``
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Hum Sirf Muslmaan Hain
Collapse
X
-
Re: Hum Sirf Muslmaan Hain
yaqeenan yeh ham meN kamii hai k ham muslamaan hone ke da've to hazaar karte haiN magar na hii ham ne apne aapko HissoN meN, firqoN meN aur 'ilaaqoN emN baaNT liyaa hai...ham 5 ungliyoN meN baT gaye...kia hii Khoob hotaa agar ham ek ho kar nuTThii ban jaate to kia majaal thii k koi hameN aaNkh bhii uTha kar dekhtaa:
munfa'it ek hai is qaum kii, nuqsaan bhii ek
ek hii sab kaa nabii, deen bhii, iimaan bhii ek
Haram-e-Paak bhii, Allah bhii, Qur'aan bhii ek
kia barii baat thii hote jo muslmaan bhii ek
firqa_bandii hai kahiiN aur kahiiN zaateN haiN!
kia zamaane emn panapne kii yehii baateN haiN?
aur yeh bhii 'allamaah hii farmaa gaye k:
yuN tp saiyad bhii ho, mirzaa bhii, afGhana bhii ho
tum sabhii kuchh ho, bataao k musalmaan bhii ho?
yaa phir:
qaum mazhab se hai, mazhab jo nahiiN tum bhii nahiiN
jazb-e-baaham jo nahiiN, maHfil-e-anjum bhii nahiiN
in sab ke ba'd muslim ko naa_ummiid nahiiN honaa chaahiye. Khushk zameen se hii sabza ugtaa hai. 'allaamah kaa ek band hai:
dekh kar rang-e-chaman hoN na parishaaN maalii
kaukab-e-Ghuncha se shaaKheN haiN chamakne waalii
Khas o Khaashaak se hotaa hai gulistaaN Khaalii
gul bar_andaaz hai Khoon-e-shohadaa~ kii laalii
rang gardooN kaa zaraa dek to 'onnabii hai
yeh nikalte huye sooraj ufaq taabii hai
aur aaKhir meN dekhiye Allah kii kia razaa aur mansha hai...kaise Allah ne ahm se va'da kiyaa hai k:
'aql hai terii sipar, 'ishq hai shamsheer terii
mere darva'ish! Khilaafat hai jahaaN_geer terii
maa_sivaa Allah ke liye aag hai takbeer terii
tu musalmaaN ho to taqdeer hai tadbeer terii
kii MoHammad [saws] se vafaa tu ne to ahm tere haiN
yeh jahaan cheez hai kia lauH o qalam tere haiN...lauHo o qalam tere haiN...lauH o qalam tere haiN :)
Fall view from inside my car
near my work place :)
Comment
-
Re: Hum Sirf Muslmaan Hain
Originally posted by SherAli View Postyaqeenan yeh ham meN kamii hai k ham muslamaan hone ke da've to hazaar karte haiN magar na hii ham ne apne aapko HissoN meN, firqoN meN aur 'ilaaqoN emN baaNT liyaa hai...ham 5 ungliyoN meN baT gaye...kia hii Khoob hotaa agar ham ek ho kar nuTThii ban jaate to kia majaal thii k koi hameN aaNkh bhii uTha kar dekhtaa:
munfa'it ek hai is qaum kii, nuqsaan bhii ek
ek hii sab kaa nabii, deen bhii, iimaan bhii ek
Haram-e-Paak bhii, Allah bhii, Qur'aan bhii ek
kia barii baat thii hote jo muslmaan bhii ek
firqa_bandii hai kahiiN aur kahiiN zaateN haiN!
kia zamaane emn panapne kii yehii baateN haiN?
aur yeh bhii 'allamaah hii farmaa gaye k:
yuN tp saiyad bhii ho, mirzaa bhii, afGhana bhii ho
tum sabhii kuchh ho, bataao k musalmaan bhii ho?
yaa phir:
qaum mazhab se hai, mazhab jo nahiiN tum bhii nahiiN
jazb-e-baaham jo nahiiN, maHfil-e-anjum bhii nahiiN
in sab ke ba'd muslim ko naa_ummiid nahiiN honaa chaahiye. Khushk zameen se hii sabza ugtaa hai. 'allaamah kaa ek band hai:
dekh kar rang-e-chaman hoN na parishaaN maalii
kaukab-e-Ghuncha se shaaKheN haiN chamakne waalii
Khas o Khaashaak se hotaa hai gulistaaN Khaalii
gul bar_andaaz hai Khoon-e-shohadaa~ kii laalii
rang gardooN kaa zaraa dek to 'onnabii hai
yeh nikalte huye sooraj ufaq taabii hai
aur aaKhir meN dekhiye Allah kii kia razaa aur mansha hai...kaise Allah ne ahm se va'da kiyaa hai k:
'aql hai terii sipar, 'ishq hai shamsheer terii
mere darva'ish! Khilaafat hai jahaaN_geer terii
maa_sivaa Allah ke liye aag hai takbeer terii
tu musalmaaN ho to taqdeer hai tadbeer terii
kii MoHammad [saws] se vafaa tu ne to ahm tere haiN
yeh jahaan cheez hai kia lauH o qalam tere haiN...lauHo o qalam tere haiN...lauH o qalam tere haiN :)
haan theek kehtay ho................:)شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
-
Re: Hum Sirf Muslmaan Hain
Originally posted by Splash View PostQaid ki ye baat Allah k kalaam ki akkaasi karti hey k Allah ki rassi ko mazboti sey thaamey rakho or tafarqey maiN mat paRhho"...kaash Musalmaan iss par amal bhi kartey...Allah hum sab ko hidayat dey (Amin)شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
Comment