Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Slow poisoning!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Slow poisoning!

    Slow poisoning!

    Is term sey aap zaroor familiar hon gey.....slow poisoning...yaani key aik insaan ko ahist ahista khatam ker deyna key ussey pata bhi na chaley.....
    ye aksar politcians ko ya naamwar logon ko maarney key liye apnaya jaata hai khas ker un logon key liye jin ko aik "waar" mey maarna kisi barhey nuqsaan ki nishan dahi kerti hai

    leykin mey aaj is makhssoos kisam ki slow poisoning ki baat nahi karun gi

    Read this line

    The greatest pain in life is not to die but to be ignored...

    baaz dafa logon ko is tareekey sey bhi maara jata hai --- nazar andaaz ker key, takleef dey rawiyon sey, bey ja tanqeed sey, aeysey lafzon sey jo bazahir to kuch jumlay hotey hein leykin wo aik dil key hazaar tukrey ker deytey hein, ya phir nafrat sey bhari hui nazrein, Attitude .....

    ye sab aeysi cheezein hein jo key insaan ko ahista ahista khatam ker deyti hain


    in dono kisam key "tareekon" mey aik hi farq hai pehley mey insaan ko pabandi sey kam miqdaar mey zeyhar diya jata hai leykin wo insaan is sey bey khabar hota hai




    in dono mey aik cheez mushtariq bhi hai aur wo ye hai key dono baar aap key apney hi hotey hein jo ye kaam kertey hein -- aap key dost---aap key bohot apney!!!
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Slow poisoning!

    bohat sahee kaha hai xenya :)
    very good:)
    If Allah brings you to it, He will bring you through it.

    Happy moments, praise Allah.
    Difficult moments, seek Allah.
    Quiet moments, worship Allah.
    Painful moments, trust Allah.
    Every moment, thank Allah.



    Comment


    • #3
      Re: Slow poisoning!

      Assalam-0-Alaikom:rose

      ahan....aap writer bhi hain....buht acha laga.....buht sahih kaha.......
      dil maira bhi chahta hai sometimes likhnay ko....lakin aap loagon jaisa andaz-e-bayan kahan say laaon......:)
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: Slow poisoning!

        Originally posted by NaQsh View Post
        bohat sahee kaha hai xenya :)
        very good:)
        perhney key lyie shukrya Naqsh :rose
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Slow poisoning!

          Originally posted by Rida View Post
          Assalam-0-Alaikom:rose

          ahan....aap writer bhi hain....buht acha laga.....buht sahih kaha.......
          ws wr Rida

          Mey writer to nahi hun leykin "Qalam" meyra bohot payyara dost hai :D:


          dil maira bhi chahta hai sometimes likhnay ko....lakin aap loagon jaisa andaz-e-bayan kahan say laaon......:)


          aap dairy sey dosti ker lo.....
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Slow poisoning!

            Originally posted by Z. View Post
            Slow poisoning!

            Is term sey aap zaroor familiar hon gey.....slow poisoning...yaani key aik insaan ko ahist ahista khatam ker deyna key ussey pata bhi na chaley.....
            ye aksar politcians ko ya naamwar logon ko maarney key liye apnaya jaata hai khas ker un logon key liye jin ko aik "waar" mey maarna kisi barhey nuqsaan ki nishan dahi kerti hai

            leykin mey aaj is makhssoos kisam ki slow poisoning ki baat nahi karun gi

            Read this line

            The greatest pain in life is not to die but to be ignored...

            baaz dafa logon ko is tareekey sey bhi maara jata hai --- nazar andaaz ker key, takleef dey rawiyon sey, bey ja tanqeed sey, aeysey lafzon sey jo bazahir to kuch jumlay hotey hein leykin wo aik dil key hazaar tukrey ker deytey hein, ya phir nafrat sey bhari hui nazrein, Attitude .....

            ye sab aeysi cheezein hein jo key insaan ko ahista ahista khatam ker deyti hain


            in dono kisam key "tareekon" mey aik hi farq hai pehley mey insaan ko pabandi sey kam miqdaar mey zeyhar diya jata hai leykin wo insaan is sey bey khabar hota hai




            in dono mey aik cheez mushtariq bhi hai aur wo ye hai key dono baar aap key apney hi hotey hein jo ye kaam kertey hein -- aap key dost---aap key bohot apney!!!
            kitna sach likha Z u ne:rose

            Comment

            Working...
            X