Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hazaron khawahishein aeysi!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hazaron khawahishein aeysi!

    yunheen sochtey sochtey .....

    ------------
    hazaron khawahishein aeysi!

    kehtey hein key insaan agar khawahish kerna shuru ker dey to phir ye kabhi khatam nahi hotein - yani key her khawahish ki takmeel key baad aik nai khawahish janam ley leyti hai - aur phir ye siisila chal nikalta hai

    khawahish kerna koi bura nahi hai agar ye haqeeqat sey mabra na hon---ab haqeeqat mey rehtey huye "khawahish" kerney ka ye matlab hai key aap ussey apni mehnat sey hassil bhi ker sakein---

    yahan aap key zeyhan mey ye khayal bhi zaroor aye ga key mehnat ki base per to hum sab kuch haasil ker saktey hein--zaroor hasil ker saktey hein leykin ye tabhi ho sakta hai key jab aap zaati taur per haqeeqat pasand hon



    is ko aap yun samaj lein key tamaam insaan aik doosrey sey mukhtalif hotey hein ---hamara intelligence level--hamari soch--hamari capabilities--hamari kaam kerney ki salahiyat-- hamari inner strength---ye tamaam aik doosrey sey different hein......kyun key Allah T'ala ney hamein aeysey hi banaya ha...

    aur ye sab aeysa iss liye bhi hai ta key ye kainaat balance rahey---


    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Hazaron khawahishein aeysi!

    Asalamoalakium Xenya ....younh sochte sochte bhi bohat kuch likh diya:ff:
    bohat achee aur realistic soch hai .......very well written
    I would love to read more from you
    :hug:
    khush raho
    If Allah brings you to it, He will bring you through it.

    Happy moments, praise Allah.
    Difficult moments, seek Allah.
    Quiet moments, worship Allah.
    Painful moments, trust Allah.
    Every moment, thank Allah.



    Comment


    • #3
      Re: Hazaron khawahishein aeysi!

      shurkan NaQsh! :rose

      inshAllah 'll share with you guyz :)
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Hazaron khawahishein aeysi!

        bohat acha likha he aapne :clap:
        keep it up !!!:donno:

        Comment


        • #5
          Re: Hazaron khawahishein aeysi!

          perhney key liye shukrya wareesha :rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Hazaron khawahishein aeysi!

            goodie good xenya ji :blush: keep it up
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: Hazaron khawahishein aeysi!

              Nice writing dear....:thmbup:

              Main agree krti tu hoo app ki baat sey ..pr kabhi kabhi insan kuch aisi khuwahishain bhi kr beth'ta hai jo ba'zahir mumkin hoti hai phir bhi poori nahi hoti koi chooti si rukawat ajatai haii ,koi mamooli si baat hojati hai tu kabhi sirf 2qadm ka fasla hota haii pr zamaney or halat ki zanjeer kabhi aisi bhi hoti hai k hum chahtey howey bhi woh 2qadm ka fasla nahi tey kr pateyy k humara bharm baqi reh jayee ya hum pr kisi ka bharm na totey ..ab yeh 2qadm ka fasla kin kin soortoo main hosakta hai yeh kisi poori tehrer main likhoongi...
              Yeh baat bauht achi hai ager waqai thora sa is pr amal kr liya jayee tu zindagi khasii asaan hojati haii or 2ndly hum pachtawey ,dukh or karb sey bach jatey hain .....

              Comment


              • #8
                Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                Assalaam-0-Alaikom:rose

                buht acha msg diya hai GUl sis
                khush rehiye:phool:
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #9
                  Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                  Originally posted by yellowsky View Post

                  is ko aap yun samaj lein key tamaam insaan aik doosrey sey mukhtalif hotey hein ---hamara intelligence level--hamari soch--hamari capabilities--hamari kaam kerney ki salahiyat-- hamari inner strength---ye tamaam aik doosrey sey different hein......kyun key Allah T'ala ney hamein aeysey hi banaya ha...
                  hehehe
                  we are popput in the hand of GOD....yehan to ap ny khudh hee tasleem ker lia hay:khi:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                    Originally posted by Khalil View Post
                    hehehe
                    we are popput in the hand of GOD....yehan to ap ny khudh hee tasleem ker lia hay:khi:
                    aur aap ka reply in other thread bhi yaheen quote ker deyti hun

                    Originally posted by Khalil View Post
                    thanks...
                    acha ap mujy batao k aap apni marzi sy kitna kam ker sakty hu
                    aap apni marzi sy jaag sakty hu apni marzi sy soo skty hu
                    gee sakty hu...apni marzi kee shakal sy paida hu sakty hu.?
                    apni marzi sy apni gence change ker sakty hu?

                    chaloo yeh to bari batian hugai hay ap dekhoo
                    kia aap martina hingas kee tarah tannes khel sakti hu?
                    kia aap Aquari jaisi tehreer likh sakti hu kia masood jaisy poetry ker skti hu?
                    mundy sialkoti jaisi bongia mar skti hu rida jaisi desiging ker skti hu?
                    her wakt :tauba aisa ker skati hu?
                    nahi kuch limitation hian ap es k beyond kuch nahi kar skty?
                    kia ap etna paison ka entizam ker skati hu k main kaheen abroad chala jaon..........????
                    aap kuch bee nahi kar skti..............:khi:
                    ager ap ko time mily to please aik novel hay with nobel prize
                    waiting for GODOT wo dekhain.
                    jo Qadha al Qadr hai, hamara uss pey bilkul yaqeen hona chahiye ...theek...leykin iss ko sirf itna hi study kerna chahiye key hamein samaj aa jaye key ye hai kya aur bas....agey full stop.......kyun key iss key ander jitni gehrai mey aap jao gey ho sakta hai key aap gum ho jao.....

                    now coming to your points

                    in v short ...


                    Mey ney likha hai key Kainaat mey balance rakhney key liye Allah T'ala ney hamein different banaya hai aik doosrey sey .... her bandey key paas diff. skills hein ....

                    sirf ye deykh lein key agar sab logon ka intelligence level aik ho to kya ye dunya chal sakti hai?

                    apney liye kha makha mey mushkilaat mat khari kiya karein :thmbup:
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                      Originally posted by aquari View Post
                      Nice writing dear....:thmbup:

                      Main agree krti tu hoo app ki baat sey ..pr kabhi kabhi insan kuch aisi khuwahishain bhi kr beth'ta hai jo ba'zahir mumkin hoti hai phir bhi poori nahi hoti koi chooti si rukawat ajatai haii ,koi mamooli si baat hojati hai tu kabhi sirf 2qadm ka fasla hota haii pr zamaney or halat ki zanjeer kabhi aisi bhi hoti hai k hum chahtey howey bhi woh 2qadm ka fasla nahi tey kr pateyy k humara bharm baqi reh jayee ya hum pr kisi ka bharm na totey ..ab yeh 2qadm ka fasla kin kin soortoo main hosakta hai yeh kisi poori tehrer main likhoongi...
                      Yeh baat bauht achi hai ager waqai thora sa is pr amal kr liya jayee tu zindagi khasii asaan hojati haii or 2ndly hum pachtawey ,dukh or karb sey bach jatey hain .....
                      do baatein hain Aquari,

                      1- ye key baa'z dafa beyshak bazahir wo manzil asaan lagti hai magar ham jaantey key ye goal achieve nahi ker saktey hein leykin phir bhi hum step leytey hein, apney aap ko jhooti tassali dey ker key " nahi.....hum ker lein gey" something like this......ye sirf apney aap ko dhoka deyna hai :)

                      2- Aeysa bhi hota hai key poora raasta/ struggle bohot smooth hoti hai leykin manzil per phonchney sey aik qadam key faasley per hi kuch na kuch ho jata hai (iss ki reasons kuch bhi ho sakti hein) , ye baat mey maanti hun .....leykin hamara iss baat per bhi to yaqeen hai key Allah T'ala hamesha apney bando key liye behtar nahi balkey behtareen chahtey hein aur behtareen hi kertey hein ..... :alhamd:

                      magar make sure key give up tabhi karein gey jab hum saari possible solutions try ker lein .....:thmbup:

                      theek ?
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        goodie good xenya ji :blush: keep it up
                        shukran :rose

                        Originally posted by Rida View Post
                        Assalaam-0-Alaikom:rose

                        buht acha msg diya hai GUl sis
                        khush rehiye:phool:
                        walaikum salam Rida,

                        thanks larki :rose
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                          As salam o alaikum

                          boht aala Yellow dear ...:thmbup:
                          boht umda baat:)
                          khush rahoo
                          n keep sharing

                          Comment


                          • #14
                            Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                            Originally posted by yellowsky View Post
                            aur aap ka reply in other thread bhi yaheen quote ker deyti hun



                            jo Qadha al Qadr hai, hamara uss pey bilkul yaqeen hona chahiye ...theek...leykin iss ko sirf itna hi study kerna chahiye key hamein samaj aa jaye key ye hai kya aur bas....agey full stop.......kyun key iss key ander jitni gehrai mey aap jao gey ho sakta hai key aap gum ho jao.....

                            now coming to your points

                            in v short ...


                            Mey ney likha hai key Kainaat mey balance rakhney key liye Allah T'ala ney hamein different banaya hai aik doosrey sey .... her bandey key paas diff. skills hein ....

                            sirf ye deykh lein key agar sab logon ka intelligence level aik ho to kya ye dunya chal sakti hai?

                            apney liye kha makha mey mushkilaat mat khari kiya karein :thmbup:
                            jee han ap kee batian bee theek hay....
                            insaan sab kuch ker skany k baad bee kuch nahi kar sakta hay

                            jaisa k Great Sukrat ny kaha tha
                            kisi ny os sy pocha k tum ny sari life main philosophy sekhi hay Khuda k bary main aur apny bary main socha hay samja hay aur parkha hay akher tum kis natija per puhanchy ho to os ny pata hay pher kia jwab dia
                            I know only thing that I dont know.
                            main yeh janta hun k main kuch nahi janta.

                            Khair ap kee points bee positve aproach ky hain...aur main yeh samjta hun k ap bee theek kehti hian...

                            aagy jaisy ap kee marzi:khi:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Hazaron khawahishein aeysi!

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              do baatein hain Aquari,

                              1- ye key baa'z dafa beyshak bazahir wo manzil asaan lagti hai magar ham jaantey key ye goal achieve nahi ker saktey hein leykin phir bhi hum step leytey hein, apney aap ko jhooti tassali dey ker key " nahi.....hum ker lein gey" something like this......ye sirf apney aap ko dhoka deyna hai :)

                              2- Aeysa bhi hota hai key poora raasta/ struggle bohot smooth hoti hai leykin manzil per phonchney sey aik qadam key faasley per hi kuch na kuch ho jata hai (iss ki reasons kuch bhi ho sakti hein) , ye baat mey maanti hun .....leykin hamara iss baat per bhi to yaqeen hai key Allah T'ala hamesha apney bando key liye behtar nahi balkey behtareen chahtey hein aur behtareen hi kertey hein ..... :alhamd:

                              magar make sure key give up tabhi karein gey jab hum saari possible solutions try ker lein .....:thmbup:

                              theek ?
                              Bauht had tak main app ki baat sey mutafiq hoo dear..pr kabhi kabhi aisa bhi hota haii k hum apney ap ko dhooka nahi dey rahey hotey waqai cheez samney hoti haii pr phir bhi hum us cheez tak poohchney main 2 qadm ka fasla nahi tey kr pateyy kunk kabhi kabhi kuch cheezain hum sey jodi hoti hai jo achanak sey ahsas dila deti hain k ager us taraf qadm gaye tu hum sey dur hojaoogey tu kabhi aisa bhi hota hai k hum murawat main marey jatey hain khasa in detail topic hai is pr kuch likh kr koshish karoongi k app ko samjhaa sakoo:)
                              Haa dear Allah beshak koi behter rasta nikal deta hai after all woh umain bauht chahta hai bus kisi ko dey kr azmata hai kisiko na deker....
                              OR haa give up tub hi karoo jub hr possible solution khutum hojaye is baat pr tu na sirf mera yaqeen hai bulk mainey kai bar aml bhi kya haii ....kamyabi ya nakami yeh tu choor doo bus ha itna jantii hoo k koshish hr mumkin krti hoon..
                              Hamesha khush raheyaa or itna hi acha likhti raheyaa app sey discuss krney main maza ata haii ...:phool:.......

                              Comment

                              Working...
                              X