Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~**Jaal Lafzo'n Ka**~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~**Jaal Lafzo'n Ka**~

    Samunder ki moajo'n si meray lafzon ki kahani hai.Moajayen jo ravani say sahil ki simat baherti hain. Miltay hi sahil say chhata hai sakoo'n in par. Meray alfaaz hain moajo'n say. Dil say zuban tak machaltay howey yeh barhatey hain, honto'n ko chhunay ki chah main bay khudi main sub bhul jatey hain. Aur miltay hi honton say dum toor deytay hain. Honto'n kay laraznay ka ahsaas kahan in ko?.......... Daytay hi nahi saath yeh.......Kaho kaisay tumhaye day doon koii iqraar ka lumha, koii izhaar ka lumha? Lafzo'n ki doar main na uljhaye to acha hai. Yeh doar suljhi hai na suljhaye gee kabhi. Kabhi aisa b hota hai kay suljhanay isay baitha jo, haatho'n ki lakiro'n main izafay hi ker baitha....... Isi liyea main kehti hoon yeh alfaaz ka khail na khailo tum. Yeh chain-o-sakoon lay ker ta'aumer bhataknay ko tumhaye tunha ker dayen gaye. Laafzo'n ki baazi main khasara hi khasara hai. Kabhi khush fehmi main ker kay mubtelah tumko, tamaashayii bun baithayen. Kahin yakin-o-bayyakini kay sehra kay beecho beech app pani bun baithayen. In bay reham lafzon say zara bach kay hi rehna tum. Bus dehaan rakhna tum kay yeh jaal lafzo'z ka kaatey nahi kat-ta .........
    Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
    Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
    Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
    Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
    Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n
Working...
X