Assalamo Alaikum,
Yeh Hashim Nadeem ka aik novel he, Wahi Hashim Nadeem jin ka Novel Abdullah Jang magazine me ata tha...!!
Kaffi acha he...
DOWNLOAD LINK
Excerpts from Novel:
Yeh Hashim Nadeem ka aik novel he, Wahi Hashim Nadeem jin ka Novel Abdullah Jang magazine me ata tha...!!
Kaffi acha he...
DOWNLOAD LINK
Excerpts from Novel:
- Jis cheez ka insaan ko paband bana diya jae...rafta rafta usay wo pabandi bojh lagnae lagti he...!!
- Na'shukri ki wajah tamam arzo'n aur khuaishat ko paa lena hota he...na hum arzo ko paatey aur na nae khuaishat janam letein...bus sari zindagi kisi aik tamana me hi guzar jati to kitna acha hota...!!
- Shayd rishtay hi insaan ki sab se bari rukawat bun jatey he. Rishto'n kay taqazay insaan ko na'shukri aur khub se khub tar ki raes me shamil honey per majboor kardete hein...shayd dunya me agar har aadmi akela hi hota to isay zindagi itni kathin aur mushkil kabhi na lagti...!!
- Mutanaza hona bhi maqbool honay ki aik buhat bari nishani hey...!!
- Admi bina shadi kae tanha rahey to itna maza nahi ata...jitna shadi ke baad bivi ke maikae ja kar rehne ki sorut me tanhai muyassur anae kae baad ata he ...!!
- Inqilabi ka sab se bara gunah, Inqilab ki targheeb hi hota he ...!!
- Such kanto'n se bhara aik be'hud dushwar rasta he...aur muhabbat, hamein in kanto'n bhari rah per chalne ka saleeqa sikhati he...!!
- Yeh barishein bhi kitni ajeeb hoti he, kabhi to sari umar bhi mosla dhar barasti rahein, tub bhi insaan ka andar bhigo nahi pati aur kabhi har pal hamare man ko jal thul kye rakhti he..lekin bahir walo'n ko is ki khabar nahi hoti...!!
Comment