Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~!~ Aapa ~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~!~ Aapa ~!~


    aub main samajhti hon ke Aapa dil ki gehrraiyon main jeeti thi aur woh gehraiyan itni ameeq thein ke baat ubherti bhi to bhi nikal na sakti...is roz Bado ne kaisey patey ki baat kahi thi, magar main kaha karti thi "Aapa tum to bas baithi rehti ho"...aur woh muskura ker kehti .."Pagli !"...aur apne kaam main lag jati...waise to woh sara din kaam main lagi rehti thi...her koi usay kisi na kisi kaam ko keh deta aur aik hi waqt main usay kaii kaam karney parh jate...idher Bado cheekhta "Aapa mayra daliya .."..udher Abba ghorte.." SajjadaaH abhi tak mayri chaii kiun nahi banii? "..biech main Amma bool parteiN.."Beta dhoobi kab se bahar khara hai?" aur Aapa chup chap sarey kaamon se nipat leti...yeh to main khoob janti thi magar us ke ba'wajood janay kiun usay kaam karte huye dekh kar yeh mehsoos hota tha ke woh kaam kar rahi hai ya woh itna kaam karti hai...mujhe to bas yehi maloom hota tha ke woh baithi hi rehti hai aur idher se udher gardan moRhne main bhi itni dair lagti hai aur chalti hai to chalti hui maloom nahi hoti...is ke ilawa main ne Aapa ko kabhi qehqahaa mar ke hanste huye nahi suna tha.....ziada se ziada muskura diya karti thi aur bas...albatta woh muskuraya aksar karti...jab woh muskurati to uske hont khil jate aur ankhein bheeg jatieN...haaN to main samjhti thi ke Aapa chupki baithi hi rehti hai...zara nahi hilti...aur bin chalay luRhak ker yahan se wahaaN puhanch jati hai...jaisey kisi ne usay dhakail diya ho...uske bar'aks Sahiraa kitnay mazay main chalti thi, jaisey daadrey ki taal per naach rahi hoo...aur apni khala'zad behen Saju Baji ko chalte dekh kar to main kabhi na uktati thi....jee chahta tha ke baji hameesha mayre pas rahey...aur chalti cahlti is tarha gardan moRh ker pancham awaz main kahay..."Hainn jee ! kiun jee ? " aur us ki kaali kaali ankhon ke gooshay muskuranay lagein....Baji ki baat baat mujhey kitni piyaari thi.

    Aapa..................Mumtaz Mufti


    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~
Working...
X