Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~* Khan'dar *~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~* Khan'dar *~

    Aey logo ..!!!
    Kyun naraz hotey ho ? Is ujrey huye khandar sai ..!! Ye to barbad hua ab kharab hua ..!!!! Zara uthao ik nigah to is per dekho jahan talak jati hai nazar...!! Sunsaan hai bayabaan hai ..!! Barbadi hai bas barbadi hai ..!! Wo dekho koi b'ael hai shayad ...!! Deewar sai kisi litpi hui ... Woh bhi sookh gaii tum sab sai rooth gaii ..!!! Ab koi pani deta nahi khayal koi us ka kerta nahi ..!!! Is bael per kuch phool bhi thaey ..!!! Un ki p'atian haan dekho wo rahi un ki p'atian ba'eybas si lachar si .. Bikhri hui .. .Kabhi isi b'ael ki shan thaein sab....!!! Kya hua in ko ab ? Kya waja thi ye bikhar gain apney phoolon ki dali sai bichar gain ? waja kya tumhi ho sab ? Jao nahi kehta kuch tum ko ab ..!!! Par nazar dorao ankhien uthaon Dekho jahan talak dekh sako ...!!! Sunsaan hai bayabaan hai ..!! Barbadi hai bas barbadi hai ..!!! Wo dekho tooti deewar hai shayad..!!! Kabhi is khandar ki chaar deewari ki..!! Muhafiz yehi deewar bhi thi ...!! Ab jo tooti aise thak kai wo kai bikhar gai bas ujar gaii .!!! Is deewar main lagi ik ik ent tum sai sab sawal kerti hai kehti hai wo poochti hai ..!!! Waja kya tumhi ho sab ? Jao nahi kehta kuch tum ko ab ..!! Par nazar dorao ankhien uthao ... Dekho jahan talak dekh sako ..!! Sunsaan hai bayabaan hai ..!! Barbadi hai bas barbadi hai ..!!! Na hifazat ab na khoobsurati ab ... Kyun kya tum ney sab ? tum loag sawab ab kertey ho pahti ankhon sai sab kuch dekhtey ho..!! Kahan thaey us waqt tum sab Jab raeza raeza gira tha tab..!! Cheekhta tha pukarta tha .. Bachao koi to haath batao roko is ko tootney sai bikharney sai girney sai ..!!! Lo ghar mera ab makan hua kaho tum ko ab sakoon hua ? Jao nahi kehta kuch tum ko ab ..!! Par nazar dorao ankhein uthao..!! Dekho jahan talak dekh sako..!! Sunsaan hai bayabaan hai ..!!! Barbadi hai bas barbadi hai .!!!!

  • #2
    Re: ~* Khan'dar *~

    hmmmm ghar ab Makaan howa , barbadi hai sab Bardadi hai :)

    buhat khoob Paa ji :rose

    hamesha ki tarah buhat acha likha hai :)

    buhat sara khush rahyeah :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment

    • #3
      Re: ~* Khan'dar *~

      bohat khoob :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: ~* Khan'dar *~

        Very nice parh kar maza aaya thanx for sharing :rose
        Allah

        Comment

        • #5
          Re: ~* Khan'dar *~

          Dekho jahan talak dekh sako..!! Sunsaan hai bayabaan hai ..!!! Barbadi hai bas barbadi hai .!!!! :(

          Acha likha buhut:rose magar :(
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: ~* Khan'dar *~

            Originally posted by ForumAdmin

            Khandar...khandar nahin hota...usme chhupa daastan hota hai, taarikh hoti hai, kahani hota hai, afsaane hote hain...aur...aur bahut kuchh hota hai.

            Khandar yaaro wafa ka kureyd kar dekho
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: ~* Khan'dar *~

              Originally posted by ~khawahish~
              hmmmm ghar ab Makaan howa , barbadi hai sab Bardadi hai :)

              buhat khoob Paa ji :rose

              hamesha ki tarah buhat acha likha hai :)

              buhat sara khush rahyeah :rose

              Pasand kerney ka shukriya :) jeetey rahyeh khush rahyeh :rose

              Comment

              • #8
                Re: ~* Khan'dar *~

                Originally posted by shy
                bohat khoob :thmbup:
                Pasand kerney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh :rose

                Comment

                • #9
                  Re: ~* Khan'dar *~

                  Originally posted by YAARAM
                  Very nice parh kar maza aaya thanx for sharing :rose
                  Pasand kerney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~* Khan'dar *~

                    Originally posted by Saima Shaheen
                    Dekho jahan talak dekh sako..!! Sunsaan hai bayabaan hai ..!!! Barbadi hai bas barbadi hai .!!!! :(

                    Acha likha buhut:rose magar :(
                    magar ? khair Pasand kerney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh :rose

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~* Khan'dar *~

                      Originally posted by Spy009
                      Khandar...khandar nahin hota...usme chhupa daastan hota hai, taarikh hoti hai, kahani hota hai, afsaane hote hain...aur...aur bahut kuchh hota hai.

                      Khandar yaaro wafa ka kureyd kar dekho
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega
                      Kya hota hai kuch batao bhi parhney ka shukriya jeetey raho khush raho

                      Comment

                      Working...
                      X