Aik tanawar darakht pehley aik poda hota hai aur is sey pehley aik beej jis ki nasho-numa----nazron sey ojhal zameen ki gehraiyon mey hoti hai leykin aik waqt aeysa bhi ata hai jab yahi chota sa beej hamein aik nanney sey podey ki soorat mey nazar aata hai---yahi haal Muhabbat ka bhi hai --ye aik beej ki tarhan dil mey pinapti hai aur apni tamaam tar nasho-numa key baad zahir ho jati hai bilkul ussi nanney podey ki manind jo apni bharpoor tawanai key sath zameen ki sakht matti sey bahar nikalney mey kamyaab ho jata hai-
issi liye Muhabbat ka izhaar na bhi kiya jaye to ye khamoshi sey zahir ho jati hai- aur insaan ko pata bhi nahi chalta----
Comment