Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Peydaishi Musalman

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Peydaishi Musalman

    Taken from "Tauheed key bunyadi Asool" by Dr. Abu Ameena Bilal Phillips
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Peydaishi Musalman

    Asalam-o-Alaikum !

    Mein agree nahi karta , Meray Parents wo nahi hain jo mein hoon tu yeh andhi taqleed nahi hai.....Har banday ki apni sooch hai , Quraan Hadees se batain le kar jo sab kay samnay aisay paish karna kah keh wohi sahi hai aisi hi batain doosray kar kay enhi ko jhutla daitay hain ...
    Jaisay hai na , Mafhoom hai " Allah ki Rasi ko Mazbooti se Thamay Rakho aur Tafirqay Mein Na Parro"
    Hain tu sabhi MuslmaaN , Ek Allah Ek Nabi ( S.A.W) ko Mantay hain.
    ilam aur amal mein bohat Faraq hota hai.
    BatooN kki Pooja karna aur QabrooN per RasooMaat ada karna , es mein bohat ikhtilaf hai :)..

    Barhaal en sahib ki apni sooch hai, Khud karna aur kisi ko kartay howay daikhna bohat mukhtalif baat hai.

    AmlooN ka daroo-MadaaR niyaatoo'N per bi hota hai....

    Mujhe sahi se yaad nahi aisa hi ek dafa ka zikar hai agar kisi ko hawala mil jai tu paish kara dai warna mein tehqeeq karon ga aur poori baat likhooN ga barhala filhaal jo yaad hai wo likhta hoon yeh Bachpan se apnay molvi sahab se suna tha kah......... ek dafa Nabi Akram S.A.W se kisi suhabi ne kaha meri dua qabool nai hoti , tu AP S.A.W ne kaha sachay dil se dua karo aur kaho Ya Allah mein Tumhara Banda hoon aur ap Meray Rab , Meri Dua Qabool kar loo , inshAllah Dua qabool ho jai gi. Tu wo Suhabi (RAU) oonchi awaz mein kahnay lagay Ya Allah mein Tumhara Banda hoon aur Ap meray Rab meri Dua Qabool kar loo.... thori dair baad wo ulat bolna shero ho gaye kah Ya Allah mein tum meray banday ho aur mein Tumhara Rab" tu kisi ne AP (S.A.W) ko shikayat lagayee.. kah wo tu aisay kah raha tha Nao'zbillah.. tu AP (S.A.W) ne farmaya oski Niyat theek thi" ..
    kuch aisay hi hai.. Mein sahi se hawala bi talash karoon ga aur poori hadees paish karoon ga.

    En sahib ne utna likha hai jitna unko pata hai us se agay wo kuch nahi jantieN....
    Wasalam
    Last edited by GumShuda; 17 January 2008, 07:16.
    Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
    Sadly, common sense is not very common..!!

    Comment

    • #3
      Re: Peydaishi Musalman

      Originally posted by GumShuda View Post
      Asalam-o-Alaikum !

      Mein agree nahi karta , Meray Parents wo nahi hain jo mein hoon tu yeh andhi taqleed nahi hai.....Har banday ki apni sooch hai , Quraan Hadees se batain le kar jo sab kay samnay aisay paish karna kah keh wohi sahi hai aisi hi batain doosray kar kay enhi ko jhutla daitay hain ...
      Jaisay hai na , Mafhoom hai " Allah ki Rasi ko Mazbooti se Thamay Rakho aur Tafirqay Mein Na Parro"
      Hain tu sabhi MuslmaaN , Ek Allah Ek Nabi ( S.A.W) ko Mantay hain.
      ilam aur amal mein bohat Faraq hota hai.
      BatooN kki Pooja karna aur QabrooN per RasooMaat ada karna , es mein bohat ikhtilaf hai :)..

      Barhaal en sahib ki apni sooch hai, Khud karna aur kisi ko kartay howay daikhna bohat mukhtalif baat hai.

      AmlooN ka daroo-MadaaR niyaatoo'N per bi hota hai....

      Mujhe sahi se yaad nahi aisa hi ek dafa ka zikar hai agar kisi ko hawala mil jai tu paish kara dai warna mein tehqeeq karon ga aur poori baat likhooN ga barhala filhaal jo yaad hai wo likhta hoon yeh Bachpan se apnay molvi sahab se suna tha kah......... ek dafa Nabi Akram S.A.W se kisi suhabi ne kaha meri dua qabool nai hoti , tu AP S.A.W ne kaha sachay dil se dua karo aur kaho Ya Allah mein Tumhara Banda hoon aur ap Meray Rab , Meri Dua Qabool kar loo , inshAllah Dua qabool ho jai gi. Tu wo Suhabi (RAU) oonchi awaz mein kahnay lagay Ya Allah mein Tumhara Banda hoon aur Ap meray Rab meri Dua Qabool kar loo.... thori dair baad wo ulat bolna shero ho gaye kah Ya Allah mein tum meray banday ho aur mein Tumhara Rab" tu kisi ne AP (S.A.W) ko shikayat lagayee.. kah wo tu aisay kah raha tha Nao'zbillah.. tu AP (S.A.W) ne farmaya oski Niyat theek thi" ..
      kuch aisay hi hai.. Mein sahi se hawala bi talash karoon ga aur poori hadees paish karoon ga.

      En sahib ne utna likha hai jitna unko pata hai us se agay wo kuch nahi jantieN....
      Wasalam
      Hain tu sabhi MuslmaaN , Ek Allah Ek Nabi ( S.A.W) ko Mantay hain.BatooN kki Pooja karna aur QabrooN per RasooMaat ada karna , es mein bohat ikhtilaf hai

      QabrooN per Rasoomaat ada kerna? wo kaun si Rasoomaat hein??

      @ En sahib ne utna likha hai jitna unko pata hai us se agay wo kuch nahi jantieN....

      Allah knows the best
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Peydaishi Musalman

        Originally posted by Xenya View Post
        Taken from "Tauheed key bunyadi Asool" by Dr. Abu Ameena Bilal Phillips
        is tehreer ka raqam muslmanon k aqaied se waqif naheen ya to us k zehni tasub ka karishma hy ya phir us ki kum fehmi jo k aaj k muslims par bagair tehqeeq k fatway laga raha mery khial main is tehrrer ko yahaan se hazaf kardena chaiye kionk is se firqa wariyat ki aag bhark sakti hy
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment

        • #5
          Re: Peydaishi Musalman

          Originally posted by Xenya View Post
          Taken from "Tauheed key bunyadi Asool" by Dr. Abu Ameena Bilal Phillips
          Assalam o Alaikum,

          aik baar phir hazri kay baad wapsi :), aur "Paidaishi Musalman" jesa article...

          well, Molana Phillips, Allama Jozef, aur Ayetullah Michael aur mutad'did aur... baat to such hai magar baat hai ruswai ki... mery khayal maiN "Paidaishi Musalman" ko kam az kam is baat par he ghroor hona chaheay kay woh aik Musalman kay ghar paida hogaya :), warna jitni shiddat kay hum musalman haiN agar aik musalman kay ghar na paida hotay to dil o jaan say hanoman jee kay bhajan gaa rahay hotay....

          yaqinan Allah ki hikmat hogi is maiN :).

          kehnay ka maqsad yeh hai kay har banda uTh kar ijtehaad nahe kar sakta...!!

          simple yeh hai xeni kay aisi bataiN karnay ka maqsad sirf yeh hai kay aap apnay abbu ki mat suneay humari suneay :khi:.

          maiN is tehreer ka maqsad samajhta hoon, har insaan ko apnay mazhab baray ELM hona chaheay, par is tehreer ki ro say to aik baat wazeh hai kay TEHQEEQ karo QUOTING nahee :), agar baap dada ko choR kar in hazrat ki maan laiN tab bhi rahay to wohe na lakeer kay faqeer :)

          xeni paidaishi musalmaan nahe to kitabi musalman bhi nahe :)
          That's Enough...!!

          Comment

          • #6
            Re: Peydaishi Musalman

            Originally posted by aabi2cool View Post
            is tehrrer ko yahaan se hazaf kardena chaiye kion kay....
            kion kay ki zarorat nahe thee :), yahan mutad'did ghalat article post hain move karna hai to sab ko kejeay.

            jahan tak meri yad'dasht kaam karti hai yeh section maiN nay farmaish karkay banwaya tha, aur is leay banwaya tha kay hum yahan woh cheez share karain gaiy jis par hum kafi soch chukay hain... aur kisi kay sawal par us ki tashfe kar saktay hain, par yahan Iqbal samait degar moaz'ziz afrad ki bhi post karde gaeeN jisay post karnay wala khud bhi define nahe kar sakta....
            That's Enough...!!

            Comment

            • #7
              Re: Peydaishi Musalman

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
              Assalam o Alaikum,

              aik baar phir hazri kay baad wapsi :), aur "Paidaishi Musalman" jesa article...

              well, Molana Phillips, Allama Jozef, aur Ayetullah Michael aur mutad'did aur... baat to such hai magar baat hai ruswai ki... mery khayal maiN "Paidaishi Musalman" ko kam az kam is baat par he ghroor hona chaheay kay woh aik Musalman kay ghar paida hogaya :), warna jitni shiddat kay hum musalman haiN agar aik musalman kay ghar na paida hotay to dil o jaan say hanoman jee kay bhajan gaa rahay hotay....

              yaqinan Allah ki hikmat hogi is maiN :).

              kehnay ka maqsad yeh hai kay har banda uTh kar ijtehaad nahe kar sakta...!!

              simple yeh hai xeni kay aisi bataiN karnay ka maqsad sirf yeh hai kay aap apnay abbu ki mat suneay humari suneay :khi:.

              maiN is tehreer ka maqsad samajhta hoon, har insaan ko apnay mazhab baray ELM hona chaheay, par is tehreer ki ro say to aik baat wazeh hai kay TEHQEEQ karo QUOTING nahee :), agar baap dada ko choR kar in hazrat ki maan laiN tab bhi rahay to wohe na lakeer kay faqeer :)

              xeni paidaishi musalmaan nahe to kitabi musalman bhi nahe :)
              walaikum salam wr,
              Rullz aap khud hi kehtey ho "Aao justuju karein, tehqeeq karein aur apni manzil ka ta'yunn karein" aur mujhey khushi hui key aap ko iss tehreer ka maqsad bhi samaj aya - leykin aik cheez zaroor kahun gi key iss tehreer ka maqsad sirf "tehqeeq" kerney tak hi hai mey ney her giz kaheeN ye nahi kaha key log bas aankh band ker iss ko follow kerney lageiN kyun key phir to lafz "tehqeeq" ka maqsad hi faut ho jaye ga.
              n again mey ney zatiyat pey bilkul bhi kuch nahi kaha hai aur na mey chahti huN key koi iss pey yahaN baat karey :rose

              Working...
              X