Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon



    Alternate


    linkshttp://i4.photobucket.com/albums/y142/vakkar/kalayrangkaain.gif
    Rabb e Zidni Elmaa"

  • #2
    Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

    Waqar Masood Khan, main kon sey alfaaz istimaal karoon? Sahab alfaaz ka istimaal khoob kartey hain aap aur bohat achhi tehreer likhtey hain jab bhi likhtey ahin. Aik aisey khoobsurat andaaz mein aap ney likha hai keh kaloon ki dil aazari bhi nahin hoti aur mazah ka mazah ban jata hai. Bohat shukriyah janab-e-aala share karney ka. Khush rahiye.

    Masood
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

      hmmmm Khoob likha hai aap nay :)


      thanx for Sharing :rose


      khush rahyeah :)
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

        Waqar Masood Saahb, maazrat k sath sub se pehlay yeh kahoon gi k agar aap kalay rang ki nisbat se AHL E TASHNEEH ka zikr nah kartay to bhi aap ka mazmoon mukammal ho sakta tha.

        Agerche yeh forum sub k liye yaksaan hey mugar iss trah se kisi per teer kashi karna chahay woh mazah k rang mein ho ya sanjeedagi liye huye ho, acha nhi lagta.

        Umeed hey k aap meri bat se mutaffiq hon gay aur aainda likhtay huye iss bat ko mad e nazar rakhein gay k kisi ki bhi dil azaari nah ho.

        Comment


        • #5
          Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

          Originally posted by Masood
          Waqar Masood Khan, main kon sey alfaaz istimaal karoon? Sahab alfaaz ka istimaal khoob kartey hain aap aur bohat achhi tehreer likhtey hain jab bhi likhtey ahin. Aik aisey khoobsurat andaaz mein aap ney likha hai keh kaloon ki dil aazari bhi nahin hoti aur mazah ka mazah ban jata hai. Bohat shukriyah janab-e-aala share karney ka. Khush rahiye.

          Masood
          Muhturam masood sahib,

          MA SHA ALLAH aap ik pukhta qalam kaar hein aur aap ki hosla afzayee meray leye sa^adat say kam nahin hay .koshish to mein nay yahi ki thee keh kisi ki dil azaree na ho lekin shayed ander aisee kuch ghaltian ker gaya hoon , beher haal aap ka tah e dil say mamnoon hoon keh aap nay meri hosla afzayee farmayee. umeed hay aendaa bhi apni qeemti raye say nawaztay rehain gay .shukria

          niaz mand

          waqar masood
          Rabb e Zidni Elmaa"

          Comment


          • #6
            Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

            Originally posted by ~khawahish~
            hmmmm Khoob likha hai aap nay :)




            thanx for Sharing :rose


            khush rahyeah :)


            Aap ka bay had mamnoon hoon keh aap nay meri hosla afzayee farmayee, umeed hay aeenda bhi nazr e karam farmayen gay .

            niaz mand

            waqar masood
            Rabb e Zidni Elmaa"

            Comment


            • #7
              Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

              Originally posted by Muskan
              Waqar Masood Saahb, maazrat k sath sub se pehlay yeh kahoon gi k agar aap kalay rang ki nisbat se AHL E TASHNEEH ka zikr nah kartay to bhi aap ka mazmoon mukammal ho sakta tha.

              Agerche yeh forum sub k liye yaksaan hey mugar iss trah se kisi per teer kashi karna chahay woh mazah k rang mein ho ya sanjeedagi liye huye ho, acha nhi lagta.

              Umeed hey k aap meri bat se mutaffiq hon gay aur aainda likhtay huye iss bat ko mad e nazar rakhein gay k kisi ki bhi dil azaari nah ho.
              Assalam o Alaikum

              aap kay tabsaray aur tanb^eeh ka shukria. mein aeenda khayal rakhoon ga.agar aap bura na manayen to do batein kehna chahoon ga.sab say pehli baat keh yeh mazmoon mein nay khas kisi forum kay leye nahi likha na hi mujhay maloom hay keh kis forum mein kis terah ka mahool hay ya kisi terah ki firqa bazi hay.dosri baat , mein nay mazmoon mein do martaba firqa ahl e tasheeh ka naam lia , lekin aisee konsi ghalat baat kahi hay jis per aap ko aitraaz hay , kia mein nay yeh tanz kia hay keh firqa ahl e tasee kay gharoon per sayah rang kay parcham hotay hein , yeh sirf ik alaamtee baat thee keh is terah ka parcham un kay gharoon aur ibadat gahoon ko zahir kerta hay .dosri jaga mein nay likha keh agar woh "aam taur per"" kalay kapray pehen lein to loog unhein nang dharang kehnay lag jatay hein , aap nay shayes is per ghaur nahi kia.

              mera fiqra hay keh""kaalay rang walay agercheh ahl e tashEE hi kion na hoon aam taur per agar kalay kapray pehen lein ""

              aap darust hein keh is fiqray say kayee matlab nikal saktay hein lekin dekhye mein nay likha kalay rang walay (yehan baat sab logoon kay leye ho rahee hay , hindu ,muslim, angrez, cristian aur phir mein nay likha keh agarcheh ahl e tashee hi kion na hoon kionkeh kalay rang kay kapray ahl e tasheeh kay loog muharram mein pehntay hein aam taur per nahi pehntay to kis baat per zoor tha yaani aam taur per pehennay ka ,

              aur aisa to hamaray saath aksar howa hay keh hamara koye sanwala doost kalayy kapray aam taur per pehen lay to ham usay nannga dharang keh detay hein to is isteaaray mein ya is tashbeeh mein kia tanz howa kisi dosray per..

              mein nay kisi firqay ko samnay rakh ker mazmoon nahi likha na kisi per tanz kia hay
              khudara meherbani kejay aur meri is tehreer ko kisi khas rang say mansoob na kejay mein aap ka buhut shukur guzaar hoon ga .agar is tafseel kay baad bhi aap yeh samajhtee hein keh meray zehen mein kisi per keechar uchaalnaa maqsad tha to aap yeh post lock ker dejay aur delete ker dejay , buhut buhut shukria.ik baar phir wazeh ker doon yeh mazmoon kisi khas forum , kisi khas firqay ya kisi khas akhbar magzine kay leye nahi likha gaya , jaisay yeh mazmoon yehaan chaspaan kia hay , aisay hi mein apni tehaareer adabi rsaloon mein arsal kerta hoon aur yeh bhi keroon ga kionkeh meray zehen mein kiisi khas nuktay ko lay ker kisi per per tanz kerna maqsood nahi hay .yeh insan per munhasir hay keh woh kis baat ko kia samjhay.ab ijazat dejay

              niaz mand

              waqar masood
              Rabb e Zidni Elmaa"

              Comment


              • #8
                Re: kalay rang ka ain...ik khatta meetha mazmoon

                Assalam.o.aleikum
                Mujhay bouhat afsos huwa kay main nay itni umda tehreer itni late kiyun parhi?
                is qadar umda tehreer hay aap ki k mujhay tareef k liye waaqai lafzon ki kami maihsoos ho rahi hay.:masha bouhat hi umda likhaari hain aap to.aap ka andaz-e-bayaan bouhat sada aur munfarid sa hay jis nay mujhay mutasir kiya.dua go hun k aap urdu Adab main numaya'n muqaam haasil karain.Aameen.:)

                Kiya Aap Top Urdu main bhi likhtay rahay hain?:cc:
                :roseENIGMA:rose

                Comment

                Working...
                X