Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Duniya - aik iqtibaas

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Duniya - aik iqtibaas

    DUNIYA


    Yeh duniya bhi ajeeb hai. Sitamkaar, sitam'shuar, sitam'zareef, hanso to roti hai, roney per hansti hai. Ik turfa tamasha hai. Zindon ko charkey lagati hai. Marney walon key liye so so aansu bahati hai aur unkey ayoob-o-naqaais sifat-e-hasna mein badal deti hai. Un key marqad bnati hai aur irdgird sang-e-mar mar ki rangeen aur dil'aawez silein nasb karti hai - mehraab bnati hai, marqadon per phoolon ki chadar bichhati hai. Dastar'khawan bichha do to gidhon ki tarha lapakti hai - noch noch ker khati hai. Pet to bhar jata hai - ji nahin bharta. Koi ahl-e-sarwat ho to uski prastash karti hai. Uski qissah'khawani karti hai aur uski jahiyalat, ilmiyat mein badal deti hai. Ghar khali aur jaib-o-damaan tar tar dekhey to kinta hi shareef-ul-nafs aur qabil ho ussey ahmaq aur bewaqoof jaisey khitabaat sey nawazti hai. Yehi duniya hai jis mein ambiyaa aur aolyaa pedah huwey jinhon ney haqooq Allah aur haqooq-ul-Ebaad ka dars diya aur yehi duniya hai jis mein shaddad, nimrood aur faraoun ney janam liya. Saqrat ko zehar ka pyala kis ney peeney per majboor kiya aur Mansoor ko takhta-e-daar tak kis ney pohanchaya. Isi duniya ney. Jab is duniya ki is raah'ravi ka rona rotey hain to ham bhool jatey hain keh ham hi sey yeh duniya hai aur yeh duniya ham sey.......

    Bazeecha-e-Itfaal hai duniya merey aagey
    hota hai shab-o-roz tamasha merey aagey
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Duniya - aik iqtibaas

    nice sharing :thmbup:

    ye dunya hum sey hai aur hum is dunya sey
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Duniya - aik iqtibaas

      ager yeh sub naa hota tu yeh duniya na hoti.......

      Comment


      • #4
        Re: Duniya - aik iqtibaas

        buhat khoob
        achcha intkhaab hai
        aur shayad duniya inhiiN tazaadaat aur nasheb-o-faraz ki wajah se pur kashish hai
        agar duniya ke tamaam insaanoN ko yaksaaN rahateN naseeb hotiiN to khushi aur gham meN tafreeq namumkin thee
        umeed hasrat ya jadojehad ka bhee vajood na hota
        kitni berang si duniya hoti
        jazboN ke baghair

        Comment

        Working...
        X