Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Chhotey Chhotey Inqtibasaat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Chhotey Chhotey Inqtibasaat

    Hamara Riwaaj
    ...hamarey haan kisi ki taqdeer badalney ka rawaaj bilkul nahin hai. Jo cheez ham khud hasil na kar sakein, doosron ko bhi hasil nahin karney detey...

    Bushra Rahman ki kitab Barah-e-Raast

    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

    Shola
    ...chimtey sey koila to pakrra jaa sakta hai, lekin shola nahin pakrra jaa sakta...

    Amrita Preetam

    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

    Larraee

    Sari duniya kapron mein bati hai, bheson mein bati hai. Dharti key tukrey bhi bheson sey hi pehchaney jatey hain. Apney apney jhandon sey. In ki hifazat bhi insaan nahin kartey - wardiyaan karti hain. Bhala kabhi asli insaan kisi asli insaan ko maar sakta hai? Yeh to sari wardiyon, poshakon aur jhandon ki larraee hai.


    Amrita Preetam key novell Jatree sey

    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

    Mirja Galab
    Faiz Ahmed Faiz Karachi Club mein baithey they. Un key aik dost ka milney wala aik seth udher aa nikla. Faiz key dost seth sey tapak sey milley aur kehney lagey:
    "seth sahib! aaiye aap ki mulaqat Pakistan aur Hindostan key sab sey barrey shaair sey karwaein"
    Seth sahib ney Faiz sey musafeha kiya aur boley:
    "haan bhaee ham janta hai, yeh MIRJA GALAB hai"... :lol :tauba


    Dr. Ayyub Mirza ki kitab Ham Keh Thehrey Ajnabi sey
    Last edited by Masood; 24 September 2005, 02:35.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Chhotey Chhotey Inqtibasaat

    hmmm nice sharing bhai:phool:

    Comment


    • #3
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      Working...
      X