Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ kaL Aur Ajj ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

    go mera haafzaa itnaa acha nahi
    laikin bachpan aur larakpan kee bohat saari xbaatein mujhay bohat achi tarha yaad hain
    ghar kee veraani aur akaylaypan say ghabraa kar darwaazay mein aa kar baithna aur gali mein aatay jaatay log'oan kay chehray takna bohat sukh dayta thaa
    aaj bhi jab bohat akayla ho jaata hoan to ghar kay darwaazay mein aa baith'ta hoan
    aatay jaatay log'oan kay chehray bhi takta hoan
    laikin bay'chainee aur berh jaati hai...
    yeh to yaad nahi keh mujhay ous say mohabbat kab hoee?
    albatta yeh baat mein baray wasooq say keh sakta hoan keh mujhay mohabbat ka sha'oore aanay say pehlay xmohabbat ho chuki thee
    aaj bhi meri aankh'oan kay saamnay hai...
    apnay apnay baroan kee nazr'oan say chup kar sardi'yoan kee lambi lambi raat'ain sehen mein baithay baithay aur baat'ain kartay guzaar kar dayna...
    aik doosray ko apni apni sahhailiyoan aur dost'oan kee baat'ain aur sharaarat'oan kay qissay sunaa'na...
    bahaanay bahaanay say aik doosray kay haath'oan say khailna, laraa'ee jahgraa karna aur kisi kay bhi haar jaanay per khilkhilaa kar hans dayna ... goya mamool thaa...

    yeh maamool ab bhi barqaraar hai laikin kutch tabdeeliyoan kay saath
    ab na to kisi say chupna perta hai aur na darna...
    jab bhi sermaa kee lambi raat'ain aati hain
    sehen mien baithaa ghantoan apnay aap say baat'ain karta rehta hoan
    bay'ikhtiyaari mein apnay hee haath'oan kee ungliyaan maroortaa kahin goum ho jaata hoan x......
    aur phir chonk uth'ta hoan
    jab aankh'oan mein garam garam nammi phailti hai aur rukhsaar bheeg jaatay hain
    aisay mein daanistaa aur zabardasti hans'nay kee koshish kitni nakaam aur kitni khookhali hoti hai...
    meray illawa kisi aur kee samajh mein aana mushkil hai...

    aik hee sheher mein rehtay thay to hazaar naraazgi kay baawajood aksar sarr-e-raah mulaaqaat ho jati
    aur apni apni anaa'oan kee parwaah keeay baghair aapas mein bole partay
    laikin ab to aik muddat hoee...
    pehlay ous nay sheher badlaa aur phir mein nay....
    jab kabhi udaasi hadd say berh jaati hai to deewaana'waar ghar say nikal perta hoan
    magar subha say shaam tak masroofe aur bharray purray raastoan kee khaak chaan kar jab wapis loat'taa hoan to
    khali pann mazeed berh jaata hai aur udaasi kutch aur siwa ho jaati hai...

    pehlay jis cheeze kay leeay bhi dil chahta thaa... chaahay kitni bhi qeemti ya anmole hoti... haasil kar liya karta thaa....
    kabhi zidd kar kay aur kabhi khaana naa khaanay kee dhamki day kar... aur phir fakhar kia karta....
    mizaaj mein hatt'dharmi aur zidd to ab bhi waisee hee hai laikin haat'dharmi sehnay aur zidd maan'nay wala koi nahi
    dhamki bhi day sakta hoan... laikin dhamki mein aanay wala koi nahi...
    is kay baa'wajood jo kutch bhi chaaha hai jesay taisay haasil kia hai ... aur dunya kee bay'shumaar naimat'ain muyassar hain
    magar woh lamhay jo beet ga'ay...
    aur woh waqt jo guzar gaya...
    kahan say laa'aon aur kis say maangoan!!!

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

    hmmm nice sharing nazo up:

    Comment


    • #3
      Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

      thanks...!

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #4
        Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

        naz bohot payyarey alfaaz hein
        ye kaun si kitab sey hein aur mussanif ka kya naam hai???
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

          nahi pata kitab ka naam....yeh bhi kahe parha he tha...naam nai tha sath...!

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #6
            Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

            Originally posted by naz
            nahi pata kitab ka naam....yeh bhi kahe parha he tha...naam nai tha sath...!
            ye kya aap idher udher perhti hein, lol

            koi baat nahi :-)

            keep sharing idher udher sey :rose
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

              hahaha nahi yar main idher udhar nahi parhti...Akhbar-e-jahan main bhot shok se parhti hon...tu is main jo achi achi baatain hote hian...wo main note karlete hon..or phir share karti hon

              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

              Comment


              • #8
                Re: ~*~ kaL Aur Ajj ~*~

                Originally posted by naz
                thanks...!
                welcome :D

                Comment

                Working...