Jannat sey Jaun ka Anwar Maqsood k naam khat
Anno jaani !!
Tumhara khat mila..Pakistan k haalaat parh kar koi khaas pareeshaani nahi hui.yahan bhi isi qism k haalaat chal rahey hain.Shayeron aur adeebon ney mar mar kar yahan ka bera gharq kardia hai.Mujhey yahan bhayyon k sath rehney k liye kaha gaya.Main ney kaha, main zameen par bhi bhayyon sey duur rehna pasand karta tha,aap mujhey koi quarter ata farmadein.Mustafa zaidi ney yeh kaam kardia aur mujhey quarter mil gaya.Magar iska design nasri nazm ki tarah hai jo samajh mein to ajaati hai magar yaad nahi rehti.Rozaana bhool jaata hoon k bedroom kidhar hai..Is quarter mein rehne ka aik faida hai..Meer Taqi Meer ka ghar saamney hai.Saara din unhi k ghar rehta hoon.Un k 250 ashaar,jin mein wazn ka fuqdaan hai,nikaal chuka hoon magar MEER sey kehne ki himmat nahi horahi.Koocha-e-sheir o sukhan mein sab sey bara ghar Ghalib ka hai.Main ney MEER sey kaha aap Ghalib sey barey shayer hain, apka ghar Aiwaan-e-Ghalib sey bara hona chahiye.Meer ney kaha darasl wo ghar Ghalib k susraal ka hai,Ghalib ney us pey qabza jama lia hai.Meer k ghar koi nahi aata..saal bhar k arsey mein sirf aik martaba Nasir Kazmi aaey wo bhi MEER k kabootaron ko dekhney.Aiwaan-e-Ghalib maghrib k baad khula rehta hai,jis ki wajah tum jaantey ho..
Mujhey kia bura tha marna agar aik BAR hota
Yahan aa kar yeh misra mujhey samajh mein aya..Is misery mein BAR angreizi ka hai.
2 martaba Ghalib ney mujhey bhi bulwaaya magar Muneer Niazi ney yahan bhi mera patta kaat dia.Sauda ka ghar mere quarter sey Sau qadam par hai.Yahan aney k baad main un sey milney gaya.Mujhey dekhtey hi kehne lagey..Mian ! tum mera sauda la dia karo..Maan gaya ! Sauda ka sauda laana mere liye bais-e-izzat hai.Magar jaani ! jab Sauda hisaab maangtey thay to mujh par qayamat guzar jaati thee Mian ! Jannat ki murghee itni mehngi ley aaye..Halwa kia niyaaz fatehpuri ki dukaan sey ley aaye ? Tumhein teendoN ki pehchaan nahi hai?..Har cheez pey aetraaz ! Mujhey lagta tha wo shak karney lagey hain k main saudey mein sey paisey rakh leta hoon.4 din pehle main ney un sey keh dia ..main urdu adab ki taareekh ka waahid shayer hoon jo 80 laakh cash chhor kar yahan aaya hai.Ap k teendoN sey kia kamaaonga?Ap ko bara shayer maanta hoon isi liye kaam karne ko tayaar hua..Main ney aap ki shayeri sey kisi qism ka faida nahi uthaaya , aap ki koi zameen* isteimaal nahi ki.Aaeenda apna sauda Faiz Ahmed Faiz sey mangwaya keejiye ta k wo apka thora bahut qarz to chukaaen.Mere haath mein bengan tha wo main ney sauda ko thama dia aur kaha
Bengan ko mry haath sey lena k chala main..
Ik shehed ki nehr k kanaarey Ahmad Faraaz sey mulaqaat hui.Main ney kaha mere baad aaye ho is wajeh sey khud ko bara shayer mat samajhna.Faraz ney kaha mushairey mein nahi aya.Phir mujh sey poochne lagey Umra o Jaan kahan rehti hai? Main ney kaha ruswa honey sey behtar hai ghar chaley jaao,mujhey nahi maloom k wo kahan rehti hai.
Jaani ! aik hoor hai,jo mere ghar har jumeraat ki shaam aalo ka bhurta paka kar ley aati hai.Shayeri ka bhi shauq hai,khud bhi likhti hai.Magar jaani jitni deir wo mere ghar rehti hai,sirf Mushtaq Ahmed Yusufi ka zikr karti hai.Us ko sirf Mushtaq Ahmed Yusufi sey milne ka shauq hai.Main ney kaha Khuda un ko lambi zindagi dey,Pakistan ko unki bahut zuroorat hai.Agar milna chaahti ho to zameen par jaao,jis qism ki shayeri kar rahi ho karti raho..wo khud tum ko dhoond nikaalenge aur picnic manaaney tumhein samandar k kanaarey ley jaengey.
Ibn e insha,Syed Muhammad Jafri,Shaukat Thanvi,Dilaawar Figaar,Fareed Jabalpoori aur Zameer Jafri aik quarter mein rehtey hain.In logon ney 9 november ko allama ki paidaish k silsiley mein dinner ka ahtmaam kia.Allama Iqbaal,Faiz,Qaasmi,Sufi Tabassum,Faraaz aur hum waqt-e-muqarrara par pahunch gaye.Quarter mein andhera tha aur darwaazey par parchi lagi thee
Hum log jahannum ki bhens k paaye khaaney ja rahe hain,Dinner agley saal 9 november ko rakha hai.
Agley din Allama ney aik press conference ki aur un sab ki adabi mehfilon mein shirkat par paabandi laga di.
Tum ney apney khat mein Mushfaq Khwaaja k baarey mein poocha..Wo yahaan akele rehte hain,kaheen nahi jaatey.Magar herat ki baat hai..Jaani ! main ney un k ghar urdu aur farsi k barey barey shayeron ko atey jatey dekha hai.Yahan aaney ki jaldi mat karna kyun k tumhare wahan rehney mein mera bhi faida hai.Agar tum bhi yahaan agaye to phir wahan mujhey kaun yaad karega??
Jeetey raho aur kisi na kisi par martey raho !! Hum bhi kisi na kisi par martey rahey magar jaani !... jeeney ka mauqa nahi mila !!
-Jaun.....
((((26th Nov 2008 ko Karachi Arts Council mein Jaun Elia ki yaad mein aik shaam manaai gai thee.Uss mein Anwar Maqsood sahab ney Jannat sey apney naam Jaun Elia ka ye khat paRh kar sunaaya.)))

Comment