i have read dis novel n i think so dat its my fav one novel....so sharing sum paragraphs from there...n if anyone of u read dis novel den do share sum stuff from dat which u lyk da most
"PEER KAMIL main kamliat hoti hae .kamliat en tamam cheezon ka majmoa hae jo aap keh rahy thy.kamil shakhas wo hota hae jo dil sy Allah ki ibadat karta hae,neek aur parsa hota hae.es ki har dua kabool hoti hae es had tak jis had tak Allah chahy es ky ilfaz main taseer hoti hae.wo logon ko hadait bi deta hae magar esy ilham nahain hota,esy wajdan hota hae.wahi otarti haees par,aur wahi kisi aam insan par nahain otarti.siraf PEGANBAR par otarti hae .aik 124000 PEAGANBARON main sy har PEGANBAR kamil tha magar PEER-E-KAMIL wo hae jis par NABOWAT ka silsala khatam kar dia jata hae.
har insan ko zindagi main kabi na kabi PEER-E-KAMIL ki zarorat parti hae .kabi na kabi insani zindagi es moor par aa kar khari hoo jati hae ,jab lagta ky hamary labon aur dil sy nikalny wali duain byasar hoo gai hain.hamary sajdy aur hamary pheely hovy hath REHMATON aur NEMATON ko apni taraf moor nahain pa rahy .youn lagta hae jesy koi taluq tha jo toot gia hae phir admi ka dil chahata hae ,ab es ky liy koi aur hath othayee kisi aur ky lab sy es ki dua Allah tak puhnchain ,koi aur Allah ky samny es ky liy girgrayee,koi esa shakhas jis ki duain kabool hoti hoon ,jis ky labon sy nikalny wali wali iltajain es ky apny lafzon ki tarah wapis na mori jain .phir insan PEER-E-KAMIL ki talash shoro karta hae bhaga phirta hae dunia main kisi esy shakhas ky liy jo kamliat ki kisi na kisi sirhi par khara hoo.
PEER-E-KAMIL ki talash insani zindagi ki irtika sy ab tak jari hae . yeh talash wo khawahish hae jo Allah khod insan ky dil main peda karta hae .insan ky dil main yeh khawahish yeh talash na otari jati to wo PEGANBARON par kabi yakeen na karta .kabi en ki pervi aur ataat karny ki koshish na karta .PEER-E-KAMIL ki yeh talash hi insan ko har zamany main otary jany waly PEGANBARON ki taraf ly jati hae ,phir peganbaron ki mabosiat ka yeh silsala HAZRAT MUHAMMAD(PBUH)ky sath khatam hoo gia .AAP(PBUH) ky baad kisi aur PEER-E-KAMIL ki gunjaish nahain rehti .

Comment