    Main dekha karta tha logon ko un ki khushion ko .!! Jo kuch pal merey saath chaley aur phir sab apni apni manzil patey rahey main un ko dekhta raha tarasta raha kai meri manzil ..!! Kab aye gi ?

    Par main nadan tha janta nahi tha kai main Nishan-e-Ibrat hoon meri manzil bas maut hai ..!! Mujhey Ibrat rehna hai kai OUS kai aur bandey mujhey dekh kar sabaq hasil karein aur meri Khaufnaak maut un sab kai liye Misal baney ..!!

    Aaj main mar raha hoon ..!! Haan mar raha hoon main merey jism main harkat baqee nahi rahee..!! Loag merey apney merey gird jama hain koi haath barha kar mera sar apni gaud main nahi rakh raha ..!! Kyun .!! ? kyun kai wo sab jaan gaye kai main ..!! Main to Nishan-e-Ibrat hoon aur un ko mujh sai sabaq lena hai ..!! Dhadkanein abhi chal rahee hain sansein abhi toot rahee hain ..!! Mera dil kisi nai daboch rakha hai aur dard itna ..!! Itna kai ik cheekh ka bhi haq nahi raha mujh ko ..!! Mann hee mann main pukar raha hoon keh raha hoon kai aey logo seekho mujh sai dekho mujh ko Ibrat hasil karo ..!! Main wo hoon jo faqat ik khushi ko tarsa hoon ..!! Ta hayat manzil ko paney kai liye bhaga hoon ..!! Par dekho meri manzil kaun thi mujhey paeda karney ka maqsad kya tha ..!! Main sabaq hoon tum sab kai liye seekho aur dua karo kai WOH phir koi Nishan-e-Ibrat paeda na karey jis sai tum sab sabaq hasil kar sako ..!!!
    Last edited by WorThless; 3 September 2005, 18:46.


  • #2
    Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

    US zaat ney kisi aik insaan ko kisi aik kaam key liye chun liya hai. Har bandah usi key diyey huwey kaam poorey kar raha hai. Usney kisi ko zindagi ki umeed deney key liye chun liya hai to kisi ko zindagi sey mayoos karney key liye. Kisi ko meenara-e-noor bnaa diya hai to kisi ko nishan-e-ibrat! Insaan sey insaan ko sabaq seekhna chahiye. Magar ham nahin seekhtey..........


    Likhtey rahiye :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

      Bohat khoob Forum Admin jee......lihkte rahye kalam insaan ka sathi hay tanahi main bhi aur..............kya kahon :D
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

        Merey alfaaz gum ho gaye hien magar aik cheez mey add kerna chahun gi InshAllah

        mey ney aik jaga perha tha key
        Allah ka naik banda Allah T'ala sey khoob girha girha ker aur ro ro ker dua ker raha tha us ko isi tarhan teen din ho gaye yani wo her roz isi halat mey dua kerta

        aur doosri taraf Allah ka nafarmaan banday ney Allah sey dua ki to wo qabool ker di gai

        Farishton ney Allah T'ala sey poocha to Allah T'ala ney farmaya key
        Mujhey wo (naik banda) bohot payaara lagta hai key jab wo merey saamney rota hai girh girhata hai mey chahta hun key isi tarhan mujh sey maangey
        Aur (nafarman banda) key liye is key opposite
        (Allah mujhey ma'af karey ghalti kerney per)


        deykhein Allah ka payyar...
        Allah hamesha apney naik bando ko test kerta hai ta key jab hum us key paas jayein to ham bilkul pure hon inshAllah kyoon key zindagi mey jitni bhi takleef milti hai wo hamarey gunah kam kerti jati hai
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

          bohat mayoos kun soch he aap ki wese lafzon se acha khelna ata he aap ko :thmbup: ager ho sake to inpage me likha karen plzz :)

          Comment


          • #6
            Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

            :) kya kaho'n :ss




            Buhat sara khush rahyeah :rose
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment


            • #7
              Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

              Originally posted by Masood
              US zaat ney kisi aik insaan ko kisi aik kaam key liye chun liya hai. Har bandah usi key diyey huwey kaam poorey kar raha hai. Usney kisi ko zindagi ki umeed deney key liye chun liya hai to kisi ko zindagi sey mayoos karney key liye. Kisi ko meenara-e-noor bnaa diya hai to kisi ko nishan-e-ibrat! Insaan sey insaan ko sabaq seekhna chahiye. Magar ham nahin seekhtey..........


              Likhtey rahiye :)
              To ab seekh jao na jaan meri parhney ka bohat shukriya jeetey raho khush raho sada abad raho

              Comment


              • #8
                Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                Originally posted by YAARAM
                Bohat khoob Forum Admin jee......lihkte rahye kalam insaan ka sathi hay tanahi main bhi aur..............kya kahon :D
                Aji sahib kuch na kahyeh parh liya aap nai bohat hai shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

                Comment


                • #9
                  Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                  Originally posted by barg.e.gul
                  Merey alfaaz gum ho gaye hien magar aik cheez mey add kerna chahun gi InshAllah

                  mey ney aik jaga perha tha key
                  Allah ka naik banda Allah T'ala sey khoob girha girha ker aur ro ro ker dua ker raha tha us ko isi tarhan teen din ho gaye yani wo her roz isi halat mey dua kerta

                  aur doosri taraf Allah ka nafarmaan banday ney Allah sey dua ki to wo qabool ker di gai

                  Farishton ney Allah T'ala sey poocha to Allah T'ala ney farmaya key
                  Mujhey wo (naik banda) bohot payaara lagta hai key jab wo merey saamney rota hai girh girhata hai mey chahta hun key isi tarhan mujh sey maangey
                  Aur (nafarman banda) key liye is key opposite
                  (Allah mujhey ma'af karey ghalti kerney per)


                  deykhein Allah ka payyar...
                  Allah hamesha apney naik bando ko test kerta hai ta key jab hum us key paas jayein to ham bilkul pure hon inshAllah kyoon key zindagi mey jitni bhi takleef milti hai wo hamarey gunah kam kerti jati hai
                  Merey gunah to barhtey hee chaley gaye khair chorye ye sab parhney ka bohat shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                    Originally posted by shy
                    bohat mayoos kun soch he aap ki wese lafzon se acha khelna ata he aap ko :thmbup: ager ho sake to inpage me likha karen plzz :)
                    Haan khel hee to hai dhong hai :) parhney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                      Originally posted by ~khawahish~
                      :) kya kaho'n :ss




                      Buhat sara khush rahyeah :rose
                      Parhney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                        Originally posted by ForumAdmin
                        Merey gunah to barhtey hee chaley gaye
                        :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                          Originally posted by Masood
                          :)
                          Kya soch rahey ho ?

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                            Originally posted by ForumAdmin
                            Kya soch rahey ho ?
                            Yeh soch nahin muskrahat ki icon hai. Aur muskraa kyun raha hoon samajh jaein :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~* Nishan-e-Ibrat *~

                              Originally posted by Masood
                              Yeh soch nahin muskrahat ki icon hai. Aur muskraa kyun raha hoon samajh jaein :)
                              Mujhey laga kai muskuratey huye kuch soch rahey ho :) khair ye icon nahi emotion hai acha ab jaldi sai bata do kai muskura kyun rahey ho ?

                              Comment

                              Working...
                              X