Who ishq jo hum sey roth gaya abb us ka hal batyae kyaa
Koi mehr nahi koi qehar nahi ,phir sacha sher sunaye kyaa
Ek aag gham-e-tanhai ki ,jo sarey badn main pehl gaii
Jub jism hi sara jalta hoo phir daman-dil ko bachye kyaa
Dhalti raat main mughaniya ki awaz jalti ,bhujti roshiniyoo main us k dil k taar chairti jarahi thi .Woh cigerrate khareed chukka thaa or machis khareedney wala abhi tak ayanahi thaa.Woh bazoo lapaitey
khud ko sahara diyaa khara thaa werna ussey lag raha thaa k geet ka ek ek lafz us ka dil ki dharkan ko be tarteeb kerdey gaa.
Waheed :Arey nahi hoga yaar ,kuch nahi hogaa.jo pyar detey hain or letey nahi who baqi rakhey jatey hain tak jin ko woh pyar detey hian who zinda rahain khush rahain
Waheed: Us ney tum sey jub kabhi izhar kya hi nahi tu tumhain us ki nafrat ya mohababt ka kya pata Jahanzeb
Jahanzeb:Who bauht shafaf thii waheed,paharoo main ubaltey howey chashmey ki tarhaa,kisi dur daraz behti nadii ki tarhaa jis ko kisi ankh ney dekh ker maila na kya ho..who bauht fair thi or who apni mohabbat main fair thi Waheed...is liya main janta thaa k who kuch mujh sey kehti hai kisi or sey nahi kehti..who lafzoo sey na sahii lehjey sey bolti thii.
Jahanzaib..waheed ney bamushkil tamam ussey girney sey bachaya who buri tarhaa sey nashey main dooba howa thaa
Zaib main ussey janat tu nahi laikin tumhari dekh dekh ker ,tum sey sun sun ker us ki izzat zaroor kerney laga hoo .who waqai qabil-e-ahteram hogii,laikin jahanzaib tum kum azkum us ki khatir is tarhaa nashe main na doob jaya karoo mujhey achaa nahi lagta.

Comment