Aaj achanuk dil chaha k apni zindagi k ik waqaya peesh karon per kuch naye andaz se
tu legeye hazir hai:
Pichle kuch weeks se humare school me jahan hum aaj kal apne johar dekha rahe hain or jinki badoulat hum apne aapko 'kamyou pout' kehne per fakhur mehsoos kerte hain, kuch programmes organize kiye thay jin me se ik din humain kuch show kerna tha. Aji!! show kia kerna tha kuch logon k baqoul stage per jaa ker mou parhna tha jo shayed itna muskil nahi tha lekin na janay humara yeh nanna sa dil kyun ghoray(horse) ki tarah teez dour raha tha. Us din k baray me sooch sooch ker humari neendain haram ho gaye thyein. Rozana mirror k samne jaa ker bar bar rehearsal kerte lekin mirror tu akhir mirror hai na, sari rehearsal bhula ker yeh soochne per majbour ker deta k akhir yeh hera, chand ka tukda is zameen per kia ker raha hai. Such hai humain tu khuda ki karigari per raksh hota hai. Per yeh duniya wale chain se kahan jeene dete hain. Jab bhi apna chand sa mukhra lay ker mirror k samne so-called rehearsal ke liye jate tu peeche se ik khoofnaak awaaz humare kanoon ke nazuk pardoun ko chirte hoye nikal jati or humare zehan k goushoon me cholay per rakha howa doodh yaad aa jata hai.Khair ALLAh ALLAH ker k akhir woh subah bhi aa gaye jab humain kum az kum 50-60
bachoon or 20-30 public ki mehfil k samne apna mou kholna tha.Waise tu hum ALhamdulliah kafi mou phat hain lekin kabhie kabhar sharm-o-haya humara darwaza bhi knock kerti hai.
Azmaish ki ghari ka wakt shoroo ho gaya tha. Hum nae sab se pehle fresh hona zaida munasib samjha or phir humari na akli tu dekhye stage per khoobsurat dikhne k liye raat ko soonay se pehle amla reetha jo sir per laga lia tha. Na janay kis dushman nae humare kaan bhare thay jo hum nae us azab ko apne sir per rakh diya. Pora 1 ghanta tu sirf fresh hone me hi lag gaya. Kambakhut sir se chut hi nahi raha tha, mano aisa laga jaise glue se chipak gaya ho. Kisi nae sahi hi kaha hai k amla reetha se baal chamakdar ho jate hain ab zahir hai itna shampoos lagayoo ge tu chamakdaar tu hone hi hain na. Shukar hai khuda hai baal sir per bach gaye warna hum nae tu hatyaar daal diye thay.khair jaise taise hum us azab se nikle tu sab se pehle khuda ka shukar ada kia or sajde me gir ker apni izzat ko bachanay ki faryaad ki. Jaise jaise school qareeb aata raha humare dil ki dhadkan barhti gaye. Kuch pal k liye tu humain yeh guman howa k kahin yeh humara akhri din na ho or phir abhi tu humari shadi bhi nahi hoye.
Khair phir woh ghari aa gaye jab humari azmayish shoroo thi. Hum bhi khuda ka naam lay ker aatish-e-namrood me qoud paray. Sharam-o-haya nae humari chader is tarah thami hoye thi k salam kehne k baad nazarin uth hi nahi sakeen. Baad me khayaal aya k is me sharmanay wali kia baat thi. Khair jaise taise hum nae programme ko khatum kia tu ik naye musebat samne aa gaye.14 saal apni ankhain parhayee me zaya kerne k baad humain jo mazeed 2 ankhon ka toufa mila uska istemaal kia tu yeh pata chala k dour bethe ik shaks jinhain sab camera man kehte hain humari movie bana rahe thay. Dil nae chut-tay hi kaha Loo Jee!! is hi cheez ki kami thi. Ik tu bathroom me fresh hone ki jadoujehead nae humare face ki attracion waise hi kharab ker di thi, dosra jo raha saha powder hum akhri lamhoon me apni mou per thoop ker aaye thay woh stage per janay ki tension nae pani me mila ker rakh diya or uper se yeh movie bana rahe thay. Yeh tu shukar hai k hum nae movie dekhi nahi warna khuda ki qudrat per jo raksh tha woh sara khak me mil jata.
Khair, umeed tu yeh thi k shayed hasb-e-mamool koi "Pyari" baat apni mouzaz boss se sunnay ko mile lekin humari ankhain or kaan donon us wakt dhoka kha gaye jab hum nae apne in gunahgaar ankhon or kanoon se apni boss k mou se phool jharte dekhe. Humain tu jaise apne uper yakeen hi nahi aa raha tha. Khair din bada acha guzra. Jaise hi ghar phaunche saray ghar walon ki fouj ko ikhata kia or doo chaar laga ker sari batayain batyeen. woh sab baray khush hoye. Ab yeh tu hum ya humara khuda hi janta hai k programme k douraan hum or humara dil kin kin azyatun se guzra. Per is din se humain bahut kuch hasil ho gaya pehla tu yeh k jaise ho waise hi raho..yeh out patang cheezain dour hi rakho warna jo rahe sahe baal hain woh bhi chalay jayein ge, dosra yeh ke tension kum hi loo warna movie achi nahi bane gi. Khair jo howa acha howa siwayee is baat k ke hum ko apne sir se us azab ko churanay ki bari mehngi keemat chukani pari woh aise k hum nae an janay me 4 adud buckets pani ki khali ker dein...2 tu fresh hone me or 2 fresh hone k baad satisfied na hone per, Ab amma abba nae hum se khare khare 200 Rs lay liye tank dalwane ki, Khair us azab se jaan tu chutti lekin hum nae almi record kayim ker lia 1 hour fresh hone ka.
Comment