Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aahsaas

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aahsaas

    Bahi fazal mera to dil baitha ja rha hai wo kion bahi ahmid deen yaa ab daikho na kal ka soraj hum kahan daikhain ge kia ho ga hamre sath iss miti main hamare baap dada hain hamara ghar baar hai hamara bachpan yahan guzra hai hum in ko choor kar ja rahye hain. are chaleya hum apne molk ja rahjye jahan hamari marzi ho gi hamari hakomat ho gi musalmanoon ki baat to tumhari theek hai bahi fazal issi baat k sahare to ik umeed hai . bahi fazal kia hamain wahan loog kabool kar lain ge.oh kion nain karain ge bahi ahmid deen wo hara molk ho ga jis k liye humare doostoon nain apni jan di hai aur kia kia nain kia .bahi fazal ye gore koi chal to nain khail rahye .oh nain kameya ab gore koi chal nain khail sakte kal 14 AUG hai samje 14 AUG.lakin bahi fazal hum jain ge kis tara yahan to har taraf katlo gharat hai .bahi ahmid deen jana to hai uss mati ko ja k choomna hai wahan ja k sajda karna hai wahan agar main na pohanch saka to bahi bahi ahmid deed tum mere uss mati ko mera salaam kahna aur kahna k halaat nain mohlat nain di .bahi fazal wahan hum azaad hoon ge na hum gareeboon ko k b haq milee ga na.oye chalaiya wo hamara molk hoga hamara wahan hum azaad hoon ge azaad samje wahan musalmanoon ki hakomat ho gi aur gareebon ka haq unhain zaroor mile ga awain na sooch andaira hone ko hai ja pahle ja k jane ki taiyari kar raat to ankhoon main kat jaye gi ja ab waqt na zaya kar main b koch samaan sath main laita hoon .

    Sohail Abbasi.
    Apna haq ada karo.
Working...
X