Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Doulat Aur Ilm

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Doulat Aur Ilm

    Click image for larger version

Name:	salaam.gif
Views:	98
Size:	12.3 KB
ID:	2479581



    Doulat , Firoan ka wirsa hai aur Ilm Nabiyon ka


    Doulat ki hifazat insaan karta hai aur Ilm insaan ki,


    Doulat'mand ke dushman buhat hote hen aur Aalim ke dost buhat hote hen,


    Doulat insaan per gunaah ke darwazay kholti hai aur Ilm insaan ke liye jannat
    ki raah kholta hai,


    Doulat , gharoor or takabbur paida karta hai aur Ilm ghuroor aur takabbar se
    bachata hai,



    :jazak:

  • #2
    Re: Doulat Aur Ilm

    :thmbup: :phool:
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Doulat Aur Ilm

      Walaikum Assalaam WR WB

      Bohat khoob Mr. Khan, JAZAK ALLAH KHAIR kay aap nay itnay achay tareeqay say ILM aur DOULAT ka muwaazna kardiya, hum sab shuroo main husool-e-ilm kay liye tag-o-do kartay hain aur jab achi taleem haasil kar laitay hain tou apni asal taleem aur tarbiyat bhula kar DAULAT kay haseen samandar main ghotazann hotay hain, aur iss samandar kay iss qadar maahir tairaak bannnay ki koshish kartay huway kayi ahoon ko, kayi ehsasaat ko, izzat ko, ghairat ko iss main DIBOO daitay hain.

      Meri nazar main TALEEM ka asal maqsad Doulat ka husool nahin balkay MIYANARAWI hay, kam main KHUSH rehna ziyda ki tamanna na karna, aur apnay atraaf main basnay waalay logon ki izzat aur unkay dili jazbaat ka ehtiraam karna, IZZAT kay saath RIZQ-E-HALAL ko haasil karna aur izzat kay saath ussko kharch karna.

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN.

      Isi tarah apni khoobsurat tehreeron say hum sab ko achay achay message farahim kartay rehyeh, khush rahyeh.

      Fi Amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Doulat Aur Ilm

        Originally posted by thefire1 View Post

        Meri nazar main TALEEM ka asal maqsad Doulat ka husool nahin balkay MIYANARAWI hay, kam main KHUSH rehna ziyda ki tamanna na karna, aur apnay atraaf main basnay waalay logon ki izzat aur unkay dili jazbaat ka ehtiraam karna, IZZAT kay saath RIZQ-E-HALAL ko haasil karna aur izzat kay saath ussko kharch karna.
        buhat achi sooch hai aapki.....

        Allah Talah aap ko apki tamaam sooch or maqsad me kamyaab karen :dua

        Ameen

        Comment


        • #5
          Re: Doulat Aur Ilm

          Bohhatt Aalllaa janabbb
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • #6
            Re: Doulat Aur Ilm

            Al-Quran,Sura Bqrah,216

            Tum Kisi Bhe Shaks Ko Bura Na Samjho,Shayed Wo Wesa Na Ho Jis Trhain Tm Samjhte Ho,
            Haqiqi ilm Tu ALLAH
            K Pas He Hy
            Or Tm Tu La-ilm Ho

            Al-Quran,Sura Bqrah,216

            Comment


            • #7
              Re: Doulat Aur Ilm

              Behdd khoobsurat

              Comment

              Working...
              X