Asalam-0-Alyekum
kaise hain aap sab dost , ehbab , saathi , mit'tar
14-August ke hawaly say kuch batain le'kar hazir hoa hoon umeed hai ke aap sab apne qeemati waqt main say kuch lamhe nikal kar inhain parhain gay ........
Pehlay tu yeh jaan laina bohut ehmiyet rakhta hai ke Dar'haqeeqat watan kiya hai ......... watan kissay kaha jata hai aur kaha jana chahiye...... apne watan ki Izat-o-shaan kiya hoti hai ......... apne watan say Pyaar ka kiya matlab hai ....... aur in sab batoon say bhi pehlay watan ka matlab jaan laina bhi zaroori hai takay uske baad hum agay bhar'rh sakain..............
Watan: Lughvi matlab = Rehnay ki jaga , Sayya , Chap'par , Ch'hat
Watan: Istal'lahi Mafhoom = Aik nazriya rakhne walay logoon ka Paasban
Watan: Lisani Tashreeh = Aisi ch'hat jis ke talay har insaan Azadi ke saath zindagi basar kar sakay aur usse har jayez kaam karne ki shakhsi azadi hasil ho
Azadi kiya hai ??? ........ Azadi apne deen / mazh'hab ke pairo'kar rehtay hoye har kaam ko bila rook took sar injam pohenchana hai
Watan: Meri nazer main = Rai'sham ke dhagay jaisa naram-o-molayem , chamakta hoa khoobsurat ehsaas hai jissay cho lo tu sari narmi rooh tak utar jaye ..... is dhagay ki Gir'rift say nikalne lago tu yehi naram dhaga uljh kar reh jaye aur ager khud ko in ulj'jhanoun say choranay lago tu koyi sir'ra haath na ayee ......... watan ke is rai'sham ko Orh lain tu utaar nahi sakte aur ager kisi tarha utaar bhi dain ( kis dosre mulq main chalay jayeen ) tu nishan nahi jatay................
Ab dostoo baat karte hain apne Watan PAKISTAN ki .......... jee tu janab
Kia hum Azad hain ???
Kia PAKISTAN Watan hai ???
Kiya PAKISTAN humara watan hai ???
Kiya hum Azad hain ???
iska jawab yeh hai ke hum jismani tour par tu azad hain lekin humara zehan abhi bhi Ghulam hai ..........Ussi Angreez ka Ghulam jiss say hum ne jismani azadi hasil ki thi.......... yeh Ghulami nahi tu aur kiya hai ke aaj bhi "Made in England / Germany / Itlay and USA" ki cheezain hi humara "Status Symbol" hain ........ aaj bhi hum SALAM say KALAM shuru karne ki bajaye "Hello , Hi, Good Morning and Good Evening" kehna hi pasand karte hain ........ tu pher kiya yeh kaha ja sakta hai ke "hum mukamal azad hain"?? .............. Nahi abhi Azad nahi hoye, haan ho jayeen tu main kuch keh nahi sakta .............
jee tu ab dosra sawal........
Kiya PAKISTAN aik Watan hai???
Watan jahaan apne Mazhab ke pairokar rehte hoye har jayez kaam karne ki shakhsi azadi ho ussay kehte hain ........ tu kiya PAKISTAN main aisa hai ?? Haan PAKISTAN aik MULQ zaroor hai lekin Watan nahi .............
Yahaan Shakhsi azadi ka Tasaver sirf itna hai ke Aik Shakhs apni marzi say subah jag sakta hai raat ko soo sakta aur ager uski jaib main paise hoon tu kuch khaa pee sakta hai ........... warna yahaan aaj bhi Wad'dhera shahi nizam Rayej hai............. aur un logoon ke liye tu PAKISTAN ko watan kehnay main koyi harj nahi hai lekin ek Aam aadmi ko soochna ho ga ke kahoon ya nahi..........( PAKISTAN aik aisa Mulq ho jo Watan rahay issi liye isay hum ne Angreezoun say LARR kar aur Jad'do'Jihad ke baad hasil kiya tha lekin humain angreezoun ne choora tu Angreez Numa ne pakar liya balke Jakar liya kehna ziada monasib ho ga .............)
Ab attay hain Teesray sawal ki taraf ............
Kiya PAKISTAN humara Watan hai ???
iss sawal ka pehlay dono sawaloun say bohut gehra ta'aluq hai........ kyoonke ager hum mokamal azad hain aur ager humain har Jayez kaam karne ki mokamal azadi hai tu pher tu yeh Mulq humara Watan hai ........... lekin ager aisa nahi hai tu ....................
tu kiya yeh PAKISTAN humara nahi hai .................................................. ............ nahi yeh bhala kaise mumkin hai ke PAKISTAN humara na ho ........ yehi Mulq humara Watan hai .......yeh Mat'ti humari MAA hai ........... issi mat'ti nay humain apni Aghosh main sameet kar har Sard-o-Garm say bachanay ki bharpoor koshish ki hai .......... lekin pher kyoon humain shakhsi azadi nahi hai kyoon hum zehni tour par aaj bhi Ghulam hain kyoon hum iss mulq ko Watan nahi bana pa rahay ..............
Iski sab say bari waja tu 'ALLAH' (Subh'hana watalah) say , Mazhab say aur "Hazoor" (PBUH) ke Ehqamat say Douri hai .......... Jab aik Mulq "ALLAH" ke naam par hasil kiya jaye aur pher wahaan "ALLAH" ki marzi ke munafi kaam shuru ho jayeen tu wahaan "Taf'farqa kyoon na ho??" wahaan "Naf'faq kyoon na ho.........??".............. "Wo mulq Watan kaise banay ga ??".........................
bataye aap sab ........ hai koyi jawab ????
aur Deegar wajohat main say chund Darj Zail hain
1- Apna kaam waqt par na karna
2- Apna kaam har waqt dosray ke sar Thoopna
3-Dosaroun ko har Ghalat aur Buray kaam kay liye Movar'day ilzam tehh'rana
4-Dosaroun par har kaam ke liye In'hasaar karna
5-Aik waqt ki roti ke hasool ke liye mostaqbil tareek karne ki har mum'kin koshish karna
6- Aur har waqt yehi kehte rehna ke PAKISTAN ne humain diya hi kiya hai
ab dekhiye hum main say har koyi kitne aram say yeh keh deta hai ke NIZ'ZAM theek nahi hai .....zara dekhiye tu PAKISTAN main rishwat kitni aam ho gaye hai .......... dekho tu PAKISTAN ka sara bankari niz'zam Sood par chal raha hai .......... aaray dekho Government kuch nahi kar rahi ....... aray yaaR humaray PAKISTAN ki cricket team bik gaye hai usne paise lekar yeh match hara hai ........... aur aisi bohut si dosri batain ........
Muje aik baat bataiye........... aap (Murad hum sab hain) Rishwat daite hi kyoon hain ke koyi rishwat le .... ya mangay .......?? Dekhiye POLICE sab say ziada is mamle main bad'nam hai tu, main poochta hoon ......... kiya wo koyi Aasmani makhlook hain ke hum jaise na hoon gay ..... Bhaiyo/Behno Wardi ke ander ka Aadmi bhi humari tarha ka hi aik insaan hai jisse hum sab ki tarha Aaish-o-Aram ki adut ho gaye hai ...... jiss ke liye Aalayish eham hai .......jisse roti kamana hai chahay zariya koyi bhi ho ..... aur pher uska khameer bhi tu isi PAKISTAN ki mat'ti say hi utta hai naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa !!!!! ( Jiss mat'ti ki hum sab har waqt buraye karnay ka koyi na koyi moqa nikal hi laite hain )
Ab haq'qomat ko hi lijiye........ wahaan bhi tu hum main say hi chunnay gaye loog hain aur pher wo kaha gaya hai na ke Jaisi rooh waise farishte tu matlab yeh hoa jaise hum khud hai waisi hi humari government ........... hum bhi kaam choor aur Be'eman hain wo loog bhi waise hi hain ..... tu pher Ataab ka nishana sirf haq'qomat hi kyoon !!!!!!!!!!!
Ab Khailoun ki baat karte hain, tu bhai yahaan jisse nahi milta wohi Shareef hai ager humain bhi paise milain tu hum bhi yehi karain aur match ki tu khair kia hi baat hai ALLAH na karay hum tu apna PAKISTAN hi haar dain !!!!!!!!!!
Aik baat jo muje aaj tak samaj nahi ayi wo yeh hai ke hum issi PAKISTAN say hi jatay hain ( kisi dosre mulq Parhne ya rozi ki talash main ) lekin jab Watan wapis atay hain balke abhi Air-Port say hi utartay hain tu aise NAAK BhooN char'hate hain ke Khuda ki Pan'nah ........... Yaar !! abhi tak sarkain waisi hi hain jaisi main chor kar gaya tha ........ ufff zara dekho Trafic ki halat ko........ aik tu PAKISTAN ke logoon main Trafic Sense bilkul bhi nahi hai itna Rush !!!!!!!!!!!!!! ............ Kyoon bahi kiya tum Wahaan say "PAKISTAN" ko paise bejhte rahay ho jo ab yeh 'BAKWAS' kar rahay ho ........... tum ne wahaan jo kuch bhi kamaya wo apne aram ke liye tha ........... ya apne ghar waloun ke liye ....... tum ne Khud tu apne Par'roosi aur apne Gareeb rishtay dar tak ko na poocha aur ab PAKISTAN ke liye fazool batain kar rahay ho .................
Dostoo Zaroorat is amar ki hai ke hum sab say pehlay apne mizaj ko badal'lain pher kaheen jakar yeh mulq humara WATAN banay ga aur kisi ko kuch bhi kehnay say pehlay yeh Shair yaad rakha kijiye...............
Aur pher Watan ki mohabat yeh hai ke hum apni jaan tak apne Watan ki Baqa aur Taraq'qii ke liye Lar'ra dain aur bar bar / musalsal yeh kehnay ki bajaye ke PAKISTAN aisa hai PAKISTAN waisa hai, PAKISTAN ne humain diya hi kiya hai waghera..... waghera....., PAKISTAN ko behtar bananay ke liye Tag'g-o-Doo aur Koshish shuru karain ........ aur is maqsad ke liye An'thak mehnat. lagan aur himmat ki zaroorat hai jo humain karni hi ho gi .......... warna '59' sal tu kia '159' sal honay par bhi hum yehi keh rahay hoongay jo aaj keh rahay hain aur yaheen Kharay hoon gay jahaan aaj hain .................
Jee Haan aur yahaan aik baat aur Zehan'Nasheen kar lijiye
" Baki Sari Duniya Ke Liye 'PAKISTAN' Sirf 'Aik' Mulq Hai, Lekin 'PAKISTAN' Ki Sari Awam Ke Liye 'PAKISTAN' Hi 'Sari Duniya' Hai "

Kyooooooooooooooooon !!!!!!!!!!!!! Kyooooooooooooooooon !!!!!!!!!!!!!!!!

Kyoooooooooooooooooooon !!!!!!!!!!!! Kyoooooooooooooooooooon !!!!!!!!!!!!
Dostoo Zaroorat is amar ki hai ke hum sab say pehlay apne mizaj ko badal'lain pher kaheen jakar yeh mulq humara WATAN banay ga aur kisi ko kuch bhi kehnay say pehlay yeh Shair yaad rakha kijiye...............
KHUDA NAY AAJ TAK USS QOUM KI HALAT NAHI BADAL'LI
NA HO KHYAL JIS KO AAP APNE HALAT KE BADAL'LNE KA

Comment