Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mazloom System

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mazloom System

    Pegham ke liyay mairi pahli takhleeq:
    Attached Files
    Last edited by zapk; 19 October 2006, 17:54.
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Mazloom System

    Originally posted by zapk7 View Post
    Pegham ke liyay mairi pahli takhleeq:
    Sorry Inpage format main hai sahih tarah upload nahin hui.Phir try karoon gi.:D
    Chalein ji we are waiting :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Mazloom System

      ^ yeah inshAllah
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Mazloom System

        Originally posted by zapk7 View Post
        Pegham ke liyay mairi pahli takhleeq:
        Sorry Inpage format main hai sahih tarah upload nahin hui.Phir try karoon gi.:D
        We are waiting for ur tehreer jaldi Bhaijain
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Mazloom System

          Assalam-o-alaikum!
          Tahreer hazir hai.Comments dain,take is main se khamion ko nikala jaye.
          Thanks
          Mind Sciences

          Comment

          • #6
            Re: Mazloom System

            mashaALLAH buaht hee behtreen tareer hay bilkul aisa hee hay aur yeh system koi aur nahi hum hain hum sab hain......

            es sary system ka mery nazdeek aik hee Hal hay Taleem aur wo b ..miyari taleem...aik hee kisam ka nisaab ....lakin kahan sy mily ga wo???
            aur i think k es system ko change kerny k liy abi aik Nasal ko qurbani daina pary gee.....humain qurbani daina pary gee....taka hamari ainda naslian humain galian na dain jo abi hum apny jany waly ko dy rahy hian....
            system ka aik hee Hal taleem........takay loag apny aap ko pehchan jain k wo kia hay aur un ka society main kia makam huna chayee...

            again thnks for sharing ur great post in pegham

            Comment

            • #7
              Re: Mazloom System

              Originally posted by Khalil View Post

              Hello World
              Thanks Khalil:salam: .Aur haan tum kahin kabhi mairi class main to nahin rahay?Yeh qurbani wali baat main bhi chand saalon se apni har class se keh rahi hoon.Maira bhi yehi khiyaal hai ke aik puri nasl ko qurbani daina paray gi jabhi hamaray halaat sudhar saktay hain.Bas barish ka pahla qatra himmat karay to phir jal thal hotay dair nahin lagay gi.
              Last edited by zapk; 19 October 2006, 18:53.
              Mind Sciences

              Comment

              • #8

                Khalil aap k comments perhay qurbani ki tak ki baat tu theek hai laikin jo aap nay kaha hai k taleeem hona chahiey tu kia hamaray pass taleem nahien hai aur jo miss nay apnay article main baat ki hai k wahan tu saray perhay likhay log hi shor ker rahay thay system k khilaf...tu kia wo taleem yafta log nahien hain jin main Molana Hazrat ... Students ... aur wo perha likha shakhs jis ko is system ki wajha say nokri nahien mili tu kia un k pass taleem nahien thee I think they r educated personalities....masla yeh hai k ham apnay deen say door ho gay hain ham ko islam samjhna hai aur samjhana hai .... ham main aap ki baat say mutafiq hoon k yeh system ham hi hain aur yeh sara nizam hamara hi bnaya hoowa hai ....aur ham logon ko hi is ko change kerna hai...laikin taleem k zariey say nahien bal k apnay iradon ko mazboot ker k apnay deen ko apnay seenay main bitha ker kiun k yeh dunyawi taleem tu hamaray pass pahlay hi bohot hai ham ko islam seekhna hai .... agar ham sir apnay nafs ko qabooo main ker lain tu bhi is system ki bohot si khrabian dooor ho sakti hain....Jahan tak qurbani ki baat hai tu jab ham apnay nafs ki hi qurbani day dain tu yahi bhot hai...apnay maal aur jaan ki tu baat tab ho gee jab hamara nafs hamaray qaboo main ho ga....bahar haal miss almas zuhra aap ko mubarak ho k aap ki tahreer bohot achi hai ainda bhi koshis kerti rahain Insha Allah aap ki koshashain zaroor rang lain gee
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: Mazloom System

                  :clap: :clap: :clap:

                  Bohat arsey sey mera qalam udaas betha hai, kuchh na likhney ko dil kar raha hai aur na likha jaa raha. Aaj Pegham per yeh tabdeeli dekhney mein mili keh aap ki post nazar sey guzri. Aur what a column! Woh baat jo merey gumaan mein thi woh teri zubaan peh aa gai-wala masla hai.

                  Hamara mulk koi batteries per nahin chal raha - hamarey mulk mein mein system hai aur system sey wabasta har shay mojood hai, qanoon hai, zabtey hain, tareeqey hain, agar kuchh nahin to woh log jo iska paas karein aur yehi baat main aik muddat sey koooooook raha hoon keh Pakistan ko tabahi key dhaney per laaney waley HAM hain - system kharab nahin system chalaney aur usmein chalney waley ghalat hain - muashraa currupt nahin - muashrey ko tashkeel-o-tajdeed deney waley currupt hain, mulk jannat hai magar ahl-e-jannat gunahgaar hain...

                  Main samajhta hoon keh jab insaan aik doosrey ko muward-e-jurram thehraey aur apney garebaan mein jhankna chhorr dey to aisa hi hota hai jo ho raha aur jiski tasweer aap ki kheenchi hai...

                  Mubarakbad qabool kijiyey aik umdah khaka pesh karney per... :rose
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mazloom System

                    بہت شکریہ مسعود بھائی!آپ نے بہت حوصلہ افزائی کی۔سیروں خون بڑھ گیا۔
                    Mind Sciences

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mazloom System

                      Originally posted by zapk7 View Post
                      بہت شکریہ مسعود بھائی!آپ نے بہت حوصلہ افزائی کی۔سیروں خون بڑھ گیا۔

                      Chalein phir kuchh donate kar dein kaafi zaroorat mand hain :p
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mazloom System

                        Originally posted by sccorpion81 View Post
                        Khalil aap k comments perhay qurbani ki tak ki baat tu theek hai laikin jo aap nay kaha hai k taleeem hona chahiey tu kia hamaray pass taleem nahien hai aur jo miss nay apnay article main baat ki hai k wahan tu saray perhay likhay log hi shor ker rahay thay system k khilaf...tu kia wo taleem yafta log nahien hain jin main Molana Hazrat ... Students ... aur wo perha likha shakhs jis ko is system ki wajha say nokri nahien mili tu kia un k pass taleem nahien thee I think they r educated personalities....masla yeh hai k ham apnay deen say door ho gay hain ham ko islam samjhna hai aur samjhana hai .... ham main aap ki baat say mutafiq hoon k yeh system ham hi hain aur yeh sara nizam hamara hi bnaya hoowa hai ....aur ham logon ko hi is ko change kerna hai...laikin taleem k zariey say nahien bal k apnay iradon ko mazboot ker k apnay deen ko apnay seenay main bitha ker kiun k yeh dunyawi taleem tu hamaray pass pahlay hi bohot hai ham ko islam seekhna hai .... agar ham sir apnay nafs ko qabooo main ker lain tu bhi is system ki bohot si khrabian dooor ho sakti hain....Jahan tak qurbani ki baat hai tu jab ham apnay nafs ki hi qurbani day dain tu yahi bhot hai...apnay maal aur jaan ki tu baat tab ho gee jab hamara nafs hamaray qaboo main ho ga....bahar haal miss almas zuhra aap ko mubarak ho k aap ki tahreer bohot achi hai ainda bhi koshis kerti rahain Insha Allah aap ki koshashain zaroor rang lain gee
                        mert khiyal sy educated person pakistan main buhat kaamm hain ....main khudh bcs kia hay aur master ka erada rakhta hun lakin ....main pher b educated nahi samjta wo es liy k jo mujy parhaya gia hay wo kahee bee kaam nahi aaraha hay......pata nahi kitna purana slybus hay ....ab b nine aur tenth class main parhai jany wali computer kee book...os ka istimal main ny aaj tak kaheen nahi dekha..............yehan bus sab degree k chaker main huty hian education k nahi....aur main ny dekha hay k aik maheena parr ker private master loag ker raha hay lakin ELAM naam kee chez hee nahi hay Un main...jabkey main ny dekha hay WEST main jabtak aik stdent apny pass sy koi book na likh ly osy master kee degree nahi milti.....
                        baat to yeh hay k hamara apna abi tak nasab hee nahi...........
                        pehly baat main yeh kahonga k humain aik manfarad nasab aur yaksaan nasab terteeb daina huga....aur os wakat tak degree nahi mily gee jab tak aap ny practical koi kaam ker k dunia ko dekhaya na huga.....

                        aur jo baat aap ny Islam kee kee hay wo to hay hee great aankh band ker k os per amal karna chayee kiun k behtreen zabta e hayat ka name hee islam hay aur os per theek manoo main amal hee hamari her mushkal ka hal hay

                        main aap k sath hun

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mazloom System

                          Originally posted by zapk7 View Post
                          Hello World
                          Thanks Khalil:salam: .Aur haan tum kahin kabhi mairi class main to nahin rahay?Yeh qurbani wali baat main bhi chand saalon se apni har class se keh rahi hoon.Maira bhi yehi khiyaal hai ke aik puri nasl ko qurbani daina paray gi jabhi hamaray halaat sudhar saktay hain.Bas barish ka pahla qatra himmat karay to phir jal thal hotay dair nahin lagay gi.
                          :rose Gee bilkul....................hum aap k sath hain....balky hum esi liy es forum per hain jo os ka sahee maksad hay

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mazloom System

                            Originally posted by Masood View Post
                            Chalein phir kuchh donate kar dein kaafi zaroorat mand hain :p
                            Hello World!
                            Kiya yaad dila diya masood bhai!:embarasse
                            Ab jabke is donation ki ahmiat ka sahih tarah idraak hua hai to ham hi is naik kaam ke liyay na-ahal hogaye hain.Transplant recipients blood donate nahin kar saktay.
                            Zaroorat mandon ko chahiyay hamaray bharosay pe na rahain kahin aur jaga se bandobast kar lain.:D
                            Mind Sciences

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mazloom System

                              Originally posted by Khalil View Post
                              :rose Gee bilkul....................hum aap k sath hain....balky hum esi liy es forum per hain jo os ka sahee maksad hay
                              Mind Sciences

                              Comment

                              Working...
                              X