Ibn-e-Insha ke "URDU KE AAKHRI KITAB" k mazmoon
"AASMAN" say iqtibas:
"zara nazr utha ker aasma ke taraf dekho kitna ooncha hai yehi waja hai k ager koi is per say giray to bohut choot ati hai..baaz log aasman say girte hain to khajoor main atak jate hain waheen baithay khajoorain khate rehte hain...lekin khajorain bhi to kahin kahin hoti hain..her jaga nahi hotin...
kehte hain pehlay zamanay main aasman itna ooncha nahi hota tha..Ghalib` naam ka shayar jo do soo sal pehlay hua hai...aik jaga kisi say kehta hai....'kia aasman k baraber nahi hun main?'...jun jun chezon ke qeematain oonchi hoti gain..aasman is say batain kerne k liay ooper uthta gya ab na chezon ke qeematain neechay ayin na aasman neechay utera..aik zamanay main aasman per sirf ferishte raha kerte thay phir hma shma janay lagay jo khud nahi ja sakte thay...in ka damagh chala jata tha...ye neechay damagh k baghair he kam chala lete thay.....bari had tak ab bhi yehi soorat hai
pyaray baro!..rah chalte main aasman ke taraf nahi dekhna chahiay ta k thoker na lagay jo zameen ke taraf dekh ker chalta hai usay thoker anhi lagti....."
Comment