Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aao ek kaam karaiN...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aao ek kaam karaiN...!!

    :rose
    ----
    Attached Files
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: Aao ek kaam karaiN...!!

    Excelletn baad mein InPage sey reply doon ga :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Aao ek kaam karaiN...!!

      bohat khoob , mazahir bhai ALLAh kary zory biyan aur ziyada kash k hum apni kam ilmi ka aytaraf kark ilam ki justju main lag jaien .min haysul qoom ye ab hum sab ki zamy dari hy aur isi cheez ki wajha se hum sab se peechy rah gay hain .main samjhta hon k pegham .com ka plateforum istimal karty huy ilam ki khch na khuc shmaeen zaroor jala sakty hain ...jazakALLAH ..aap se mazeed is kisam k ilmi mawad ki tawaqu k sath ijazat chaon ga w/salaam aabi
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #4
        Re: Aao ek kaam karaiN...!!

        جی ہاں مظاہر بھائی آپ نے بہت ہی اچھا لکھا اور علم کے بارے میں جو آپ نی حضرت علی کرم اللہ وجہہ کی باتیں لکھی ہیں آن کی تو کیا ہی بات ہے۔
        بیشک علم انبیاء کی میراث ہے اور اللہ تعالٰی کو پہچاننے کا صرف ایک ہی طریقہ ہے اوروہ ہے ہمارا علم اور علم میں وسعتﹺ نظری۔ہمارے ذہنوں میں بہت سارے سوالات اٹکے ہوئے ہیں مگر ہم اپنی لاعلمی کی وجہ سے ہار نہیں مانتے اور کسی سے سوالات نہیں کرتے اور آپ نے ٹھیک کہا ہے کہ سوالات کئے جائیں۔انشاء اللہ تعالٰی اس پر مزید بات ہوگی بھائی مسعود کا جواب پڑھنے کے بعد۔
        ایک بار آپ کا پھر شکریہ ادا کرتا ہوں علم کے بارے میں بہت اچھا مضمون لکھنے پر اللہ تعالٰی آپ کو اور زیادہ لکھنے کی توفیق دے آمین۔

        Comment


        • #5
          Re: Aao ek kaam karaiN...!!

          buhat umda tehreer

          Comment


          • #6
            Re: Aao ek kaam karaiN...!!

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
            :rose
            ----
            Bahut achi soch hai :jazak: Ham aapki sirf taareef nahin karaingay balkeh ta'awun bhi karaingay. Allah aapki taufiqaat main azafa farmay. Aapki batain sunkar dil khush howa warna ham apney bhayon ki guftagoo (in other sites) sunte hain to deil pareshan ho jata hai. Please keep it up and go ahead.

            Well wisher.

            Ali Bhai:rose
            Ali Bhai:rose

            Comment


            • #7
              Re: Aao ek kaam karaiN...!!

              Originally posted by sardar ali View Post
              Bahut achi soch hai :jazak: Ham aapki sirf taareef nahin karaingay balkeh ta'awun bhi karaingay. Allah aapki taufiqaat main azafa farmay. Aapki batain sunkar dil khush howa warna ham apney bhayon ki guftagoo (in other sites) sunte hain to deil pareshan ho jata hai. Please keep it up and go ahead.

              Well wisher.

              Ali Bhai:rose
              aap nay apny ta'wun ka tazkira kia bohot khushi hoi :rose, yaqinan hum sab he aik dosray kay ta'wun say apna Pegham aagay tak pohncha saktay hain, shukria...
              That's Enough...!!

              Comment


              • #8
                Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                aap nay apny ta'wun ka tazkira kia bohot khushi hoi :rose, yaqinan hum sab he aik dosray kay ta'wun say apna Pegham aagay tak pohncha saktay hain, shukria...
                Thanks for quick response.
                Agarche elm aur aghi aik hi cheez hai laiken mera khayal hai keh Aghi, elm se zara sa aagay ki shay hai. Ya'ni agar kisi ko elm hasil karna naseeb na bhi ho to bhi kam az kam aghi hi hasil ho jay. Hamari halat yeh ho gai hai keh elm to bahut door reh gia, hamain ab yeh ehsas bhi na raha keh aik insan honey ke nathe hamain kaise rehna chahiay. Yeh ghurbat, berozgari, jahalat aur 60 saal sey different Govts ke mazalim ye sab kuch ham bardasht kar hi rahe hain aur shayad 10-12 saal aur bhi bardash karney hongay laiken Bhai jaan, yeh nafsa nafsi, yeh aik doosrey se la'taluqi, nafratain aur zara zara si baath par aik doosre ki zindagi khatam karna jaise darenda siffat khoobian jo ham main dar ayi hain yeh na qabil-e-bardasht hain. Ess kaainat ki bunyad mohabbat par rakhi gai hai. Bhala mohabbat ke baghair yahan kaisey guzara ho payga. Yeh sindagi to mohabbt keliay bhi naakafi hai ess main nafraton keliay kahan se waqat nekley ga.

                Agar dushman kisi na-zeba alfaz se nawaze tab bhi zara der keliay soochna chahiay keh kia mujh main yeh kharabi hai? Aur agar hai to door karna chahiay. Waisey to ham kisi gandi cheez ko apney kaprhon par bardasht nahin kartey. Thorha sa aadmi sochey (yeh ess ka musbat pehloo hai) keh a'ateraz karnewaley ne meri rehnumai ki jo mujhey kisi ghalti kitaraf mutawjeh kar dia so uski nieat kuch bhi sahi, mera faida ho gia. Laiken ham to uski tangain torne lagtey hain.

                Baat samajne ki aur aghi ki hai, hamri saari tawajuh aur tago dau paisa hasil karne par hai. Baat yahin tak hoti to itni buri nahin thi, par ham esse har qeemat par hasil karna chahte hain. Yeh barhi kharabi hai. Kuch log ham sab ki knowledge main hain keh woh Allah Ta'ala ke behad piarey the aur hain. Bhala unko yeh paisa Allah ne kiyon nahin dia. Kuch to hai jiski parda dari hai.

                Janab-e-Ameer A.S aik din apna joota muramat kar rahe the, Aik dost ne dekhkar kaha maula ab esski jaan choorh bhi dain, muramat kar kar ke ab ess main kia reh gia hai. Maula ne farmaya, (apna joota dekhatey howay) keh meri nazar main tumhari dunya ki haisiat ess phate howay joote se bhi kam hai.

                Ma'zerat, meri baat bahut lambhi hogai aik verse pesh karta hoon:
                Har chara ghar ko chara gari se guraiz tha
                Warna hamain jo dukh they woh kuch la-dawa na they

                Well wisher,

                Ali Bhi:rose
                Ali Bhai:rose

                Comment


                • #9
                  Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                  main inpage main rely karooooon ga
                  Har-Fun-Moula

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                    Originally posted by sardar ali View Post

                    Ali Bhi:rose
                    :)
                    Attached Files
                    That's Enough...!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                      Originally posted by Hamsafar View Post
                      main inpage main rely karooooon ga
                      Jani inpage main reply kar kay post bhi kardayna warna main sab ko batadonga kay tumharay signature main kia likha hai :wk, main aap kay reply kayleay muntazir-e-hangama-e-farda hoon :rose
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                        aik bohot acha pegham along with nice discussion (Y)

                        just one q.

                        kuch log kehtey hein key "La ilmi bhi aik naymat hai"
                        ye baat kitney had tak sahih hai
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                          Originally posted by barg.e.gul View Post
                          kuch log kehtey hein key "La ilmi bhi aik naymat hai"
                          ye baat kitney had tak sahih hai
                          un kuch logoN main yeh khaksaar bhi shamil hai apnay is jumlay kay saath kay "aqalmandi aik had tak, phir inteha-e-ishq"... isi section main aik thread "Ishq-e-Haqeeqi" hai us main chand batain isi munasbat say ke gai hain..

                          la ilma overall behter nahee albat'ta kuch ma'mlat main achi hoti hai, maslan Allah ki zatiyat par la elmi.... Qaza o Qadar jaisay hasas ma'mlay par la elmi... yani un ma'mlat par la elmi he behtar hai jin say insaan kay behek janay ka khatra ho..
                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aao ek kaam karaiN...!!



                            Asalamoalaikum
                            :masha aur :jazak: bohat hee excellent thread hai :rose
                            parhkar bohat khushi huwee
                            Insanon ko Allah Tabarak Ta'ala ne aik zehan diya hai Humein sochne aur samjhne ki silayat atta ki hai ager hum apne hone ki aur ...apne wajood ki haqeeqat ko sochein to bohat saree batein waziya hojatein hein :rose

                            Umeed hai aap humein issi tarha agey bhi humare ilm mein izzafa karte rahein gey :rose
                            Allah Pak hum sabh ko hidayat karey ke hum uske ilm ki sachey dil se justaju karein Ameen


                            wa'salam
                            If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                            Happy moments, praise Allah.
                            Difficult moments, seek Allah.
                            Quiet moments, worship Allah.
                            Painful moments, trust Allah.
                            Every moment, thank Allah.



                            Comment


                            • #15
                              Re: Aao ek kaam karaiN...!!

                              wow buhat achay dear :D

                              Comment

                              Working...
                              X