Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kiyun.....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kiyun.....

    Un k alfaz thy ya nashter??? Mera roo'm roo'm tak chhalnii hogaya tha..... Kannoun mae siva saeein saeein k agr koi doosra shoor tha to vo bas un k kch dair pehle k kahy jumle jin k aasar sy main cha ker b nahin nikal parahi thi. Main jo un ki maan chahi beti thi,main jiss ko vo kehty thy her pal hassti hi rehti hai. Hassti raha karoo aachi lagti ho kiyun k tumharii hassi aankhoun mae ki chamaak ko berha deti hai or tumhari aankhoun ki chamaak mere dil mae thaand dalti hai k mera bacha khush hai pursakoon hai. Or aaj un ko mera peela perta chehra na nazer aayaa....... Main jo bazz dafa sirf un k dil ki thaand ki khatir hi hassti... chahe kitni hi takleef kiyun na ho apne dil mae. Main jo un k samne tab bhi na roti... jab mujhe VO laatoun or ghoounsoun sy mara kerta tha....
    Main jo un k aagay tab bhi uddas na hoti.... jab VO un ko ghalaaat ghalaaat aalqabaat sy nawaza kerta.(jab k mera haal to ye tha jahan un ko kiisi ny mazak mae b kch kaha or mere pannje khare huwe laraii ko)
    Main ny to kbhi un k aagay apne ghamoun ka rona nahin roya......hameesha ye hi kaha main bhut bhut khush hon or khd ko khush zahir bhi kara.
    Apne aansoun ko hassi sy chupaya.Ajj kaisy jane aanjane un k mou sy ye nikal gaya "KITNA HI AACHA HOTA TUM PEEDA HOTY HI MAR JATEEIN".
    Bint-e-Adam:-"
    Last edited by ; 26 October 2006, 07:22. Reason: font size...
    angel:36_1_41[1]:

  • #2
    Re: Kiyun.....

    samjh nahi aiyiiiiiii\

    Comment


    • #3
      Re: Kiyun.....

      Originally posted by yspg04 View Post
      samjh nahi aiyiiiiiii\
      Sab sy pehle salam :)
      Aakhair aap ko meri ess khudkalami mae aaisa kya nazer aaya jo k samjh sy bahir hai?????
      Ye to hum hazaroun betioun ka rona hai.... hum ko zindagi mae kbhi na kbhi kiisii na kiisii sy ye zaroor sunne ko milta hai k "kash tum peda hi na hoteein ya peeda hoty hi marjateein".
      angel:36_1_41[1]:

      Comment


      • #4
        Re: Kiyun.....

        I am speechless ...

        likhti raho aur khush raho:rose


        Ye to hum hazaroun betioun ka rona hai.... hum ko zindagi mae kbhi na kbhi kiisii na kiisii sy ye zaroor sunne ko milta hai k "kash tum peda hi na hoteein ya peeda hoty hi marjateein".
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Kiyun.....

          [quote=barg.e.gul;254845]I am speechless ...

          likhti raho aur khush raho:rose



          Salam:)
          ap ko passan aaya. shukriyaaaaa:rose
          angel:36_1_41[1]:

          Comment


          • #6
            Re: Kiyun.....

            [quote=barg.e.gul;254845]I am speechless ...

            likhti raho aur khush raho:rose



            Salam:)
            ap ny perhaa. shukriyaaaaa:rose
            angel:36_1_41[1]:

            Comment


            • #7
              Re: Kiyun.....

              Aik tehreer kay lihaz say achi koshish hai magar jahan app nay kaha kay

              hum ko zindagi mae kbhi na kbhi kiisii na kiisii sy ye zaroor sunne ko milta hai k "kash tum peda hi na hoteein ya peeda hoty hi marjateein".
              Is say main itefaq nahi kerti zaruri nahi her aik ko aik say hi halaat ka samna ho........aur waledain ka ghussa to faqat kuch pal ka hi hova kerta hai. Waledain ki ghussay main kahi baaton ko DIL per nahi leyna chahiyea dantna un ka haq hota hai aur humarey haq main behter bus un ka andaz kabhi kabhi ziada sakht ho jata hai. .......................App soch rahi hoon gee Bibi naseehat kernay lagi ...........lekin bus aisay hi mujhaye laga kay jo DIL main ayi hai kah dalon shayad is say app kuch sochnay per majboor ho jayen aur aisi baton ko ziada shidat say mehsoos kerna chhor dayen. :)

              Koii baat buri lagi ho to maazraat kerti hoon.
              Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
              Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
              Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
              Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
              Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

              Comment


              • #8
                Re: Kiyun.....

                buhat achi likhi hay..........................................lakin main dil kee baat sy etifak kerta hum..............................................
                hum ko zindagi mae kbhi na kbhi kiisii na kiisii sy ye zaroor sunne ko milta hai k "kash tum peda hi na hoteein ya peeda hoty hi marjateein".
                yeh kabi na kehna ksi sy k mujy yeh kaha gia tha.......parents jo b kahin un ka Hak hay aur hamara faraz hay sab kuch berdashat kerna jaisy wo humain berdashat kerty hian ...jub hum bachy huty theey.....
                any way likhti rahina

                Comment

                Working...
                X