Assalamualaikum Members
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Stage Dramay!!!
Collapse
X
-
Re: Stage Dramay!!!
Originally posted by YAARAMBoha khoob likha hai Jums aapne ...lekan ab pachtaye kya hot jab chiryaN chugh gayi khet :(
Beshakk JUMS ne aik intehaai nazuk aur tawajoh talab mozoo per qalam uthaya hey aur iss k liye wo layeq e tahseen hein jo iss qism ki soch rakhtay hein aur kum az kum aisay masayel ko samnay to latay hein.
Aur aap k jwab mein Yaaram , mein yeh kahoon gi k ab bhi kuch nhi bigrra, humari mazhabi jamaetein jo sadar ki wardi utarwanay per musir hein wo ager be hayai ko roknay k points ko base bana ker kursi hasil karnay ki koshish karein to koi shakk nhi wo kamyab ho saktay hein...mugar kahan.......aisi cheezein kisi ko nazar nhi ateen kiyun k sub ki taskeen k saman muhayya hotay hein....kon janay parday k peechay kon kon betha aisi tafreeh se lutf andoz ho raha hey...............shayed mein mozoo se hatt ker bat ker rahi hoon lekin yeh haqeeqat hey k hakomati satah se le kar awaami satah tak k subhi log iss mein involve hein.
Mujhey zati taur per tajurba hey k chand saal pehlay yehan UK mein 14 August k silsalay mein aik saqafti show munaqad kiya gaya, Rawayeti andaz mein taqreeb ka aaghaz kalam e pak se hua, nabi pak Sallallao allaie wasallam ki midhat bayan ki gai, kuch azaadi k parwanon ka ziker hua aur uss k bahd Manchester ki aik mash,hoor raqqasa raqs pesh kernay k liye stage per aai, uss ka libas hi chand baa haya logon ki ghairat jaganay k liye kafi tha.Fori taur per aehtejaj hua, hazreen ne shor macha diya k kia yeh humari saqafat hey? yeh humari mulk ki numayendagi hey?......baherhaal woh saqafti show waheen khatum karna parra, log apnay apnay gharon ko rawana ho gaye................pata hey doosray din akhbar mein kia khaber thi?.....yeh k......PAKISTAN KA SAQAFTI SHOW chand obash nojwano ki fiqray bazi ki wajah se hangamay ki soorat ikhtyar kar gaya. mujhey boht afsos hua k agarkisi ne haq bat bhi ki to media aur show k muntazmeen ne ussay ghalat rang de diya aur apnay kartooton per parda daal liya.
Tou yaaram ab bhi humaray hath se kuch nhi gaya, halaat badal saktay hein, iss k liye humein ijtemahi taur per apni fikeri soch ko badalnay ki zaroorat hey.
Ager kisi k khyalat se ikhtelaf peda hoa ho ya meri koi bat nagwar guzri ho to karrwa ghoont ker k pee jaiye ga, mein maazrat khwah hoon.:)
Comment
-
Re: Stage Dramay!!!
Aik baat ki mujhey samajh nahin aati keh HAR BAAT KA QASOOR hakoomat ko kyun jata hai? Agar dekhney waley aisey stage dramas na dekhein aur haal mein baithey log dil khol kar qehqahey lganey ki bjaey baghawat kar dein to kon hai jo dobara aisey dramas bnaney ki koshish karey ga? Har baat ka qasoor doosron peh daal dena bohat aasan hai, magar apney taeen kuchh karna utna hi mushkil.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Stage Dramay!!!
Originally posted by MuskanTou yaaram ab bhi humaray hath se kuch nhi gaya, halaat badal saktay hein, iss k liye humein ijtemahi taur per apni fikeri soch ko badalnay ki zaroorat hey.
Excellent Muskan, aap ney bohat hi khoobsurat andaaz mein yeh biyaan kiya hai keh ham log khud chahey to tabdeeli laa saktey hain, magar sab sey aham masla yeh hai keh hamein tanqeed karna aati hai, himmat pedah karna nahin keh himmat karein aur kuchh kaam khud bhi karein. Main aawaz buland karta hoon, kon kon mera saath dey ga????tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment