Dosto! september mein kuch bano Qudsia ke hawalay se guftugoo ho jaye.Kisi had tak unke kaam ko mein ne yahan chand lafzon mei biyan kar diya hai.Kuch aap bhi kahain.
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aik mah;aik adeeb:::Bano Qudsia
Collapse
X
-
Tags: None
-
Re: Aik mah;aik adeeb:::Bano Qudsia
Almas jee
"Baano Qudsia" hamaare mulk ke naamwar nacrnigaaroN meN shaamil heN
kuch log unhieN Ishfaaq Ahmed se baRa adeeb qaraar daite heN
maiN ne un ke kuch afsaane aur Raja gidh paRh rakha hai
Mere khayal meN Raja Gidh meN unhoN ne insaan ki nafsaani khawahishaat ka buhat achcha tajzia kiyya hai
is novel ka mozoo muhabbat ki aik takon hai
takon ka aik kirdaar maal ko muhabbat par tarjeeh deta hai
doosra kirdaar (aik laRki)muhabbat meN naakaami ke baad apne aap ko tabaah kar leta hai
aur teesra kirdaar insaani satah se gir jaata hai
mujhe lagta hai keh har insaan meN aik gidh kahiN na kahiN chupa hota hai
tabhi to moqa milte hi vo doosre insaanoN ko exploit karne lagta hai apne faaide ke liye
aur yahi is novel ka theme hai
khush rahiye
zmufti
Comment