Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik mah:Aik adeeb

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Aik mah:Aik adeeb

    Originally posted by aquari View Post
    Aslamalikum

    Dair sey reply ki ma'azrat zapk7..:blush:

    Is mah key adeeb mustansar Hussain Tarrar"...bauht hi pleasent or nafees si personality k malik jin k mizah main bhi itna kuch posheeda hota haii k ager thori si tawajoo di jaye tu bari sahi simt woh ishara krrahey hotey hain....main muta'ala ka shouq zaroor rakhti hoo mager wohi waqt ki kammii k bayis moqa kum hi milta hia ,in ko mainey as a Compare tu TV pr bauht dekhaa hai or khas kr in k woh programmes jo ek zamaney pr subha ki nashriyat main atey theyy or kuch abb private channels pr bhi dekhney ko mil jate hain,in ki tasaneef main mainey kuch iqtisabat parhey jo k in k safar namoo sey lya gaye theyy ko mainey mukhtalif magzines sey parhey thy ,parhney k doran mehsoos howa manzar kashii or ahsasat or waqiayt ki tarjumani lajawab thii..is k elawa in k columns kafi arsey tak mainey Akhbar_E_jahan main parhey hain jis main mulki halat,mu'ashi or mashrati masa'il main sey kisi bhi ek pr bareyy khobsoorti sey war krtey howey kuch samjhana chaha haii,abhi recent is week main in ka column Bewaoo (widows) pr likha gaya hai ,topic khasa dard bhara hai pr in ka pur mizah andaz jis main kahi kahi tanz bhi shamil haii behad mutasir kun hai..
    abhi itni hi apni ra'ye dey rahi hoo ...
    :insha: kuch mazeed izafa karoongi bashart -e-dastiabi-e-waqt...
    reply ka shukriya:roseAap ne agar tarat sahib ke safarnamay nahin parhay to koi baat nahin akbaar-e-jahan main unke jo colum parhay hain un mei se kisi ka review likh sakti hain.Aap ne haal hi mein jo colum parha hai woh to taza hai,us per likhna dushwaar bhi nahin hoga.
    Mind Sciences

    Comment


    • #17
      Re: Aik mah:Aik adeeb

      Originally posted by zmufti View Post
      Almas jee
      mustansar husain tarar un adeeboN meN shamil heN jin ke qalam meN aik qudarati rawaani hai. un ki kitaab le kar baithieN to jee chahta hai aik hi nishast meN khatam kar daalieN.
      Agar mujh se poocha jaaye to maiN yahi kahoN gi keh vo urdu ke behtareen safarnama nigaar heN
      mujhe un ka safar naama undlas meN ajnabi buhat pasand aayaa
      aap yaqeen jaaniye yeh safar nama paRh kar "I literally fell in love with Alhamra"
      kayyi din net per Alhamrah ki tasweeraiN naqshe aur deegar tafseelaat dekhti rahi
      vo apne qaari ko saath le kar chalte heN youN mehsoos hota hai keh un ke saath kissi tilismi duniya ki sair par aaye heN jahaN khoobsurati ke siwa kuch bhee nahiN hai
      so des des ki sair ka shoq ho to un ke safar namey zaroor paRhiye
      regards
      zmufti

      * Mir
      * Andulus Mayn Ajnabi (اندلس میں اجنبی)
      * Bahhao (بھا و)
      * Bay Izti Kharab (بے عزتی خراب)
      * Berfeeli Bulandiyan (برفیلی بلندیاں)
      * Carvan Sarai (کارواں سرایےؑ)
      * CHIK CHUK (چک چک)
      * CHITRAL DASTAAN (چترال داستان)
      * Dais Huwaa Perdais (دیس ھٗوے پردیس)
      * Deyo Saai (دیوسا یی)
      * Dakia aur Jolaha (ڈاکیا اور جولاھا)
      * Gadhay Hamaray Bhai Hain (گدھے ھمارے بھایی ھیں)
      * Guzara Naheen Hota (گزارا نھی ھوتا)
      * Gypsi (جپسی)
      * Hazaron Hain Shikway (ھزاروں ھیں شکوے)
      * Hazaron Raastay (ھزاروں راستے)
      * Hunza Dastaan (ھنزھ داستان)
      * K-2 Kahani (کے ٹو کھانی)
      * Kaalaash (کالاش)
      * Khana Badosh (خانھ بدوش)
      * Moorat (مورت)
      * Mun Wal Kabbey Shariff (منھ ول کعبے شریف دے)
      * Nanga Parbat (نانگاپربت)
      * Nepal Nagri (نیپال نگری)
      * Niklay Teri Talash Main (نکلے تیری تلاش میں)
      * Pakhairoo (پکھیرو)
      * Parinday (پرندے)
      * Parwaz (پرواز)
      * Payar Ka Pehla Shehr (پیار کا پھلا شھر)
      * Putli Peking Ki (پتلی پیکنگ کی)
      * Qilaa Jangi (قلعھ جنگی)
      * Qurbat-e-Merg Main Mohabbat (قربت مرگ میں محبت)
      * Raakh (راکھ)
      * Safar Shumal Kay (سفر شمال کے)
      * Shamshaal Baimesaal (شمشھال بیمثال)
      * Shehpar (شھپر)
      * Shuter Murgh Riasat (شتر مرغ ریاست)
      * Snow Lake (سنو لیک)
      * Sunehri Ullo Ka Shaher (سنھری الو کا شھر)
      * Yaak Saraey (یاک سرایے)
      Zarqa ji bohat shukriya:roseAap ne darust kaha unka qari mehsoos karta hai jaisay woh unke saath hi safar kar raha hai.Mujhay lagta hai safarnaama shaid un jais koi aur nahin likh saka,na likh sakay ga.Umeed hai aap apnay pasandeeda safarnamay "Undulas mein ajnabi" ka review yahan zaroor present karain gi taakay hamain bhi usay parhnay ka shouq ho.
      Mind Sciences

      Comment


      • #18
        Re: Aik mah:Aik adeeb

        Originally posted by zapk7 View Post
        Ji bhai! Main aap se muttafiq hoon,parhnay ka rujhaan khatam ho kar reh gaya hai.Yeh silsila aik choti si koshish hai ke writers ki takhleeqaat key reviews parh kar log unki taraf mutwajoh ho sakain.
        Tarar sahib ke baray main aap ne darust kaha,bohat achay adeeb hain,inke safarnamay munfarid hotay hai,un mein afsanwi rang bari khoobi se jhalakta hai.Main unke aik safarnamay "Piyar ka pehla shehar" ka review likhnay ki tayari kar rahi hoon jo bilkul novel ke andaaz mein hai.Novel kay kirdaroon se unhoon ne aisay aisy jumlay kahalway hain ke insaan kho kar reh jata hai.Is novel ke intisaab ke baad aik safhay per sirf aik jumla likha hai:
        "Reit ki deewaron se bana tha piyar ka pehla shehar"

        Almas aap zaroor likhein aur yehi mera mashwra bhi hoga keh jin adeebon ko aap is silsaley mein chunein pehley unkey chand iqtibasat share kiya kijiye takeh na'parhney waley kuchh parh paein...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: Aik mah:Aik adeeb

          ahan :thmbup:

          Mey ney kuch bhi nahi perha hai in adeeb ka ...to aap log kuch recommend karo gey? ya kuch iqtasabat yahaN share ker lijiye :rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #20
            Re: Aik mah:Aik adeeb

            Salam to All,

            Good Morning.

            Comment


            • #21
              Re: Aik mah:Aik adeeb

              Mustansar Hussain Tarar mere fav writer hen in ke afsane or safar name dono hi zaberdast:thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: Aik mah:Aik adeeb

                Originally posted by Masood View Post
                Almas aap zaroor likhein aur yehi mera mashwra bhi hoga keh jin adeebon ko aap is silsaley mein chunein pehley unkey chand iqtibasat share kiya kijiye takeh na'parhney waley kuchh parh paein...
                Inshah Allah bhai! Next time aisa hi hoga.:rose
                Mind Sciences

                Comment


                • #23
                  Re: Aik mah:Aik adeeb

                  Originally posted by Xenya View Post
                  ahan :thmbup:

                  Mey ney kuch bhi nahi perha hai in adeeb ka ...to aap log kuch recommend karo gey? ya kuch iqtasabat yahaN share ker lijiye :rose
                  Dear! Ap tamam posts parhain,aapko inki kai kitabon ke naam milain gay,koi si bhi kitab select kar ke ibtida karain,inshah allah pasnd aye gi.:rose
                  Mind Sciences

                  Comment


                  • #24
                    Re: Aik mah:Aik adeeb

                    Originally posted by baqarkashmiri View Post
                    Salam to All,

                    Good Morning.
                    Shukriya.laikin bhai mairay yeh to irrelivent post hai.Please mehaz count barhanay ke liyay post mat kiya karain.
                    Mind Sciences

                    Comment


                    • #25
                      Re: Aik mah:Aik adeeb

                      Originally posted by hamzad View Post
                      Mustansar Hussain Tarar mere fav writer hen in ke afsane or safar name dono hi zaberdast:thmbup:
                      Bohat khoob:roseto phir aap inki kisi tasneef ka review likhain takay inki tahreeron ka lutf yahan bhi sab utha sakain.
                      Mind Sciences

                      Comment


                      • #26
                        Re: Aik mah:Aik adeeb

                        Good Morning

                        Comment


                        • #27
                          Re: Aik mah:Aik adeeb

                          Originally posted by baqarkashmiri View Post
                          Good Morning
                          Baqar Sahib aap k good morning aur salam roz pooray Pegham per phailay hotay hian....aap say guzarish hai k plz ghair zaroori posts na kiya kerain aur jo topic say related ho wo hi post kiya kerain....
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: Aik mah:Aik adeeb

                            Oks wesy bait bazi se tu remove kar diya admin na ab dekhin baqion mein se kab karty hen.

                            Comment


                            • #29
                              Re: Aik mah:Aik adeeb

                              Originally posted by baqarkashmiri View Post
                              Oks wesy bait bazi se tu remove kar diya admin na ab dekhin baqion mein se kab karty hen.
                              aap ghair zaroori aur topic say hat ker posts na kerain tu aap ko koee remove nahien kere ga
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: Aik mah:Aik adeeb

                                Originally posted by waitingeyes View Post
                                aap ghair zaroori aur topic say hat ker posts na kerain tu aap ko koee remove nahien kere ga
                                Aese bat nahin agar aap bait bazi ki posts check karin tu ap ko pata chal jaye ga

                                Comment

                                Working...
                                X