~*~ Mustansur Hussain Tarar ~*~
America se aik khatoon ne telephone kiya...inho ne kisi se mera fone no.hasil kiya tha...khatoon ka lehja adab nawaz kesam ka tha...in se jo 5,7 min guftugo hue...iska khulasa biyan karta hon.
"Tarar sahab hum app ke parhne walo main se hain...aur app ko America bulana chahte hain,app asakte hain ? "
"Pata nahi jee shayad...lekeN app mujhe kis silsiley main America bulana chahti hian ? "
"Tarar saheb hum app ke sath Function karna chahte hian...ticket aur raihaish hamare zeeme hogi aur shoping ke liye bhi....app ki khidmat main kuch paish kardeya jaye ga...America ka viza tu app ke pass hoga. "
"Nahi jee. "
"kiya Matlab,Nahi jee".wo khafa si hogaye.
"App kaise Adeeb hain...chulye hum sponsor kardai gai,shayad viza mil jaye...App shairi tu karte hian Na."
"Nahi jee. "
"App kaise...yeh kaise hosakta hai ke app shairi nahi karte hon...sub karte hian... ? "
"Main Nahi karta."
"wo tu karne pare gi...Mera matlab hai Tarar saheb shairi ke bagiar hum Function kaise karsakte hain...app shairi sunaye gai tu...hamare Muqami shoura jo Function ka ticket...is shart per kharedte hain...ke in se bhi shair sune jaye gai...tu wo kaise sunaye gai...phir app ke phairey bhi tu lagwane hain."
"Phairey ?"
"jee haan pora circuit hota hia...hum app ko mukhtalef shehro main le jaye gai...aur waha ki Anjumanai app ke ezaaz main Mahafil burpa kare gai...aur hum in se app waha le jane ke charges wasol kare gai."
"Yanee app Mujhe farokht karte jaye gai ? "
"Yeh tu app ne bhot khurdari si baat ki...dekhain app ko yaha bulane aur tehrane per jo akhrajat aye gai...inhe pora karne ke liye...hamain app ko mukhtalif shehro main le jana pare ga...zahir hai is doran app ka pass port hamare qabzey main hoga...takey app idher udhar na hojaye."
"Adeeb hazrat bhi idher udhar hojate hian ?"
"jee haan,ghaib hojate hian.ghiar Qanoni tor par kaam karne lagte hian....LekeN khuda ka sukur hai ke...11 sep ke bad is main gunjaish kum reh gaye hai...LekeN jo marof Log hote hain...wo yaha ate...hamare khurche per hain...aur apni phir murzi se agwah hokar kisi aur adbi socitey ke shairo main chale jate hian...isliye hum Airport per app ka istakbal karne ke forun bad...app se pass port le lai gai...LekeN shairi ka kiya hoga."
"kuan si shairi ?"
"wohe jo app ne yaha parhne hai...dekhain Tarar saheb app ko yaha bula kar hum ne app ka mooh tu nahi dekhna...app se kucn na kuch sun`na hai...aur app apne Safar name,Novel aur Afsane wagera tu nahi suna sakte...Log bore hongai...behter tu yeh ke kuch mazahiya shairi karlijeye...nahi tu jo jee main aye karlijeye...LekeN shairi bhot zarori hai."
Main jo abhi tak Nihayat tahamul se is lalach mian ke...America ka muft phera lag jaye tu kiya muzaiqa hai...inke sawalo ke jawab de raha tha...zara tao main agaya..."Dekhain khaton beshuk app ka dil dukhe ga...LekeN main yeh shairi nahi karsakta...Maine kabhi shairi ki he nahi."
"Tarar saheb kiya baat karte hian...na sirf app ne shairi ki hai...balkey chapwaye bhi hia...Maine khud parhe hai."
"kaha." Main hairet main agaya ke wo itne yaqeen se kehrahe thi.
"App ne "Akhbar-e-jahan" ke aik colum main azad shairi ki thi...aur aik aur colum main itne piyare piyare hikoo likhe the...kehte hian kabhi shairi nahi ki."
Mujhe yaad agaya ke aisa he howa tha...LekeN wo tu maine idher uhdar ki hanki thi..."khatoon wo tu yohe DiL lage thi...sanjeeda shairi nahi thi."
"Hamain sanjeeda shairi durkar bhi nahi...bus ise kesam ki shairi chale gi...15,20 hikoo bana lijeye tu behter hoga...app apni masrofiyat dekh lijeye...Main kuhc roz bad phir fone karongi...hum waqie app ko America bula chahte hian."
Baherhal Maine America jane ke chao Main chund mazeed hiko likhi hain...app bhi Ahle zoq hain...zara dad dejeye ga.
Amad-e-bahar main talab ki satah per
do ankhain terti hian
Maindak tha
Aik Mohabbat nama likha
iski khirki Main phainka
iske bhia ne thukaye karde
Baraf bari ki rut baraf ke galey
zukham hogaye
par gaye jan ke laley
Asman per parindo ki qatarain
Mooh uthaye dekhta hon
chehre per betain he betain
Darwaze per Dastak
shayad tum agaye ho
Income tax ka notice tha
Aur uoo bhi Ghalib ne bhi tu kha tha...kisi Mere jaise shair ke bare main ke
Munhasur hikoo pe ho jis ki umeed
Naumedi iski dekha chahye.
Comment