Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ghar or ghar k loog

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ghar or ghar k loog

    Assalamlaikum

    aj is topic pay baat kartay hian k ghar k logoo ko apas main kesay ajdust hoo k rehna chaye us waqat jub ghaar main koi naya banda ata hai ....
    naya banda yani ghar main shadi hovi bhabhi ai , ya joint family system main jo jo rehtay hiaan shadeyaa hoo k cousins , mami, chachi jo bhi nay loog atay hian ..etc etc

    aksar ghar walay shuru main ho kush rehtay hian ...bad main foran maslay masaail shuru ....

    yeh maslay masaail kio hotay hian ???? shadi chaye khandaan main hoo ya khandaan k bahir aksar larkeoo ko maslay hotay hian adjust honay main aisa kio hota hai ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: ghar or ghar k loog

    Walaikum Assalaam

    Buhat acha topic hai ya issue keh len,

    Allah Talah ne jis tarah se tamaam logon k aik dosray se mukhtalif paida kiya hai usii tarah un ki soochen bhi aik dosray se mukhtalif hoti hein, jub ke hum ye chahten hein ke har cheez humari soch ke hisaab se ho, bus yahi basic waja hoti hai issues ki....

    Baqi members ki raaye ka intizaar rahe ga

    Comment

    • #3
      Re: ghar or ghar k loog

      Originally posted by Mr.Khan View Post

      acha yeh baat bhi ham sub jantay hain k har insaan ki personality aik dosary say mukhtlif hoti hai ...behan bahoo ki bhi aadatian aik dosary say nahi milti ...phir jub ghar main koi nai bandi aa jaye to is cheez ko itna issue bana lia jata hai k bus ....donoo taraf say ....larki bhi susraley bhi
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: ghar or ghar k loog

        yeh topic lagatay waqat aik larki ki baat zehan main aa gai the ....aik bahi hain or shadi hoo gai ..ub us ki sis samjhti hian k bahi sirf bhabhi ka sath deyta hai ..wo hum say door ho gaya hai ....:--)

        to shadi k bad larkeoo ka apna ki arawwaya hona chaye k baki ghar walye aisa na soouchian ....one sided hona
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: ghar or ghar k loog

          Originally posted by Aanchal View Post

          Ye 2 alag alag baaten aap ne merge kar di hein, jo issues behan bhaiiyon ke aapas me hote hein (kisi third person ke ghar me aane se pehle) woh aik normal issues hote hein, but jo issues third person ke ghar me aane se create hote hein un me difference hota hai, ye 2 aik baaten nahi hein

          Comment

          • #6
            Re: ghar or ghar k loog

            Originally posted by Aanchal View Post
            yeh topic lagatay waqat aik larki ki baat zehan main aa gai the ....aik bahi hain or shadi hoo gai ..ub us ki sis samjhti hian k bahi sirf bhabhi ka sath deyta hai ..wo hum say door ho gaya hai ....:--)

            to shadi k bad larkeoo ka apna ki arawwaya hona chaye k baki ghar walye aisa na soouchian ....one sided hona
            point ko thora mazeed clear karen,

            Comment

            • #7
              Re: ghar or ghar k loog

              Originally posted by Mr.Khan View Post

              point ko thora mazeed clear karen,
              bahi ki shadi hovi ,,biwi ki side zaida leytay hian ghar walaoo ki nisbat ......(aisa behnoo or maa ko lagta hai )
              to aisa kio hota hai ....ya to yeh missunderstanding hoti hai ya waqai main aisa hota hai

              jin ki main baat kar rahi houn un ko ub aisa lagta hai k bahi say koi baat manwani hoo to bhabhi say keh kar manwana parta hai ...
              to aisay faslay a gay hian un k beech :--)
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8

                Ye to phir aap ke bhai ki ghalti hai kyun ke unke behaviour se aap ko aisa lagta hoga ke ab woh aap logon se zyada aap ki bhabi ki side letay hein,

                Comment

                • #9
                  Re: ghar or ghar k loog

                  Wa allaikum salaam Aanchal

                  Good topic aur is sey hamein waqif'kari ki behad zaroorat hai.

                  Hamarey muashrey mein hamesha joint family system raha hai aur kaii gharon mein mein kaii kaii naslein aabad hoti hain.

                  Is mein aik bohat barri kharabi hai! Aik bohat aham nuqta hai ho ham MUSALMAN ho ker bhool jaatey hain aur hamesha sey ignore kartey aaey hain. Woh aham nuqta hai PARDAH. Islami muashrey mein pardey ka bohat sakhti sey hukum hai. Aur mehram/na'mehram ki pehchaan bohat zaroori hai. Joint family system mein yeh pardah khatam ho jata hai!

                  Sab sey pehli baat yeh kahoon ga tumaam ladkiyon ko, keh shaadi sey pehley aap yeh condition rakhein keh shaadi key baad woh apney shohar key saath alag ghar mein rehna chahti hai, to yeh Islami nuqta-e-nazar key ain mutabiq hai. Is mein aap mukamil haq-ba'janib ho aur aap ki is condition ko pura karna shohar per farz hai - MAGAR - aap per WAJIB hai keh aap doosrey muamlaat mein BHI pardah karo!!.

                  Rahi baat yeh keh fasaad shuru ho jaatey hain - to yeh aik fitri amal hai. Jahan bardasht na ho, compromises na ki jaein, chhoti chhoti batein zehar lagney lagein, aik doosrey ko bardasht na kiya jaey etc.

                  Is mein aik aur fact bhi hai keh hamarey puarey gharon mein aik buzurg huwa kartey they, jo ghar key sar'brah kahey jaatey they. Unki baat final samjhi jaati thi. Aaj kal yeh buzurg-status khatam kar diya geya hai. Aur har bandh apni apni karney laga hai. Aisey halaat phir tu tu main main hi pedah karein gey.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: ghar or ghar k loog

                    Originally posted by Mr.Khan View Post

                    Ye to phir aap ke bhai ki ghalti hai kyun ke unke behaviour se aap ko aisa lagta hoga ke ab woh aap logon se zyada aap ki bhabi ki side letay hein,
                    mery bahi ki shadi nahi hovi abhi tuk
                    or dosray walye BAHI hain un ki nahi pata kitni hain :lol:

                    yeh kisi or masla bataya hia :p balkay yeh masla kafi gharoo ka haia :--)

                    aap k mutabiq aik male ki ghalati hai jis ki shadi hovi hai ..or us nay balance nahi rakha ? or aik side pay hoo gaya ...
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: ghar or ghar k loog

                      Originally posted by Masood View Post
                      Wa allaikum salaam Aanchal

                      Good topic aur is sey hamein waqif'kari ki behad zaroorat hai.

                      Hamarey muashrey mein hamesha joint family system raha hai aur kaii gharon mein mein kaii kaii naslein aabad hoti hain.

                      Is mein aik bohat barri kharabi hai! Aik bohat aham nuqta hai ho ham MUSALMAN ho ker bhool jaatey hain aur hamesha sey ignore kartey aaey hain. Woh aham nuqta hai PARDAH. Islami muashrey mein pardey ka bohat sakhti sey hukum hai. Aur mehram/na'mehram ki pehchaan bohat zaroori hai. Joint family system mein yeh pardah khatam ho jata hai!

                      Sab sey pehli baat yeh kahoon ga tumaam ladkiyon ko, keh shaadi sey pehley aap yeh condition rakhein keh shaadi key baad woh apney shohar key saath alag ghar mein rehna chahti hai, to yeh Islami nuqta-e-nazar key ain mutabiq hai. Is mein aap mukamil haq-ba'janib ho aur aap ki is condition ko pura karna shohar per farz hai - MAGAR - aap per WAJIB hai keh aap doosrey muamlaat mein BHI pardah karo!!.

                      Rahi baat yeh keh fasaad shuru ho jaatey hain - to yeh aik fitri amal hai. Jahan bardasht na ho, compromises na ki jaein, chhoti chhoti batein zehar lagney lagein, aik doosrey ko bardasht na kiya jaey etc.

                      Is mein aik aur fact bhi hai keh hamarey puarey gharon mein aik buzurg huwa kartey they, jo ghar key sar'brah kahey jaatey they. Unki baat final samjhi jaati thi. Aaj kal yeh buzurg-status khatam kar diya geya hai. Aur har bandh apni apni karney laga hai. Aisey halaat phir tu tu main main hi pedah karein gey.
                      buzragoo wala system kahi sahi fasilay karta hai kahi nahi ..aksar loog in buzrugoo k fasiloo ki sooli char jatay hian ...yeh to jirga system lagtahia phir ..

                      alug ghar ki baat pehlay say done kar leeni chaye us waqat koi nahi kehta ..laarai jhugray hovey to us waqata yeh fasila lia jata hia ....
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: ghar or ghar k loog

                        اب ہم یہ گھریلو مسئلے بیٹھ کر حل کریں اور سارے کام چھوڑ کر؟
                        نوے فیصد معاملات میں ایک سال تک شوہر بیوی کی زیادہ ہی مانتا ہے وجہ نئی شادی ، لڑکی کا گھر چھوڑ کر اس کا ہونا
                        ایک سال بعد خمار اترتا ہے تو اگر لڑکے کے گھر والے بھی اسے اتنا ہی پیار دیں جتنی نئی آنے والی بیوی تو اس کا جھکاؤ گھر کی جانب یا گھر والوں کی جانب ہوجائے گا ورنہ بیوی کی
                        یہ بھی ہوتا ہے لڑکے والے غریب لڑکی امیر ہوتی ہے بہت جہیز لاتی ہے تب لڑکا زیر بار ہوکر لڑکی سائیڈ لیتا ہے

                        حل-- یہ ہے

                        گھر والے لڑکے سے اچھا سلوک رکھیں غصہ دیکھانے کے بدلے افسوس سے دیکھیں جس سے لڑکے کا ضمیر سوچے گا
                        لڑکی زیادہ امیر مت چنیں نہ بہت حسین ورنہ اوپر والا فارمولہ بھی کارگر نہیں ہوگا
                        ہمیشہ لڑکے کی چائے کھانے کا استعمال خود کریں اور لڑکا واحد کماؤ ہو تو اس کی پسندیدہ چیز پکا کر دیں جس سے وہ آپ کا ہوجائے گا
                        لڑکے کے سامنے بھابھی کو کبھی کچھ مت کہیں ورنہ لڑکا بدظن ہوگا
                        اہم راز بھابھی سے چھپا کر رکھیں ورنہ وہ بھائی کی نظر میں ہیرو اور سمجھدار ہوجائے گئی
                        ہر اہم معاملہ بھائی سے ڈسکس کریں
                        پیسوں کے معاملات کبھی نہیں ڈسکس کریں بس رونا روئے ہائے یہ کیسے ہوگا ویسے کیسے ہوگا
                        ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                        سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                        Comment

                        • #13
                          Re: ghar or ghar k loog

                          بہوئیں
                          Attached Files
                          ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                          سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                          Comment

                          Working...
                          X