Koi bhi jub mujhey daikhta hai yahi kehta hai.."Tum main mujhey yahii pasand hai k tum bilkul mutma'en or humesha khush rehti ho"..Sub ko lagta hai k meri xindagii main koi ghum, koi dukh nahiin...Laikin haqeeqat yeh hai k koi insaan aisa nahiin jissey koi dukh, takleef ghum na ho...magar zaroori baat ye hai k in ko handle kaisey karna hai??...
Kuch logoon ko un ka ghum, un ki takleefein hara deti hain...wo kamzor parr jatey hain in takleefooN k saamney k wo jo chahey kar sakti hain in k saath..yahan tuk k un ki xindagii ki tamaam umeedein or jeeney ki himmat cheen leti hain...or sirf ghum hi hotey hain jo un k ander jeetey hain...or inhein apney liye musakhar kar detii hain...Or ba'az log inhein k saath jeetey hain tu ap ko wo humesha dukhi or ghum'geen nazar atey hain...har waqt dunya or is main rehney waloon or is xindagii se har waqt shikayat kartey rehtey hain...laikin phir sawaal ye hai k akhir hum jiyein tu jiyein kaise????kaisey daikhein hum apni dunya ko??kya apney aj ko qabool kar lein or apney mushkilaat k saath jiyein...or kahien ye hamarii qismat hai..ya phir un ka samna karein or un ko haraney ki koshish karein???
Dunya aisii nahiin hai..Dukhi..Andhair..or Mayoos ...zaroorat hai umeed ki...jis se hum har ghum jo hum par tassalut jamana chahta hai us ka saamna kar saktey hain...laikin sirf umeed se hi kaam nahiin chaley ga...balkey us k saath saath a'mal ki bhi zaroorat hai...Koshish,Mehnat or a'mal hi hai jo hamarey halaat ko behtar bana saktey hain...

Akhir main sirf itna..
"Manzilein khwahishoon se nahiin miltii balkey un ko haasil karna parrta hai"..
Comment