Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aansuu:(

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aansuu:(

    kabhi kabhi hamara zameer hamein mulamat karta hai k hum ne kisi ko dukh pohonchaya hai..
    hum unhein dukhi nahii karna chahtey..magar phir bhi hum unhein dukhi kar jatey hain..
    ap k dukh or dard intehaa ko pohonch chukey hotey hain is k bawajood ap apney chahney waley ko dard dey jatey hain..ya phir khud ko us k hawaley kar detey hain or buhut zyada rotey hain.... ya phir us ko dekh kar muskura detey hain or apney dukh bhool jatey hain...:d1:
    kabhi kabhi jub ap buhut dukhi hoon tu ap "aik lafz" suntey hain ya phir kuch baatein apney aas paas moujood logoo se jo un alfaaz se ap ka happiness level barrhana chahtey hain..
    ya aik na'kaam koshish karna chahtey hain ap ko muskurata dekhney ki..:wstupid:
    laikin afsoos wo kuch lafz ap k dil mai khanjar ki tarah lagtey hain or ap ko na chahtey howe un ko dukh dena parrta hai kkyunki ap mayoos hochukey hotey hain ...
    kyunki us waqt ap ki zaroorat hoti hai...

    "RONA"


    xindagii main bhut saari mushkilein ati hain..or dukhoon ki wajoohat tu ginni nahi jatein itni zyada hoti hain...:garmi:
    tu aisey main ap k dil k sub se qareeb ap ka dukh bantney wala or koi nahiin hota siwaye aik k .....

    "AP K ANSOO"

    kabhi kabhi ap apney kamrey main bina wajeh akeley baiTh jatey hain..apnii kambal le kar apney Thandey bed mai bilkul aisey simat k baith jatey hain jaisey..aik chotta sa darra howa masoom bacha..372-scare

    is k bawajood k logoo ne humesha ap ko aik hanstey muskuratey insaan k roop mai jana..:dance2:

    kyunki shayad ap ko guzarna parra ho kuch mushkil halaat se..Judayi, Na'kaami pyaar mai:shyy: ya parrhayi mai, Dhoka ya kuch or..
    in halaat ko sirf wohi samaj sakta hai jo in se guzar raha ho.....tu wo apney aansowoon ko apna behtareen dost manta hai jo us ka dukh bantey hain:hug:

    SO....

    roney se ghabraana nai..darna nahiin sharmana nahiin...:ys:

    kyunki ap k aansoo ap k dard ki shifaa hain...apney aansowoon k qaid na karo..
    hum kyun akhir apney aansoo dosroon se chupatey hain...balkey aksar khud se bhi???:hhh:
    yahan tuk k kuch mard tu apney aansoo is had tuk qaid kar letey hain, apney dard or dukh ko is hud tuk chupatey hain k buhut se amraaz ka shikaar hojatey hain...372-shock

    jub k hum jantey hain k aansoo tu jism se naqsaan'deh mawaad ko bahir nikaltey hain...


    tu meri azeez Behnoon...!!!

    hamarey aansoo behna tu buhut asaan hai...hamarey jazbaat tu buhut hi nazuk hain....humara dil tu bus....aah...
    :shyy::p

    Main..:hairdrayer:..main tu aksar akeley main itna rotii hon k hichkii lag jati hai..:cmm:..mujhey acha lagta hai..:lpop:..mujhey lagta hai k ye aansoo apney ander 100 diloon ki capacity liye baithey hain...so in ko sub kuch keh do..ye chup kar beh jayein gey or tumharey raaz apney saath khushk kar dein gey....


    So Logoo....

    :cmm:Kabhi Kabhi Ro Diya Karo:cmm:
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Aansuu:(

    You talk too much
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Aansuu:(

      Originally posted by munda_Sialkoty View Post
      You talk too much

      u ko kya poorey thread se sirf itna hi patta chala..:boink
      .......................!!!!!

      Comment


      • #4
        Re: Aansuu:(

        :star1:

        Comment

        Working...
        X