Yeh Zameen Khuda Ki Hai ....
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~*~Khuda Ka Qanoon~*~
Collapse
X
-
Re: ~*~Khuda Ka Qanoon~*~
kHuda ki zameen par khuda kay qanoon ki balaadasti kay lye sab se pehlay humein apni zaat kay ander woh qanoon lagoo karnay hongay...un qawaneen ki jhalak bhi humaray ander moojodd nahi hay...hum toh bas pehlay kalima ka bamushkil tarjuma jantay hien woh kya kehta hai aur uskay mani kya hien kabhi samjhnay ki koshish nahi ki...
meri baat karwee lagi gi magar baat woh honi chahiye jo do took ho....beard rakh lenay se , namzein parh lenay se, mathON par mehraab sajaa lenay se emaan aur emaan e haqeeqi kay qawaneen nahi badaltay ...baat hay jab koi ander se badalay apnay dil se...aur apnay dil se emaan lanay kay liye MAKhloot muasharay ko chorna parta hai aur makhloot masharay ki hur soorat ko chorna parta hai aur uski zinda misaal yeh net ki dunia hay....parda karna hai soodi nizam ko chorna hay ...aur hur us chese ki nafee karni hai jo humein quran o sunnat se zayda azeez ho. risq toh khuda na dena hi hay toh kio humn sochtay hien kay sood khanay se hi zayda paisa hasil ho sakta hai....
namood o numaish ...kaha nahi hay?
-
Re: ~*~Khuda Ka Qanoon~*~
:masha bhai aap ny buhat acha likha....
hum b bachpan sy yehi sunty ay hain
Rab kee dherti Rab ka Namaz...
lakin 50 year k baad b abi tak kuch nahi huwa aur na hee huga...
Islam aik mukamal zabta hayat hay mager koi samjy tab naa..
bhai main abi tak khudh hee nahi samja ...aur logon ko kaisy samjonga
aur mujy ksi ny b nahi samjaya....about reallity of Islam...
====================
Hum as pakistan....sab sy pehly to huamin Muslim huna chayee ..pher pakistaniii...kiun k Islam country hadood ko nahi manta...
jab tak apna nahra change nahi kerty kuch hasil huny wala nahi...
""SAB SY PEHLY PAKISTAN""
Lakin hamara to yeh haal hay k hum sab west k pichy baagh rahy hain ..Roshan khialii k chaker main hain
Mujy Umeed hay hamra yehi hal huna hay aik din
KAWA CHALA HUNS KE CHAL APNI B BHOOL GIA.
Comment
-
Re: ~*~Khuda Ka Qanoon~*~
Originally posted by ASADBilkul Theek likha ap ney Masood bhai.... Allah hamary khukmrano ko aqal day....
mujhey nahi samjh aati her baar ham hakoomat ko kyoon blame ker deytey hein?" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: ~*~Khuda Ka Qanoon~*~
Originally posted by ScorpioN_RulzZAllah Malik hai... sab theek hojaiy ga, aap tension mat loo :tasali:
http://www.pegham.net/showthread.php...334#post162334
Comment
-
Re: ~*~Khuda Ka Qanoon~*~
Originally posted by KhalilKoi umeed nHi...brother...Kiun k plz check this..
http://www.pegham.net/showthread.php...334#post162334
ummid rakhna bhi nahee, yaqeen rakho...!! Allama Iqbal ko bhi Yaqeen tha,
nahee hai na'umeed iqbal apni kasht-e-veraaN say
zara nam ho to yeh mitti bohot zarkhaiz hai saqi..
yahaan na'umeedi ka musbat umeed nahee yaqeen hai, kion k umeed khud negative word hai... aur ummid k sath "shart" nahee lagti jaisa k Iqbal nay kaha "zara nam ho to..." yeh yaqeen hai aik "shart" kay sath....
aur is baat ka bhi yaqeen karlo kay "sabar", "aazmaish aur ibtela" main to theek hai magar "zulm" par "Allah Malik hai" kehna bohot baRa zulm hai, quran ki aayat par bhi aur iqbal kay us misray par bhi......
amal say farigh howa muslmaaN kar kay taqdeer ka bahana....!!
bayshak hum amal say farigh loog hain, jo zulm par bhi tadbeer kay bajaiy taqdeer par baat taal daytay hain...!!
That's Enough...!!
Comment
-
Re: ~*~Khuda Ka Qanoon~*~
Originally posted by ScorpioN_RulzZ