Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

akhri tehrer

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • akhri tehrer

    salaam
    jaatey jaatey socha keh kuch likh ker chali jaon ...likhna tu bahut chaha thaa bahut kuch aap logon ke sath share kerna chahiti thii mager muhlat hi nahin mili....is liye socha keh mukhtaser hi sahi sacha ehsas share keron....
    Attached Files

  • #2
    Re: akhri tehrer

    Shukriya Aap ney hamien yaad rakha ...Is tehreer ko perh ker foran sey hi Ankehin Nam ho gayein ,

    Peeley kapron mey malboos aur Hinyai hathon wali larki ko bilkul bhi pareyshan ya udaas nahi hona chahiye kyon key ham sab ki duaein aap key sath hein :rose :thmbup:

    InshAllah zindagi ka ye naya safar bohot paayyara ho ga :-)

    Allah T'ala aap ko dher saara Khush Rakhey Ameen:rose
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: akhri tehrer

      AOA,


      Aap ki tahreer parr k udasiyoon ko paish paish paya ye dunya hai aur hamain yahan zendagi milli hai aur hamain zindagi guzaarne k liye in batoon aur rawajoon ko apnana parrta hai deen b hamain iss ki talkeen karta hai ye safar amman hawa se pak bibiyoon tak aur hamare tak aan poncha hai aur pahli baat hum apni bahain ko dairoon duain dain ge aur duaoon main yaad rakhain ge Allah Rabulizzat apne bandoon ki duain sonta hai iss liye hamri dua hai bohat khush rahain abaad rahain.


      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment


      • #4
        Re: akhri tehrer

        Bai-ikhtiayr khuda se yeh sawal ker baithti hoon' Baap ki dehleez se baitey ke darr tak yeh safar kab tak jari rahey ga "


        Buhut achi aur touching si tehreer likhi hai Ambreen ji..... mujhe woh manzar yaad aaya jab meri sis ki shadi huwi thi...mei humesha sochti thi k kisi ki shadi to khushi ka moqa hota hai to log rotey kiu hai.... magar jab meri sis ki shadi huwi to pata nahi kiu ....ek ajeeb se ehsas ne ghayr liya..... yeh soch ker k itney sall jo humari thi, humarey sath pali bari... hum kaisey ousey kisi ke sath janey dain. Gusa bhi aaya k yeh kaisa fazool sa riwaj hai aur maan baap kaisey itne sakht dil ho saktey hain. Magar tab yeh khayal aaya k wo kaisey Dil per pathar rakh ker ladly shaehzadion ki yeh judai sehtey ho gai .


        Aur chonkey yeh Qudrat ka qanon hai to ...............
        Ambareen hum sab ki dua hai k khuda aap ko aaney wali zindagi mei dhayron khushian dai aur aap sada hasti muskurati rahein. :)
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: akhri tehrer

          yeh aik kudrat ka nazam hai betYoN ko apne waldein ke ghar si aik din to jana hota hai bohat khoob likha hai aap ne Sada kHush rahein
          BazurgoN ki dua hai yeh :D
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: akhri tehrer

            Ambreen ji....
            Attached Files
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: akhri tehrer

              hmmm larkeoun ka yeh safar kab tak jari rehaye ga yeh to nahi pata lekan yeh dua zaror kar saktay hain kay jo bhi naya safar hoo woh acha hoo , khusheoun say bharpoor hoo :rose ....
              hamari tumharai leye bhi yehi dua hai sada kush rahoo ..or zindagi ka yeh nayea safar khusheoun bhara guzrey (ameen).
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: akhri tehrer

                mujh sai aur to kuch na kaha jaye ga jawab main bas itna hee kah sakta hoon kai mat socho itna INSHALLAH sab theek ho ga aur haan aik aur baat mohabbat kerney walon ko mohabbat zaroor milti hai :) ALLAH tum dono ko baeyytahasha khush rakhey jeetey raho khush raho sada abad raho

                Comment


                • #9
                  Re: akhri tehrer

                  Assalaam o alekum,


                  ambreen hum sab yehi dua kerte hain ke Allaah aapko saare jahaan ki khushiyaan ata karien ameen summa ameen aur haan doodhoo nahaao poootoo phaloooo :) :) isse zeyaadaa main kuch nahin likh saktaa kyoon ke meri bahen jab wida huee thi to mera buraa haal tha jo main bataa nahin saktaa
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #10
                    Re: akhri tehrer

                    acha likha hai
                    Mein Allah da malang
                    my mobile no is 03008377221

                    Comment


                    • #11
                      Re: akhri tehrer

                      Bahot khoobsurat tehreer
                      sigpic

                      Comment

                      Working...
                      X