Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik mah:Aik adeeb

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aik mah:Aik adeeb

    Assalam-o-alaikum dostoo!
    Aik silsila shuru karnay ki koshish kar rahi hoon.Har mah aik adeeb ki kisi na kisi takhleeq per tabsira karain.Woh koi aik afsana bhi ho sakta hai aur koi aik kitaab bhi,aapko woh takhliq pasand bhi ho sakti hai aur napasand bhi,ya aapko uske kisi hissay se ikhtilaf aur kisi hissay se ittefaq bhi ho sakta hai.
    Main koi aik kitaab suggest nahin karna chahti kiyunke is se discussion bohat mahdood ho jaye gi,albata aik adeeb select karna munasib lagta hai.
    Is mah key adeeb ka naam hai "Mustansar Hussain Tarar".
    Aap ki ara'a ka intizaar rahay ga.


    Note:qalamkaar ke naam mein tabdeeli is liyay ki gai hai kiyunke aap logon ki khamoshi se mujhay laga ke shaid aapko mushkil derpaish hai.
    Last edited by zapk; 20 August 2007, 08:36.
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Aik mah:Aik adeeb

    Originally posted by zapk7 View Post
    Assalam-o-alaikum dostoo!
    Aik silsila shuru karnay ki koshish kar rahi hoon.Har mah aik adeeb ki kisi na kisi takhleeq per tabsira karain.Woh koi aik afsana bhi ho sakta hai aur koi aik kitaab bhi,aapko woh takhliq pasand bhi ho sakti hai aur napasand bhi,ya aapko uske kisi hissay se ikhtilaf aur kisi hissay se ittefaq bhi ho sakta hai.
    Main koi aik kitaab suggest nahin karna chahti kiyunke is se discussion bohat mahdood ho jaye gi,albata aik adeeb select karna munasib lagta hai.
    Is mah key adeeb ka naam hai "Mustansar Hussain Tarar".
    Aap ki ara'a ka intizaar rahay ga.


    Note:qalamkaar ke naam mein tabdeeli is liyay ki gai hai kiyunke aap logon ki khamoshi se mujhay laga ke shaid aapko mushkil derpaish hai.
    bilkul thek andaza lagaya app ney :blush:

    Comment


    • #3
      Re: Aik mah:Aik adeeb

      Dear,

      Go Ahead.

      With Best Regards,
      Muhammad Baqar

      Comment


      • #4
        Re: Aik mah:Aik adeeb

        Originally posted by aquari View Post
        bilkul thek andaza lagaya app ney :blush:
        Reply ka shukriya.Umeed hai is baar mushkil nahin hogi.Tarar sahib mash'hoor chacha ji hain jo Ptv per sab bachon ke favourite hotay thay.Inki sab se bari khasiat inkey safarnamay hain jinhain parh kar lagta hai ham bhi usi mulk main ghoom rahay hain.:rose
        Mind Sciences

        Comment


        • #5
          Re: Aik mah:Aik adeeb

          Originally posted by baqarkashmiri View Post
          Dear,

          Go Ahead.

          With Best Regards,
          Muhammad Baqar
          Shukriya:roseUmeed hai aapka contribution jald yahan nazar aye ga.
          Mind Sciences

          Comment


          • #6
            Re: Aik mah:Aik adeeb

            He is the author of more than 17 travelogs and many novels.His novel Raakh was nominated as one of the best in the history of sub-continent South-Asia.

            Comment


            • #7
              Re: Aik mah:Aik adeeb

              He is also the author of many famous drama serials for PTV.
              • Aik Haqeeqat Sau Afsaney (One Reality (and) One Hundred Stories)
              • Hazaron Raastey (Thousands of Paths)
              • Parinda (Bird)

              Comment


              • #8
                Re: Aik mah:Aik adeeb

                :pak1:

                Comment


                • #9
                  Re: Aik mah:Aik adeeb

                  Baqar bhai! Aap ne achi maloomaat baham pohanchai hain.Shukriya:roseAgar aap tarar sahib ki kisi takhleeq;afsanay,safarnamay waghaira ka review likh sakain to bohat acha hoga.
                  Last edited by zapk; 22 August 2007, 19:39. Reason: Multi quote se problem ho rahi hai.
                  Mind Sciences

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aik mah:Aik adeeb

                    Salam

                    Oks

                    Sorry.

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aik mah:Aik adeeb

                      Assalamo allaikum

                      Silsila bohat zabardast hai. Aur adeeb bhi bohat aala paey key chuney hain. Lekin aik masla hai, hamarey haan logon mein parhney ka rujhaan khatam hota jaa raha hai. Warna aisey adeebon ki baton mein woh asar hai keh insaan uni mein woh kuchh na seekh paey jo inki kitabon key mutaley sey hasil kar ley.

                      I am not a big reader at all - i wish I was - magar kuchh waqt ki kami, kuchh kutb ki na'yaabi paoun ki zanjeerin hain. Mustansar sahib ko main TV key hawaley sey janta hoon, mostly unhein main as compare dekh chuka hoon aur inka jo andaaz bohat mutasir kun hain woh inka meethey andaaz mein baat karney ka style hai.

                      Inki net per aik kitab sey kuchh ikhtisar parhey hain, jo keh kisi safar'naamey sey liyey gaey hain. Aksar aisa hota hai keh musanfeen kuchh aisi batein tehreer kartey hain jo unkey saath hi pesh aati hain kisi aur key saath nahin, yeh ya to unkey likhney key fun ka kamaal hota hai, ya phir to-be-at-the-right-place-at-the-right-time wali baat hoti hai. Isi tarha Tarrar sahib key safar'namo ka bhi haal hai. Aisi aisi batein parhney ko milti hain keh baaz oqat dil karta hai keh woh batein aazmaii jaein....

                      Main in key barey mein mazeed parhney key baad mazeed likhney ki himmat karoon ga ...
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aik mah:Aik adeeb

                        Aslamalikum

                        Dair sey reply ki ma'azrat zapk7..:blush:

                        Is mah key adeeb mustansar Hussain Tarrar"...bauht hi pleasent or nafees si personality k malik jin k mizah main bhi itna kuch posheeda hota haii k ager thori si tawajoo di jaye tu bari sahi simt woh ishara krrahey hotey hain....main muta'ala ka shouq zaroor rakhti hoo mager wohi waqt ki kammii k bayis moqa kum hi milta hia ,in ko mainey as a Compare tu TV pr bauht dekhaa hai or khas kr in k woh programmes jo ek zamaney pr subha ki nashriyat main atey theyy or kuch abb private channels pr bhi dekhney ko mil jate hain,in ki tasaneef main mainey kuch iqtisabat parhey jo k in k safar namoo sey lya gaye theyy ko mainey mukhtalif magzines sey parhey thy ,parhney k doran mehsoos howa manzar kashii or ahsasat or waqiayt ki tarjumani lajawab thii..is k elawa in k columns kafi arsey tak mainey Akhbar_E_jahan main parhey hain jis main mulki halat,mu'ashi or mashrati masa'il main sey kisi bhi ek pr bareyy khobsoorti sey war krtey howey kuch samjhana chaha haii,abhi recent is week main in ka column Bewaoo (widows) pr likha gaya hai ,topic khasa dard bhara hai pr in ka pur mizah andaz jis main kahi kahi tanz bhi shamil haii behad mutasir kun hai..
                        abhi itni hi apni ra'ye dey rahi hoo ...
                        :insha: kuch mazeed izafa karoongi bashart -e-dastiabi-e-waqt...

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aik mah:Aik adeeb

                          Almas jee
                          mustansar husain tarar un adeeboN meN shamil heN jin ke qalam meN aik qudarati rawaani hai. un ki kitaab le kar baithieN to jee chahta hai aik hi nishast meN khatam kar daalieN.
                          Agar mujh se poocha jaaye to maiN yahi kahoN gi keh vo urdu ke behtareen safarnama nigaar heN
                          mujhe un ka safar naama undlas meN ajnabi buhat pasand aayaa
                          aap yaqeen jaaniye yeh safar nama paRh kar "I literally fell in love with Alhamra"
                          kayyi din net per Alhamrah ki tasweeraiN naqshe aur deegar tafseelaat dekhti rahi
                          vo apne qaari ko saath le kar chalte heN youN mehsoos hota hai keh un ke saath kissi tilismi duniya ki sair par aaye heN jahaN khoobsurati ke siwa kuch bhee nahiN hai
                          so des des ki sair ka shoq ho to un ke safar namey zaroor paRhiye
                          regards
                          zmufti

                          * Mir
                          * Andulus Mayn Ajnabi (اندلس میں اجنبی)
                          * Bahhao (بھا و)
                          * Bay Izti Kharab (بے عزتی خراب)
                          * Berfeeli Bulandiyan (برفیلی بلندیاں)
                          * Carvan Sarai (کارواں سرایےؑ)
                          * CHIK CHUK (چک چک)
                          * CHITRAL DASTAAN (چترال داستان)
                          * Dais Huwaa Perdais (دیس ھٗوے پردیس)
                          * Deyo Saai (دیوسا یی)
                          * Dakia aur Jolaha (ڈاکیا اور جولاھا)
                          * Gadhay Hamaray Bhai Hain (گدھے ھمارے بھایی ھیں)
                          * Guzara Naheen Hota (گزارا نھی ھوتا)
                          * Gypsi (جپسی)
                          * Hazaron Hain Shikway (ھزاروں ھیں شکوے)
                          * Hazaron Raastay (ھزاروں راستے)
                          * Hunza Dastaan (ھنزھ داستان)
                          * K-2 Kahani (کے ٹو کھانی)
                          * Kaalaash (کالاش)
                          * Khana Badosh (خانھ بدوش)
                          * Moorat (مورت)
                          * Mun Wal Kabbey Shariff (منھ ول کعبے شریف دے)
                          * Nanga Parbat (نانگاپربت)
                          * Nepal Nagri (نیپال نگری)
                          * Niklay Teri Talash Main (نکلے تیری تلاش میں)
                          * Pakhairoo (پکھیرو)
                          * Parinday (پرندے)
                          * Parwaz (پرواز)
                          * Payar Ka Pehla Shehr (پیار کا پھلا شھر)
                          * Putli Peking Ki (پتلی پیکنگ کی)
                          * Qilaa Jangi (قلعھ جنگی)
                          * Qurbat-e-Merg Main Mohabbat (قربت مرگ میں محبت)
                          * Raakh (راکھ)
                          * Safar Shumal Kay (سفر شمال کے)
                          * Shamshaal Baimesaal (شمشھال بیمثال)
                          * Shehpar (شھپر)
                          * Shuter Murgh Riasat (شتر مرغ ریاست)
                          * Snow Lake (سنو لیک)
                          * Sunehri Ullo Ka Shaher (سنھری الو کا شھر)
                          * Yaak Saraey (یاک سرایے)

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aik mah:Aik adeeb

                            Originally posted by baqarkashmiri View Post
                            Salam

                            Oks

                            Sorry.
                            Aray bhai! sorry for what?Ap ne to bohat acha kaam kiya hai.:rose
                            Mind Sciences

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aik mah:Aik adeeb

                              Originally posted by Masood View Post
                              Assalamo allaikum

                              Silsila bohat zabardast hai. Aur adeeb bhi bohat aala paey key chuney hain. Lekin aik masla hai, hamarey haan logon mein parhney ka rujhaan khatam hota jaa raha hai. Warna aisey adeebon ki baton mein woh asar hai keh insaan uni mein woh kuchh na seekh paey jo inki kitabon key mutaley sey hasil kar ley.

                              I am not a big reader at all - i wish I was - magar kuchh waqt ki kami, kuchh kutb ki na'yaabi paoun ki zanjeerin hain. Mustansar sahib ko main TV key hawaley sey janta hoon, mostly unhein main as compare dekh chuka hoon aur inka jo andaaz bohat mutasir kun hain woh inka meethey andaaz mein baat karney ka style hai.

                              Inki net per aik kitab sey kuchh ikhtisar parhey hain, jo keh kisi safar'naamey sey liyey gaey hain. Aksar aisa hota hai keh musanfeen kuchh aisi batein tehreer kartey hain jo unkey saath hi pesh aati hain kisi aur key saath nahin, yeh ya to unkey likhney key fun ka kamaal hota hai, ya phir to-be-at-the-right-place-at-the-right-time wali baat hoti hai. Isi tarha Tarrar sahib key safar'namo ka bhi haal hai. Aisi aisi batein parhney ko milti hain keh baaz oqat dil karta hai keh woh batein aazmaii jaein....

                              Main in key barey mein mazeed parhney key baad mazeed likhney ki himmat karoon ga ...
                              Ji bhai! Main aap se muttafiq hoon,parhnay ka rujhaan khatam ho kar reh gaya hai.Yeh silsila aik choti si koshish hai ke writers ki takhleeqaat key reviews parh kar log unki taraf mutwajoh ho sakain.
                              Tarar sahib ke baray main aap ne darust kaha,bohat achay adeeb hain,inke safarnamay munfarid hotay hai,un mein afsanwi rang bari khoobi se jhalakta hai.Main unke aik safarnamay "Piyar ka pehla shehar" ka review likhnay ki tayari kar rahi hoon jo bilkul novel ke andaaz mein hai.Novel kay kirdaroon se unhoon ne aisay aisy jumlay kahalway hain ke insaan kho kar reh jata hai.Is novel ke intisaab ke baad aik safhay per sirf aik jumla likha hai:
                              "Reit ki deewaron se bana tha piyar ka pehla shehar"
                              Mind Sciences

                              Comment

                              Working...