Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Main Yuunhi Chupp Rahoon?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Main Yuunhi Chupp Rahoon?

    waqt buhat teezi se guzarta gaya......zindagi buhaat se morr dikhaati rahi....her morr per rukk ker aagey jaaney ka rasta dekha.....mujhe do hi raste dikhey.....ik aisa rasta tha jis mai na pyaar tha na hi ehsaas....buss aagey nikal jaaney ki ik dorr thi......log bhaag rahe they k wo aagey nikal jain her rishte ko bhool ker her ehsaas ko faramosh ker k.......mujhe na janey q us rastey ne daraa diya.......main buhaat darr gae or wapis palat ker kabhi wahaan nahi dekha........phir mujhe ehsaas ki dunya nazar ai.......mohabbat k rishte nazar ai.....jo asal mai meri manzil they.....main ushi raste per chalne lagii goo k wahaan log buhaat kamm the or kuch aise bhi the jo is raste ko choor ker pehle raste ki jaanib chal parey the.......per main ise raste ko khud ki zaroorat samajhti rahii.......aj se nahi,,,,bachpan se....!
    aj bhi ise raste se juri hoi ik lerki.......unhe rishtoon or ehsaason ko qareeb se dekhti hai jinhe dekh ker woo ai thi.......aj in mai ehsaas maand parr gae hain...logg barii asaani se ghaao lagaate hain main chupp rehtii hoon......per logg aise q hoote hain???diloon ko q toor dete hain........iss sawal ka jawab mujhe ye rasta aj takk nahi de paya......logg jaante bhi hain k wo kise ko torr dain ge per ab insaani qadriin yahaan bhi nahii.....wo araam se toor dete hain......
    kiya main yuunhi chup rahoon??or is raste per chaltii jaon???

  • #2
    Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?

    :masha yeh usi Me Here ki tehreer hai jo aik bholi bhali si bachi thi aur aaj :masha apney sochon ko wussat dey rahi hai? - Bohat khushi hui dekh ker keh aap ney itney pyarey andaaz mein kuchh sawalaat uthey hain.

    Ghao, laganey waley 2 tarha key log hotey hain: 1) jo danista ghao lagatey hain doosrey key jazbaat majrooh hon, 2) jo ghair'danista ghao laga detey hain.

    Pehli taraz key logon ka maqsad siraf doosron ko takleef aur aziyyat dena hota hai. Unhein is ki parwa nahin hoti keh un per kya beetey gi. Woh aik be'hisi ki kafiyat mein hotey hain.

    Doosri tarha key logon ko jab ehsaas hota hai keh unhon ney bghair niyyat key kisi ka dil dukha diya hai to woh har mumkin koshish kartey hain keh apni kotahiyon ka azala karein. Aik sach hai keh jo zakhm lag chuka hota hai uska bharna mushkil hota hai, magar namumkin nahin.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?

      Originally posted by Me Here
      ......
      maiN nay apna nazariya waisay to bayan kardia hai, aur agar maiN yeh kahon kay zindgee nay mujhay kia sabq dia hai to woh aik shair main bata dayta hoon.....

      apnay aanso apni aankh main rehnay day......!!
      kab tak rait pay heeray moti rolay gaa.....!!
      That's Enough...!!

      Comment


      • #4
        Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?

        :masha dear buhut acha likha hai aur jis rastey ka tum en ziker kiya hai wo tumhari hi nahi shayed her insan ki bachpan se hi khwahish hoti hai magar joun joun insan zindagi ki dorr mei aagey barhta chala jata hai ousey ehsas hota jata hai ke yeh rastey , yeh mohabbat bas khuwab ki hadth tak hi rehtey hain, haqeeqat ka in se koi taluk nahi, yeh dorr hi aisa hai ke is mei in ehsasat ka koi wajood nahi.
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?

          aa haan , me here is that really you
          bohat khob
          2 rastey
          1 ehsas ka and dosra door ka
          and jo rasta khod pasand kia us per bi keeon hmmm sochnay ki baat hay

          kher nice balkey very nice
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment


          • #6
            Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?

            Aap isi raastay pe chalein...pyaar mohabat aur ehsaas ka raasta takleef bhara zaroor he, lekin isi raastay mein aafiyat he...isi raastay mein hi asli manzil he. bohat khoob ME HERE...carry on sharing you so beautiful thoughts with us...be blessed
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?


              Assalaam-0-Alaikom:rose

              buht khobsorat aur sachay alfaaz hain....aur aik baat main nay mehsoos ki hai ....chahay ehsaas aur muhabbat ka raatsa kitna hi mushkil ho ...Dil humesha usi rastay per chalna chahta hai......:ghug:

              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: Main Yuunhi Chupp Rahoon?

                Bohat achi tehreer ka izafa kya hay Shummaila :)
                Pata kya hay
                Jab loto to koi ummid na bandho keunke uns ke badle uns nahi kam hi milta hay
                Allah

                Comment

                Working...
                X