Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aurat Ka Muqaddas Roop

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aurat Ka Muqaddas Roop




    MAAN




    Aurat k bahut se roop hain ..... Jin mein muqqadas tareen roop
    " Maan " ka hai.Yeh 3 harfi lafz "Maan"
    ( Meem+alif+noon = 3 haroof) majmoo'a hai 3 khususiyaat ka...
    Meem se .... "Mahabbat"
    Alif se .... "Anmole"
    Noon se ....... "Ne'mat"


    Goya k " Maa'n ki Mahabbat Anmole ne'mat hai."


    Allah Ta'lla nay bhi Qura'n e Karim mein apney bandon se apni mahabbat ki misaal Maan k pyaar sey di hai. Maan ka ta'luq apne bachey k saath oss ki pedaeish se bhi pehle ka hota hai.Maan apney bachey k khyaal mein hi soti jaagti hai.Aur phir hazaron takleefein bardasht karkey , zindzgee mout ki kashmakash se naburd aazmaa ho kar jab apne bachey ko janam deti hai tu oss ka chehra deikhte hi apni harr takleef bhool jati hai.


    Aik dafa aik aadmi Hazrat Mohammad(pbuh) ki khidmat mein hazir hua aur kaha k Ya Rasool Allah ! main naey un-ginnat Hajj kiye hain.aur apni maan ko bhi karwaey hain.Kia main nay apni Maan k sare ahsaan utaar diye hain? Hazrat Mohammad(pbuh) nay farmaya k tou nay tu oss Maan ka oss din ka ahsaan bhi nahi utara jis din ya raat ko oss nay tumhain janam diya.


    Jab yeh nanni c jaan aalam e wajood mein aati hai tu iss k saath hi Maan ki zimadariyon ka aaghaz ho jata hai.Maan bachay ki nurse bhi banti hai aur aaya bhi.Bachay k aaram k liye raat raat bhar jagti hai.Maa'n ki goud bachay ki pehli tarbiyat gah hoti hai. .Dunya k inqalabaat Maaon ki goud mein hi parwarish pate hain...Qoum ka haal-o-mustakbil Maan k faiz se tarteeb pata hai...Qoum ki taqdeer bananay mein Maan ka kirdaar bunyadi hota hai...Maan sarmaya-e-Millat ki muhaafza hai. kyon k harr tamadun k behtareen ausaaf oss ki zaat mein poushida hotay hain.


    "Jannat Maan k qadmon taley hai".....Aik Sahabi naey arz ki k Ya Rasool Allah (SAW) main Ghazwa ka iradah rakhta hon..aur Huzoor (SAW) se mashwara karney hazir hua hon.Hazrat Mohammad(pbuh) naey daryaft kiya k tumhari Maan hai.? Arz kiya ..haiey.App (SAW) naey farmaya k oss ki khidmat mein raho.Jannat osee k qadmon mein hai....

    Amal karke tu deikho Maanki naseehaton par ... Agar tum naey aasman ki Riff'aton ko na chhooaa tu kehna...Agar khataa kar ho tu barho aagey aur pakar lo apne Maan k Qadmon ko ...Tum se sarzadd hui harr ghalati ko muaaf na kar dae tu kehna...Bhool jao Maa'n ki nafrat ko ... Agar tumhari zindagee na sanwar jaey tu kehna...Bool jao Maa'n ki galiyon ko ... Dunya ki thokron se na bashe tu kehna...aur agar kabhi Maan Ghussa karti hai tu bhool jao uss ghussey ko ... Dil-o-damaagh ko sakoon na ponhchey tu kehna...Bool jao Maan ki Bad'duaon ko jo duaein ban kar na lagein tu kehna... Sooo aagey barho aur pakar lo Maan k daaman ko ...Agr tum kaamyab na huey tu kehna...Aur barh k Thaam lo Maan k haathon ko ... Dil ko sakoon aur aankhon ko thandak na ponhchey tu kehna...


    Al-Qissa'e mukhtasar Mugh se poochoo Bin Maan k yeh zindagee Karii dhoop ka safar aur Aaag ka darya hai jis mein se doob k jana hai...Maan jo raat bhar mujhe apni bahon mein sulati thi...Aankhon mein aansoo deikh kar larz jati thi ...jiss k labon k marham se mera har zakhm sil jata tha ...aur ...jis ki aaghoush mein sarr rakh kar mujhe kitnaa sakoon mil jata tha ....jis ke hath abhee Duaa k liye uth bhi na paate thae K mera har azaab tall jataa tha ...


    Iss MAAN KA ANCHAL
    Ab mujh se judaa ho chuka hai
    Abb tu har saans bhi jaise ,Aik saza hai
    Maan k bina mera dil ,Kis qadar tanhaa hai.
    Oss ka Kafan mein lipta badan ,Qabr mein uttartae hue ,
    Mere dil se...Jeene kee har umang , Apne sang le gaya hay.
    Aiy Maan !! Abb bhee t'u Mere khaawobon main atee hay ,
    Udaas lamhoun mein , Mujhe khoob hansaatee hei ,
    Tu iss dunia mein nahee ,
    Magar....... .
    Mere dil mein abb bhee zindaa hay ....
    meri zindzgee ka harr pall , Abb bhi tere sang guzarta hai
    Leikin yon lagta hai jesay abb main iss zindagee se thakk ga hon
    Agar tere bas mein hai tu mujhe apne paas bula le Maa'n...
    Apne Qadmon taley thoree c jagha dae dey Maa'n
    Aur ... aurrr...
    Qabar mein apne saath sulaa le Maa'n.....



    Maa'n ka saya sar par na ho tu roya bhi tu nahi ja sakta naa...Darr lagta hai iss baat ka k kahin Maa'n ki Rooh ko takleef na ponhchey...Aur agar zabt karne ki koshish ki jaey tu Zabt mahaal hai..Yeh tu wohi janey jis ka daman khali ho gya ho Maan ki Duao'n se ...Mahabbat se... shafqat se...aur ...Thndii chhaon se..





  • #2
    Re: Aurat Ka Muqaddas Roop

    سوری اتنی لمبی رومن پڑھنے کا حوصلہ نہیں


    پتہ نہیں کیا لکھا ہے ،خیر جو بھی لکھا ہوگا ماں کے حوالے سے ہے تو اچھا ہی ہوگا۔
    :star1:

    Comment


    • #3
      Re: Aurat Ka Muqaddas Roop

      Maa ki azmat per her mooman imaan rakhta he. Lehaza pyaray buchon ki pyari baatein free time mein perh lon ga
      :thmbup:

      Comment

      Working...
      X