Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

No more ...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • No more ...!

    // posted as blog last year, your thoughts on the topic are welcome.


    ____________________-
    Depression, Stress, aur dunya jahan ki worries, yahi sab hai jiss ney Insaan ki zindagi itni sochon sey bhar di hai k wo kuch bhi aur nahi soch sakta hai. 99.9% cases mey in sabhi Alfaaz ka ta'aluk Insaan k mustaqbil k sath hai. Kal kya ho ga ? Agar aeysa na hua ? Agar waisa ho gaya? Bohot saarey agar aur bohot saarey Kyun? ... Akhir Kyun Insaan ki zindagi bas issi k gird ghoomney lagi hai? Kyun Insaan her cheez apney Ikhteyaar mey samajta hai? ya phir apney Ikhteyaar mey leyney ki koshish kerta hai? Ya phir aeysa hota hai k Insaan samajta hai k wo sab kuch khud theek ker raha hai, theek ker sakta hai, theek ker deyta hai. Issi liye wo samajta hai k uss k ikhteyaar mey hai lekin her cheez uss k ikhteyaar mey nahi hoti hai aur phir aik waqt aeysa ata hai k wo apni saari energy bhi laga ley tau wo kuch bhi theek nahi ker pa sak raha hota hai, aik dam sey jab wo khud ko beybas dekhta hai tau uss sey apni beybassi bardasht nahi hoti, wo ye tasleem nahi ker pata k wo sab kuch theek nahi ker sakta hai aur result kya hota hai : Na khatam honey wala depression, zehni azziyat ? ...... Aur iss ka hal?

    Quran Paak ki aik bohot pyari Ayat hai: ".... Hukum tau sirf Allah hi ka hai, Ussi per mera bharossa hai aur bharossa kerney walo.n ko Ussi per bharossa kerna chahiye" (Yusuf: 67)



    Iss dunya mey sab kuch Allah T'ala k hukum sey hota hai, aur Allah T'ala apney bando.n ko sirf aur sirf behtareen a'ta kertey hain. Bando.n ka kaam sirf Shukur baja laana hai, balkey iss shukr baja laaney per bhi shukr ada kerna chahiye Uss Rab ka jiss ney hamien iss qabil banaya k ham uss ka shukur ada ker sakein.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: No more ...!

    Originally posted by Z. View Post
    [SIZE=3][COLOR=olive]Iss dunya mey sab kuch Allah T'ala k hukum sey hota hai, aur Allah T'ala apney bando.n ko sirf aur sirf behtareen a'ta kertey hain.
    Wa salaam

    Baqi batein baad mein, pehley is aik jumley ney meri nazar markooz rakhi hai... Kya waqey aisa hota hai? Kya waqey sab kuch Allah key hukum sey hota hai? Jo woh jhoot, fraud, ghabban, dagha'dehi, makro-fraib, gunah, buraiyaan hain, woh bhi Allah key hukum sey hoti hain? (na'aooz-o-billah)
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

    Comment


    • #3
      Re: No more ...!

      Originally posted by Admin View Post
      Wa salaam

      Baqi batein baad mein, pehley is aik jumley ney meri nazar markooz rakhi hai... Kya waqey aisa hota hai? Kya waqey sab kuch Allah key hukum sey hota hai? Jo woh jhoot, fraud, ghabban, dagha'dehi, makro-fraib, gunah, buraiyaan hain, woh bhi Allah key hukum sey hoti hain? (na'aooz-o-billah)
      وہ ذات با برکت ہے جس کے ہاتھ میں سب حکومت ہے اور وہ ہرچیز پر قادر ہے (۱) جس نے موت اور زندگی کو پیدا کیا تاکہ تمہیں آزمائيں کہ تم میں کس کے کام اچھے ہیں اور وہ غالب بخشنے والا ہے
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: No more ...!

        Originally posted by Z. View Post
        وہ ذات با برکت ہے جس کے ہاتھ میں سب حکومت ہے اور وہ ہرچیز پر قادر ہے (۱) جس نے موت اور زندگی کو پیدا کیا تاکہ تمہیں آزمائيں کہ تم میں کس کے کام اچھے ہیں اور وہ غالب بخشنے والا ہے
        Mera nahin khiyaal keh main ney is line ko context sey elag kar key parha hai :). Agar aap apni tehreer ka jaiza lein, to yeh aakhri paragraph aap ki tehreer la lab-e-lubaab hai aur haasil kalaam hai. Balkeh yehi aik jumla aap ki sari soch ka sar'chashma nazar aata hai, jabhi main ney is per istafsaar kiya hai. Jawab mein aap jo jo aayat-e-kareema biyaan ki hai, woh aap ki apni isi soch ka jawab hai. Yani aap ki aik post mein aik soch uthaii gaii hai, aur aap ki apni hi doosri post mein uska jawab mojood hai.

        Main itna kehna chahoon ga keh Allah Tabarak-o-Ta'ala ney insaan ko 'mehdood' haq-e-khud'mukhtari dey ker uskey ander mukammil taur per khud'mukhtaar bnaya hai. Jabhi insaan tumaam makhlooq sey afzal hain keh insaan Allah Tala ki hukum'adooli 'kar' sakta hai (na'aoozobillah). Yehi sey saza-o-jaza, sawaal-o-jawaab, jannat-o-jahanum aur zindagi-o-aakhrat ki falasfi samajh mein aati hai. Agar insaan (mehdood haq-e-khud'iradi mein rah ker) mukammil taur per khud'mukhtaar na ho to falsfa-e-hashar ki zaroorat nahin rehti :)
        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

        Comment


        • #5
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          Working...
          X