Re: Mout..!!!
patta nai ap ko kahan sey aisa laga k mout k mafhoom se na'aashna hain hum...koi khaas wajah??
G bilkul sahee kaha k "Har mout ko qabristaaN naseeb nahiin"...Laikin hum sirf apney mushahidey ki baat kar rahey they...yahan choonkeh hum ne sirf qabristan hi dekhey hain...kisi ka apney murdoon ko jalana nahiin..samundar mai gharq hona nahiin...so isi liye Qabristaan hi ka zikr kiya...faqt aik "Misaal" k tour par..
Janab...mout ko koi bhoolta nahiin....bilkul theek...har aik jaan'daar har tareeqey se khud ko bachaney k saarey ihteyaat karta hai...koi shak nahiin....par Yahan jis sense mai mout ko bhoolney ki baat horahi hai wo ye keh...Hum jantey tu hain k jis amal par mout aye gi usi amal par humein uThna hai dobara...laikin is k bawajood gunaah kartey howey hum ye sochtey nahiin k agar yahii gunah kartey howey mar gaye tu????matlub us waqt aik tareeqey se hum mout ko zara side pey rakh k mazey se gunaah kartey hain...
Hope its clear...
ye baat bhi buhut achi kahii ap ne k Mout aik Ne'amat hai...is par i think ap hi k aik thread mai baat hochuki hai...bus wohi khayal hai hamara bhi...
or Janab sawalaat ap se jawab leney k liye nai poochey....shayad last line ap ne theek se parrhi nai..
yahan maqsad faqt reader ko ye sub yaad dilana tha...k apney aap se ye sawal poochey...answer karey or andaza lagaye k kahan kahan hum kya kya kho chukey or kya kya kho rahey hain...:)
Originally posted by baniazkhan
View Post
Originally posted by baniazkhan
View Post
Originally posted by baniazkhan
View Post
Hope its clear...
Originally posted by baniazkhan
View Post
Originally posted by baniazkhan
View Post
Originally posted by BhaTaktii RooH
View Post
Comment