Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Signals in ur life..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Signals in ur life..!!!

    //

    \\

    //

    \\

    //


    Xindagii ki raah bhut lambii or kaThin hai
    or hosakta hai k tum xindagii main kuch aisii cheezoon ka saamna karo jinhein tum tawajuh na do..or un se Takra jao..tu tum ko halakat ki taraf le jao..ya aisii bad'naami jo shayad xindagii bhar saath rahey..
    isi liye apney raastey main kuch signals banao jo tumhein tumharii xindagii ka nizaam banaye rakhney main madad karein..

    Green signal:
    ye ishara hai naye harey bharey mustaqbil ki taraf chal parrney ka..wo mustaqbil jo umeedoon se bhara hai..khushiyoon se bhara hai..
    apney ap par bharosa rakho..maazi ki taraf na dekho..faqt us se jo tumhein faida dey wo lo , apnii ghaltiyoon se seekho or kul k liye mehnat karo..
    kabhi khwahishoon k footpath par na ruko k "Kaash" lafz aisey darwaazey khol deta hai jo buhut hi bhayanak anjaam tuk pohoncha saktey hain..
    apney saath is raah par sachayii, emaan'daari or husn'e'khalq ko le kar chalo..
    logon k saath waisa behave karo jaisa ap chahtey ho k wo ap k saath paish ayein..
    speed bilkul bhi na baRhao...xindagii k qawaneen ko na ToRoo..k raastey main achanak se kuch bhi asakta hai..
    koi bhi faisla letey howe apney aqal se mashwara karo..sabr se kaam lo..or kisi aisey insaan ki madad lo jis main hikmat ho,ilm ho or xindagii ka jissey Tajruba ho..
    Naseehat leney se hargiz na sharmao..apney se kum ko kabhi kam'tar na samjho k hosakta hai us k paas wo ho jo ap k paas nahiin..

    Yellow signal:
    is waqt apnii speed zara kum karo..mushkilaat k saamney daT k kharrey ho..sabr se, or sakoon se..
    koi bhi faisla letey jald'baazi na karo k hosakta hai apney aas paas mujood logoon par zulm kar baiTho, bilkul relax kar k gehrii saans lo..or apney aas paas jo raha hai us k baarey main sochoo..
    Sabr agar bazaat'e'khud kaRwa hota hai magar us ka anjaam buhut meeTha hota hai..
    ((استَعِينُواْ بِالصَّبرِ وَالصَّلاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ ))
    thorra sa sabar kar lo k har mushkil k baad asaani ati hai..har kaam ka apna waqt hota hai..
    har museebat par sabar karo or us k saamney daT kar khaRey ho..or jaan lo k ye jahaN faani hai..
    kuch baatein aisii hoti hain jo tumhein ghussa dila saktii hain magar us ghussey ki chingari ko nafrat ki aag laganey ki ijazat hargiz na do..
    sabar se kaam lo or Thandey dimagh se ye samjney ki koshish karo k in museebatoon or mushkilaat ka tumharii xindagii main aney ka koi na koi maqsad tu zaroor hoga..
    Maaf karna seekho..jo tumhein dard dey us se haath milana seekho..or apni xindagi main choTi choTi baatoon ko zyada baRa na banao..
    Tabhi tumharii nafs ko qaraar hasil hoga..!!!

    Red Signal:
    is waqt tumharey saamney koi or choice nahiin...rukna tu tumhein parrey ga..agar isey cross karo gey tu jurmana hoga..BUHUT BHAARI JURMANA..hosakta hai doosroon se pehley tum khud ko kho do..
    Ruk Jao...!!!!!!!!!
    pachtao gey nahiin...kuch dair k liye ruk kar xindagii k ma'eenoon par ghor karoo..xindagii ko samajhney ki koshish karo..
    apnii nafs ka hisaab karo..kisi k haq main koi gunah kiya ho tu maafi maango..apna pyaar doosroon ko do k wo tumhein pyaar dein..
    apney ird gid k logoon main muskurahaTien baanTo..k muskurahaT sadqa hai..
    apney maal main se doosroon ka hissa unhein do..kisi Yateem k aansoo poonch do..kisi mareez ka dard kum karo..
    xindagii k GaaRhi ko aik baar phir doRaney se pehley soch lo kaisa start lo gey...apney liye aik map banao..or usi par chalo..signboards ka dehaan rakho..un se faida uThao..taakey kamyaabi haasil kar pao..
    or is raastey par nikalney se pehley apney saath Xindagii ki muhabbat, kamyaabi ki Umeed or hosla letey chalo...taakey jo khwaab dekhey hoon unhein poora kar pao..
    //

    \\


    apni xindagi main ye signals banao..in ka khayal rakho...khud ko or dosroon ko khush or salamat rakhney k liye..

    //

    \\
    *************************

    Last edited by BhaTaktii RooH; 7 July 2010, 13:43.
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Signals in ur life..!!!

    trheek

    Comment


    • #3
      Re: Signals in ur life..!!!

      اسلام علیکم
      مجھے یہ تحریر پڑھ کر اندازہ ہو رہا ہے کہ میں جو تمھیں بچے،چھوٹی سی بہنا ،ننھی سی گڑیا جیسے الفاظ کے ساتھ مخاطب کرتا رہا ہوں تو میں کتنی بیوقوفیاں کرتا رہا ہوں :(۔
      تم تو بڑی دادیوں جیسی ہو،کسی بہت بڑے مفکر کی طرح ہو کسی جھریوں میں سمٹی الچھی ہوئی داستاں کی طرح ہو۔بے شک کہ زندگی کے تین ہی رُخ ہیں اور جس طرح سے تم نے ان تینوں رُخوں کو وضاحت کے ساتھ بیان کیا ہےوہ تمھاری گہری سوچ وسیع علم اور مشاہدے کا منہ بولتا ثبوت ہے
      اللہ جی تمھیں شاد رکھیں آباد رکھیں
      Last edited by S.Athar; 7 July 2010, 17:32.
      :star1:

      Comment


      • #4
        Re: Signals in ur life..!!!

        و عليكم السلام

        bhaijaan be'waqoofiyaan nai ap ka pyaar hai...or mujhey buhut acha lagta hai:)

        passand karney k liye shukriya..
        .......................!!!!!

        Comment

        Working...
        X