Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil ka sakoon..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dil ka sakoon..!!!

    Un sub k liye jinhein kisi mushkil gharri main koi mushkil faisla karna parra...!!!!

    Dil ka sakoon yeh hota hai k aap jantey hoon keh ap ne jo kiya hai..yeh wohii kaam hai jo ap karna chahtey they or yeh k ap apney ap ko un lamhoon k liye maaf kar dein jin main ap utnii quwat main nai they jitnii quwat honi chahye thii..
    Yeh sakoon koi zyada mushkil nahiin hai..
    Jab ap ko koi kaam dil ka sakoon dhoondtey howey karna parta hai..tu yeh ap ko kabhi nahiin miley ga kyunki wo sakoon jo ap dhoond kar hasil kartey hain wo naqlii or waqtii hota hai...
    Sakoon acha kaam karney se pehley hona chahye na k achey kaam k nateejey main..agar ap ki niyyat saaf or khayalaat naik hain sirf tabhi ap ko dilli sakoon mil sakta hai..
    Ap ko dosroon ko maaf karney se pehley hi dilli sakoon mil sakta hai agar ap sachey hoon or ap k dil main maafii ki niyat ho..
    Mushkil ka samna karney se pehley hi ap ko sakoon mil sakta hai agar ap ki niyyat us ka muqabla karney ki hai..
    Ap k dil ki naik khwahishaat or achey a'maal karney ki sirf soch hi ap ko dilli sakoon dey saktii hai..
    Agar ap ko sakoon hasil karney k liye kuch karna parrey chahey kisi ki koi pareshaani or takleef hi door karna kyun na ho..tu ap ka sakoon us waqt bijlii ki taizii se ghayab bhi hojata hai..
    Sacha dilli sakoon yeh jan'na hai keh jo ap ko karna chahye tha ap wohi karein..apney musbat jawanib or achey or naik a'maal karney ki qudrat par bharosa rakhein..

    *****************
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Dil ka sakoon..!!!

    right

    Comment


    • #3
      Re: Dil ka sakoon..!!!

      meri be kuch kuch issy hai khayalaat hai :)
      @ buht umdha.. khush raho
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: Dil ka sakoon..!!!

        .......................!!!!!

        Comment


        • #5
          Re: Dil ka sakoon..!!!

          bahut khoob
          sigpic
          :hii:

          Comment


          • #6
            Re: Dil ka sakoon..!!!

            Amal se zindagi banti hai... jannat bhi , jahannum bhi
            Yeh khaaki apni fitrat ki na noori hai na naari hai...

            achi soch ka kaya faida jiss mein amal na ho.
            I disagree from ur some points.

            Comment


            • #7
              Re: Dil ka sakoon..!!!

              g is baat se tu koi inkaar nahiin k amal k baghair socha ka koi faida nahiin....

              ap kis point se disagree kartey hain ...bata deejiye ..may b i can explain it...
              .......................!!!!!

              Comment

              Working...
              X