Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mout..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mout..!!!

    Insaan jub Qabristaan ki taraf jata hai tu sirf khamoshi, sannaTa..wo mout ki ajeeb si boo..Dil ki dhaRkanein tham si jatii hain, Saans letey darr lagta hai..aik ajab sa khof taree hojata hai..lagta hai k bus agar louT kar gaye tu shehar k shehar khaali milien gey...abaadii nahii har taraf sirf veerani hi hogi..sub log tu mar chukey hain..koi xinda bacha hi nahiin..ab bus main or phir Qayamat...

    Laikin kuch hi lamhey or shehar main louT'tey hi lagta hai k ..Nai wo sub tu bus aik dhoka tha...har taraf logooN ki bheeR, GaaRiyooN ka shor, har taraf chehel pehel...Haan yehii tu hai asal dunya..jahaN na tu mout hai na mout ka khof..yahan jo atta hai kabhi jata hi nahiin..Yahii hai wo dunya jis main sub xinda hain or kabhi koi marta hi nahiin..Haan is dunya main sabhi ko rehna hai or humesha rehna hai..Yahan atey hi Allah ko bhool gaye, Mout ko bhool gaye, Qayamat ko bhool gaye...

    Aj kisi ki mout hamarey liye ibrat kyun nai bantii?? Kyun hum apney saamney logoon ko marta dekh kar bhi khud ko la'faani samjhtey hain?? Kyun aj hum yeh bhool gaye k jo xindagii humein milli hai is ka koi khatma bhi hai??

    Aj hum yeh ayat bhool kar bus apnii xindagii main magan hain...كل نفس ذائقة الموت

    Akhir Kyun???

    tu kya ap ne us xindagii k liye kuch kiya jo mout k baad shuru hogi??

    Kya ap ki yeh khwahish hai k ap ki manzil Jannat hogii??

    shayad mujh se or likha na jaye laikin umeed karti hoon k jo message main ap tuk pohonchana chahti thii..wo pohonch gaya hoga..:)
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Mout..!!!

    As salam o Alaikum,

    office maiN hooN is leay tafseeli jawab nahe day sakta, udhar raha.

    apna khayal rakheen.
    That's Enough...!!

    Comment

    • #3
      Re: Mout..!!!

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
      As salam o Alaikum,

      office maiN hooN is leay tafseeli jawab nahe day sakta, udhar raha.

      apna khayal rakheen.
      و عليكم السلام و رحمة الله
      Ammu g jub waqt milley tub dey dejiye ga..bus humein be'sabree se ap k jawaab ka intezaar rahey ga..

      ap bhi apna dhair sara khayal rakhye ga...Allah Hafiz..
      .......................!!!!!

      Comment

      • #4
        Re: Mout..!!!

        walekum salam
        esi baten me bohat sochti hun....moat ka tasawur karti hun k jab farishta aey ga tab kia ho ga....me kia kar rahi hun gi jab wo achanak ajaey ga?wo kesa ho ga?kese samna karun gi?me us ko dekh kar kia react karun gi....moat ki takleef kis kadar mile gi?qabar ka mahol kesa ho ga?mujh se jo sawal pooche jaen ge un ka jawab de bhi paun gi ya nahi....meri rooh ileen me jaey gi ya sijeen me....phir Allah se dua karti hun....ese zindagi guzarne ki dua karti hun k Allah ki jis me narazgi na ho...mere Allah ji mujh se khush hon,razi hon...mujh gunahgar ko bakhsh den...Allah se rehem mangti hun...umid rakhti hun k Allah apni is bohat hi hakeer or mamuli si bandi ko moaf kar den ge...apni rehmat k saey me le kar bakhsh den ge....apne piyare habeeb k sadqe moaf kar den ge...:rose

        Comment

        • #5
          Re: Mout..!!!

          Huzoor PAk (S.A.W.W) ka farmaan-e-Alishan hai, " Kasrat se Qabristan jaya karo "

          Mafhooom: Jub hum kasrat se qabristan jayen ge to hum apni asal manzil yaad rahe gi, aur apni aakhrat ki fikar rahe gi

          Jub hum qabristan se bahir nikalte hen to Dunya ki rounaqon me gum ho jaate hen aur bhool jaate hen ke Qabristan sey nikalte waqt hum ne jo ehad kiya tha woh hum me pas-e-parda chhor dya hai

          Comment

          • #6
            Re: Mout..!!!

            Originally posted by Mr.Khan View Post

            bilkul sahee kaha bhaijan...aj kul hum sub itney be'his hogaye hain k yeh mout or akhirat wali baatein hum par koi asar nai kartein...apney saamney kisi ko marta dekh insaan ko apni mout ki fikarkarnii chahye magar hum...................

            Hazrat Ali (razi'allahu' anh) farmatey hian..."apni dunya k liye amal karo bilkul is tarah jaisey humesha rehney waley ho or apnii akhirat k liye amal karo bilkul is tarah jaisey kul hi marney waley ho"..

            Allah hum main apnii mout ko yaad rakh kar us dunya k liye amal karney ka sha'or paida karey...Ameen..
            .......................!!!!!

            Comment

            • #7
              Re: Mout..!!!

              Originally posted by AbgeenA View Post
              walekum salam
              esi baten me bohat sochti hun....moat ka tasawur karti hun k jab farishta aey ga tab kia ho ga....me kia kar rahi hun gi jab wo achanak ajaey ga?wo kesa ho ga?kese samna karun gi?me us ko dekh kar kia react karun gi....moat ki takleef kis kadar mile gi?qabar ka mahol kesa ho ga?mujh se jo sawal pooche jaen ge un ka jawab de bhi paun gi ya nahi....meri rooh ileen me jaey gi ya sijeen me....phir Allah se dua karti hun....ese zindagi guzarne ki dua karti hun k Allah ki jis me narazgi na ho...mere Allah ji mujh se khush hon,razi hon...mujh gunahgar ko bakhsh den...Allah se rehem mangti hun...umid rakhti hun k Allah apni is bohat hi hakeer or mamuli si bandi ko moaf kar den ge...apni rehmat k saey me le kar bakhsh den ge....apne piyare habeeb k sadqe moaf kar den ge...:rose
              haan rita apney a'maal ko dekh kar bunda aik lamha agar sochey k mout tu kisi bhi lamhey aa dabochey gii...na janaey main us waqt kya amal kar raha hoon ga...or yeh yaad rakhey k qayamat k din main ne usi amal par dobara xinda hona hai...yeh soch insaan ko sudharney or naik amal karney ki toufeeq deti hai..

              Allah se dua' hai k humein us amal par uThaye jo Usey pasand ho..jis par Wo raazi ho...Ameen...
              .......................!!!!!

              Comment

              • #8
                Re: Mout..!!!

                Originally posted by Raniya View Post

                ameen

                Comment

                • #9
                  Re: Mout..!!!

                  Originally posted by Mr.Khan View Post
                  Huzoor PAk (S.A.W.W) ka farmaan-e-Alishan hai, " Kasrat se Qabristan jaya karo "

                  Mafhooom: Jub hum kasrat se qabristan jayen ge to hum apni asal manzil yaad rahe gi, aur apni aakhrat ki fikar rahe gi

                  Jub hum qabristan se bahir nikalte hen to Dunya ki rounaqon me gum ho jaate hen aur bhool jaate hen ke Qabristan sey nikalte waqt hum ne jo ehad kiya tha woh hum me pas-e-parda chhor dya hai
                  lekin khwateen ko to qabrstan jane se manah kia gya he to wo kese ibrat pakren?jab k aj khwateen ko zeada zarurat he is baat ki k wo dheron fitnon ka bais ban rahi hen....

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mout..!!!

                    Originally posted by Raniya View Post
                    Insaan jub Qabristaan ki taraf jata hai tu sirf khamoshi, sannaTa..wo mout ki ajeeb si boo..Dil ki dhaRkanein tham si jatii hain, Saans letey darr lagta hai..aik ajab sa khof taree hojata hai..lagta hai k bus agar louT kar gaye tu shehar k shehar khaali milien gey...abaadii nahii har taraf sirf veerani hi hogi..sub log tu mar chukey hain..koi xinda bacha hi nahiin..ab bus main or phir Qayamat...

                    Laikin kuch hi lamhey or shehar main louT'tey hi lagta hai k ..Nai wo sub tu bus aik dhoka tha...har taraf logooN ki bheeR, GaaRiyooN ka shor, har taraf chehel pehel...Haan yehii tu hai asal dunya..jahaN na tu mout hai na mout ka khof..yahan jo atta hai kabhi jata hi nahiin..Yahii hai wo dunya jis main sub xinda hain or kabhi koi marta hi nahiin..Haan is dunya main sabhi ko rehna hai or humesha rehna hai..Yahan atey hi Allah ko bhool gaye, Mout ko bhool gaye, Qayamat ko bhool gaye...

                    Aj kisi ki mout hamarey liye ibrat kyun nai bantii?? Kyun hum apney saamney logoon ko marta dekh kar bhi khud ko la'faani samjhtey hain?? Kyun aj hum yeh bhool gaye k jo xindagii humein milli hai is ka koi khatma bhi hai??

                    Aj hum yeh ayat bhool kar bus apnii xindagii main magan hain...كل نفس ذائقة الموت

                    Akhir Kyun???

                    tu kya ap ne us xindagii k liye kuch kiya jo mout k baad shuru hogi??

                    Kya ap ki yeh khwahish hai k ap ki manzil Jannat hogii??

                    shayad mujh se or likha na jaye laikin umeed karti hoon k jo message main ap tuk pohonchana chahti thii..wo pohonch gaya hoga..:)
                    Bohat acha likha hai aap nai...:thmbup:

                    Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mout..!!!

                      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                      As salam o Alaikum,

                      office maiN hooN is leay tafseeli jawab nahe day sakta, udhar raha.

                      apna khayal rakheen.
                      ammu G ...hope ap ko yaad hoga...!!

                      aj ap k jawaab ki lagta hai zaroorat parr hi gayii...warna ap ko bilkul takleef na deti...!!
                      .......................!!!!!

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mout..!!!

                        سب سے پہلے تو میں یہ کہنا چاہوں گا کہ آپ نے جو کچھ بھی لکھا ہے وہ اچھا ہے کافی حد تک لیکن اس تحریر سے اس بات کا اندازہ لگانا مشکل نہیں ہے کہ اس تحریر کا خالق خالق حقیقی کے موت کے مفہوم سے ناآشنا ہے.

                        میں نہیں سمجھتا کہ قبرستان کا کوئی تعلق موت سے ہے مسلمان مردوں کا تعلق تو قبرستان سے کہا جاسکتا ہے مگر موت کا نہیں. بہت سے لوگوں کو تو قبرستان نصیب نہیں ہوتا کیوں کہ انکو جلایا جاتا ہے اور بہت سوں کو گدھ کھا جاتے ہیں بہت سے ایس ہیں جو سمندر میں غرق ہوجاتے ہیں الغرض یہ کہ مرتے سب ہیں مگر ہر موت کو قبرستان نصیب نہیں

                        اکثر ہم کہتے ہیں کہ آجکل لوگ موت کو بھول چکے ہیں. اس طرح کے کام کرتے ہیں کہ لگتا ہے انہوں نے ہمیشہ یہیں رہنا ہے مگر حقیقت یہ ہے کہ موت کو کوئی نہیں بھولتا آپ کسی بھی شخص سے پوچھ لیں کہ کیا اپ کو موت آئے گی وہ کبھی انکار نہیں کرے گا یا کبھی یہ نہیں کہے گا کہ یہ موت ہوتی کیا ہے کہیں سنا تو ہے مگر یا د نہیں ، انسان تو انسان موت کو تو جانور بھی نہیں بھولتا ، ہرن شیر کو دیکھ کر کس طرح بھاگتا ہے اسے بھی معلوم ہے موت کے بارے میں، یہ تو ہوگیا ان جاندروں کی بات جو ہوش و حواس میں ہوتے ہیں مگر اب جو بات میں بتانے لگا ہوں شاید اس پر اپ کو یقین نہ ائے مگر کبھی آزما کر دیکھیے گا میں نے پاگل کتے کو بھی سڑک کراس کرتے ہوئے دائیں بائیں دیکھ کر کراس کرتے ہوئے دیکھا ہے

                        میں چاہوں تو فلسفے کی رو سے اس پر کافئ کچھ کہہ سکتا ہوں مگر ایسی باتوں کا فائدہ کیا جو سر کے اوپر سے گذرے، میں اکثر کہتا ہوں موت برحق ہے زندگی میں شک ہے، آپ ذرا خود سوچیں کہ اگر زندگی نہ ہوتی تو کیا موت اور کیا مرنا.
                        پتہ نہیں میں ابھی کس موڈ میں ہوں اور موت کے بارے میں کیا لکھ رہا ہوں لیکن مجھے افسوس ہے کہ میں خدا کا پیش کردہ موت کا مفہوم ابھی نہیں لکھ پاؤں گا. بس ابھی اتنا ہی کہہ دیتا ہوں کہ میرے اللہ نے موت کو نعمت کہا ہے اور جس چیز کو میرا خدا نعمت کہہ دے میں اس سے منہ کیسے موڑ لوں

                        آپ نے جو آخر میں سوالات پیش کیے ہیں ان میں سے پہلے سوال کا جواب میں دینا نہیں چاہتا اور دوسرے کا جواب یہ ہے کہ دنیا کے کسی بھی مذہب کا انسان جہنم کی خواہش نہیں رکھتا
                        Last edited by Baniaz Khan; 20 June 2011, 12:39.

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mout..!!!

                          Originally posted by BhaTaktii RooH View Post

                          ammu G ...hope ap ko yaad hoga...!!
                          aj ap k jawaab ki lagta hai zaroorat parr hi gayii...warna ap ko bilkul takleef na deti...!!
                          shoooly yaad to nahe tha, yaad karwanay ka shukria yeh mozo bhi pipeline maiN hai, wesay aik article likha tha jis maiN "is" zindagi ko khuwab say tabeer kia gaya tha, tum nay paRha bhi tha, mera kuch aisa he nazariya hai, bahar'haal koshish karonga isi haftay kuch post kar sakoon.
                          That's Enough...!!

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mout..!!!

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            shoooly yaad to nahe tha, yaad karwanay ka shukria yeh mozo bhi pipeline maiN hai, wesay aik article likha tha jis maiN "is" zindagi ko khuwab say tabeer kia gaya tha, tum nay paRha bhi tha, mera kuch aisa he nazariya hai, bahar'haal koshish karonga isi haftay kuch post kar sakoon.
                            thnx ammu...:')
                            .......................!!!!!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mout..!!!

                              @Baniaz G

                              In'sha'Allah jald reply karoon gi...
                              .......................!!!!!

                              Comment

                              Working...