Asaan nahi raha!!!
Do sehilyan apas ma milti hain ....college ma......
Fatima : Oh Assalam-o-alikum!!!
Farah: ya oh kiya hota ha.....kitni dair se isharay kar kar kay bula rahi hon majal ha tum tas se mas hojao.....Walikum-salam wasa dill nahi kar raha ya kahnay ko
Fatima: akhar asa ho kiya giya ha lerki jo tum khud nhi aa rahi thi
Farah : chural ho pori tumhay pata ha mer jotti mubarak meray nazuk se pawn ka sath nahi day rahi
Fatima: tu kiya howa ...tumhara paon jooti ka sath day data tum bhi na har baat per zid laga lati ho....
Farah: Chural meri jooti toot gai ha
Fatima : ohhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
Farah : haan karo apna ohhhhhhhhhhhhhhh aur abb tumhay hasi bhi ay gi
Fatima (hastay howay): arhi ha has loon plzzzzz
Farah: aik maron gi na ...nani nahi nanai ki per nani yad ayin gi
Fatima : chalo un se kesi chupay howay khazana ka pata laga lon gi
Farah: Fatima Tum kab sudhroo gi(uktahat ka sath)
Fatima:jes din mujhay pata chala na sab se pehlay tumhay bataon gi
Farah: acha shukriya nawazish hogi madam ki............
Fatima: aray nahi ya tu mera farz ha Suriya begham
Farah: tumhari suriiya begham ma abhi nikalti hon ...har baat per mazaq hi soujta ha...Abb chalo
Fatima: kahan????
Farah : meray susral
Fatima: oh wow tum na shadi bhi karli aur tumharay susralyoun aik joti bhi nahi di tumhay ........baray kanjoce lagtay hain
Farah: tum na pitna ha bata do...mai tayar hon peetnay ka liya
Fatima : hehehe acha na chaltay hain pehla ya batao paper kasa howa
Farah: itna acha kah ma beyan nahi karsakti
Fatima: wow mera bhi kuch asa hi howa...issay kahtay hain suchii dosti....
Farah: yar question paper ko ma 15 se 20 min tak dekhti rahi ...souch rahi thi karon tu kiya karon
Fatima: haan abb jin ko sara paper hi ata ho unkay liya tu problem hogi na kah kon sa sawal pehlay kiya jay
Farah: shut up.........Mujhay aik bhi sawal dhang ka nahi ata tha
Fatima: kesi ko bhi nahi ata hoga yar paper bananay walay ko bhi nahi ata hoga...shukar ha akhari paper tha...
Farah: acha chalo ghar abb
Fatima: nahi ghar nahi jana Abhi cafe chalo mujhay bari bhook lagi ha subha ki bhooki hon
Farah : padaishi bhooki bola karo apnay app ko ...meri jooti toti gai ha mai nahi ja rahi ...aur suno tum subha kahan thi muhtarma shakal bhi nahi dekhai...ayi kab thi
Fatima: wo ma yar paper shrou honay ka 15 min baad room ma puhnchi thi ...Aur wasay bhi barish ho rahi thi .....mai bus per ayi stop pr puhhnctay hi bheeg gai aur phir college atay atay saray kapray gilay hogay
Farah: fatima shehzadi sahiba wasa dil karay tu khabi gari khabi rikhsay ma tasreef lati hain aur ajj jab kay itni barish thi tu tum paglo ki tarhan bus per ayi ho...app ko tu tamg-e-Imtyaz milna chaiya...
Fatima: mai kiya karti mujhay barish itnay mazay ki lag rahi thi ....tu maina soucha kah .................
Farah: tumhay pata ha barisho ma kon nikltay hain
Fatima : kon?
Farah: barsati kiray
Fatima: acha kiya? bhootni! tum bohat kharab ho...
Farah: acha chalo bhooki cafe chalo
Fatima: per tum chalo gi kasay joti.............
Farah: joti tumhari jasi nahi ha ...saliqay se tooti ha ...atleast ma chal sakti hon
Fatima: tu kiya mujh ma saliqa nahi ha ....?
Farah: mat poucho ya sawal tu acha ha ...per phir bhi ma jawab mukhtasran day sakti hon ........abhi cafe walay ko 2 rupay nikal kar denay paren gay tu sara ka sara bag ultao gi phir muskil se aik do rupay nikal kar do gi ...jes per aksar cafe wala bhi hasta hastay rah jata ha
Fatima: chup hi raho tu acha ha...batho ab
Farah: abb batao kiya khana ha?
Fatima: aik tu iss cafe ma kuch khanay ko bhi nahi milta
Farah: haan pagal ha woh ....jo kahtay hain fresh burgar..sandwich samosay balabala ....
Fatima : Acha samosa aur pepsi laylatay hain
Cafe walay ko samosa aur pepsi ka kaha kah cafe ma Maria ki entry hoi
Maria: Salam kasi ho...malika victoria?
Fatima: Ma theek hon ..tum sunao bari khush lag rahi ho...lagta ha paper tum na hi banaya tha?
Farah:kesi ki khushi tum se khabi bardast hoi ha
Maria : khush tu hona ha na yar ajj pehli bar mujhay apna kharab paper honay per dukh nahi ho raha
Fatima: kiun?
Maria : yar sab ka hi meri tarhan ka paper howa ha laiq se laiq student ka bhi...tu aik kamini c khushi ho rahi ha
Farah: toba ha tum logo ka kuch nahi ho sakta
Fatima hastay howa:zabrdast phir tu ma tumhari iss khushi ma barbar ki shareek hon.
Iss ka sath hi Nisa dharalay se table ka samnay khari hogai aur Fatima ko ghornay lagi............
Nisa: Kidhar hoti ho tum fuzool inssaan
Fatima: kiun yar kasam la lo maina tumharay koi paisay nahi denay
Nisa: Salam karna gawara nahi ha tumhay
Fatima: woh ma woh ma is farah ka sath hoti ho na ya khain janay nahi dati
Farah na aik zor dar chit lagai Fatima ka sar per
Farah: chural mujhay badnaam kar rahi ho ..nisa ya har bar tumhay asa hi kahti ha
Nisa : haan
Farah: iss ko tu ma batati hon dafa ho jao ajj se tumharay meray rastay alag .........
Maria: wasa ya mukin nahi ha...sb jantay hain
Farah: tumhara matlaab kiya ha
Fatima: oye yar ki matlaab matlaab matlaaab lagai hoi ha choro iss baat ko..
Fatima aur Farah kuch dair baad cafe se nikal jati hain aur rastay ma phir
Fatima: tu tum waqi Ilets ka paper day rahi ho
Farah: haan musibat dena zaroori hain
Fatima : kes pagal na kaha tha janay ko
Farah: tum na aur kesi pagal se aj tak pala nahi para mera
Fatima: maina kab kaha aur tum meri kab se baat manay lagi
Farah: tumhari wajha se maina ya decison liya tha warna maeray parents kab se roo rahay thay kah farah jao bahir parhnay tumhari life ban jay gi...Maina unki tu nahi suni per tumharay dialogur bazi ma agai
Fatima: maina asa kiya kah diya tha
Farah: yahi kaha tha bas kah jao tumharay pas oppoturinty ha ...koi parenst apni beti ko itni facility nahi day tain ...tum khushkesmat ho...apnay parents ki sab se bari beti ho Unki khawsih hogi ka tum agay bharo ..Kamyab ho...jao farah jao mai bhi tumharay sath janay ki kosish karti ho...per mujhyay kiya pata tum na sirf dialogue mara tha ........dosray din hi janay se inkar kar diya tum na
Fatima: acha! woh yar ma kasay ja sakti hon tumharay tu wahan relative hain ..Mera tu koi nahi ha...
Farah: tumhara bhai jo ja raha ha
Fatima: woh apnay balbotay per ja raha ha uss nay khud apni mehnat se bank statement aur fees ikhathi ki ha ..Mai uss per bojh nahi ban nachahti
Farah: jab mujhay nahi lagta ma apnay relatives ka pas ja kar bajh ban jaon gi unper....tu tumhay apnay saghay bhai se madad lena bura kiun lag raha ha
Fatima: Tum nahi samjho gi....humaray parents na humay khudari sikhai per iss had tak khudar bana diya kah hum khud mar jain gay magar kesi ka ahsaan nahi lain gay chahay woh humara parents hi kiun na ho...
Farah: kiya matlaab ha parents ahsaan nahi kartay fatima...unki mohbat aur khalos ko tum ahsaan kasay kah sakti ho
Fatima: muohbat ka badla mohbat se dena chaiya......mai tu mohbat ko bhi ahsaan manti hon
Farah: ya kiya fuzool souch ha..mohbat ahsaan kasay ho sakti ha..
Fatima: hoti ha farah ya aik ahsaan ha humaray parents ka jo woh humay paltay hain .bara kartay hain...sahi galat ka baray ma bata tain hain aur humay iss ahsaan ka zayada achay tariqa se badla dena chaiya unhay
Farah: Baat ko kahan se kahan la jati ho tum ....mai bas ya jan'na chahti hon kah tum meray sath abroad parhnay ja rhi ho ya nahi
Fatima: nahi yar mai yahan bohat khush hon ..Mujh ko khud ko muskil ma dalna ka koi shoq nahi ha ....ma janti hon Mai apnay ghar walo ka begar nah rah sakti...Itni friends ha meri yahan per unko tang kiya begar ma kasay rah sakti ho ..i will miss u
Farah: miss shish koi nahi karna tum na ...hazaroo dostoo ma bhi akeli ho tum.. kesi kay honay na hona se tumhari zaat per koi farq nahi parhta....tumharay liya log ana janay wali chizain hain...Tum apni zaat ma mast ho...ya alag baat ha kah logo ka liya tum bohat khas ban jati ho..aur unkay khaloss ka badla utaar rahi hoti ho unse mil kar...
Fatima: tum ......ya........farah ..asi tu koi baat nahi
Farah: youn samjho tumhari is gherai ko janay ka liya mujhay 2saal lag gay aur Abb tum ko meray liya chorna asaan nahi raha...
Mera ghar agiya mai chalti hon Allahhafiz
Fatima: Allahhafiz

Comment