Yun di humaye azaadi ke dunya huwi heraan
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan...
---------------------------------------------------------------------
Her simmt musalmano pe chahhi thi tabahi
Mulk apna tha aur ghairon ke hathon main thi shahi ...
Aise main utha deen-e-muhammad ka sipahi
Aur naarae takbeer se di tu naye gawahi ...
Islam ka jhanda liye aya her maidaan
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan ...
---------------------------------------------------------------------
Dekha tha jo Iqbal nae ek khwaab suhana
Us khwaab ko ek roz haqeekat hai benana ...
Ye socha jo tune tou hansa tujh pe zamana
Har chaal say chaha tujhe dushman ne harana ...
Maara woh tunaye daao ke dushman bhi gaye maan
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan ...
---------------------------------------------------------------------
Larne ka dushmano say ajab dhang nikala
Na toup na bandooq ka talwar na bhala ...
Sachai ke anmol asoolon ko sambhala
Jinnah tere paigham main jadoo tha nirala ...
Iman wale chal pare sunn ker tera farman
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan ...
---------------------------------------------------------------------
Punjab se, Bengaal se jawaan chal parey
Sindhi Balochi Sarhadi Pathan chal parey ...
Ghar baar chor ke sar-o-samaan chal parey
Sath apne muhajir liye quran chal parey ...
Aur quaid-e-millat bhi chaley honay ko qurban
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan ...
---------------------------------------------------------------------
Naqsha badal ke rakh diya is mulq ka tunaye
Saaya tha Muhammad ka Ali ka tere sir pe ...
Duniya say kaha tunaye koi humse na uljhe
Likha hai is zameen pe shaheedon ne lahoo say ...
Azad hain azad rahain ge ye Musalmaan
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan ...
---------------------------------------------------------------------
Hai aaj tak hamein woh qayamat ki gharee yaad
Mayyat pe tere cheekh ke humne jo kee faryad ...
Boli yeh teri rooh na samjho ise bezaar
Islam zinda hota hae har karbala ke baad ...
Gar waqt parhay mulk pe hojaaeye qurban
Ae Quaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan ...
Comment