Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

    Asslamalikum

    kahana banatay waqat aap kitni mirchian daltay hain kahanay main ? :D:

    main dalti to kam houn pata nahi kesay zaida hoo jati hain :tauba
    :lol
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

    bas half tea spoon.zeada nahi khate ham mujhe to tez mirch se flue ho jata he:blush:

    Comment


    • #3
      Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

      bahut hi kam mircha khaate hain hum log.....zyaada mirche waala khaana hamare ghar mein koi nahi khaa sakta..aankh..naak..moonh se paani aane lagta hai lolz

      mirchi main bhi bas aadha chamach daalti hono aise roz marre ke khaane mein....

      Comment


      • #4
        Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

        ahan theek...kam mirchoun ko 2 votes mill gay :D:



        lal mirchounoun pay aik acha article hai mery paas bad main share karoun gee inpage pay likh kay :wk
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

          mey bas normal khati hun

          leykin mirchon mey kali mirch aur hari mirch isteymaal kerti hun
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

            kabi pakaya hee nahi etni mehnat aab kon kery

            Comment


            • #7
              Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

              hum b kam mirche khate hai... mirche aise honi chahiye k khane ka mazza b aaye yeh na ho k naak, aankh se paani hi bheta jaaye:lol to phir kam mircho k III 3 vote

              Comment


              • #8
                Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                Main normal hi dalti hoon, meri mum zada mirchi dalti hain. Jab kahney mei mirchi tez ho to ghar walo'n ko samajh aa jata hai khana mei ne nahi banaya mum ne banaya hai.

                Wese bhi kahney mei mirchi jitni kam ho outna hi acha hai, tez mirchi sehat ke liyeh kisi tarah se bhi achi nahi hoti.
                Last edited by 'SamRazi'; 17 January 2006, 13:14.
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                  Meri mum ka bas chaley to khaney mein mirchein na daalein balkey mirchon mein khana daalein :khi: aur mera chhota bhai :tauba bohat tez mirchein khata hai. Jabkey mujhey zara si bhi mirchein pasand nahin aur na hi khaa sakta hoon. Isi liye jab mirchon wala khana bnana ho to 2 dishes banti hain aik merey liye jo pheeki si hoti hai aur aik doosron key liye - jo mirchon wali hoti hai :lpop:
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                    Originally posted by Saima Shaheen
                    tez mirchi sehat ke liyeh kisi tarah se bhi achi hai
                    you mean achhi nahin :zuban: - and I am agree. Haan Kali Mirch bohat achhi hoti hai uska ziyada sey ziyada istimaal hona chahiye.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                      Originally posted by Masood
                      Meri mum ka bas chaley to khaney mein mirchein na daalein balkey mirchon mein khana daalein :khi: aur mera chhota bhai :tauba bohat tez mirchein khata hai. Jabkey mujhey zara si bhi mirchein pasand nahin aur na hi khaa sakta hoon. Isi liye jab mirchon wala khana bnana ho to 2 dishes banti hain aik merey liye jo pheeki si hoti hai aur aik doosron key liye - jo mirchon wali hoti hai :lpop:
                      awwww metlab apk liye phir special khana banta hai,, wooow nawab zade hue phir to aap...:wk lekin bechari apki mom k unhe double kaam karna parta hai

                      Comment


                      • #12
                        Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                        Originally posted by Masood
                        you mean achhi nahin :zuban: - and I am agree. Haan Kali Mirch bohat achhi hoti hai uska ziyada sey ziyada istimaal hona chahiye.

                        Matlab wahi tha , samajh aa gaya na , zada bongian matt mara kero :a stick:
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                          Originally posted by Saima Shaheen
                          Matlab wahi tha , samajh aa gaya na , zada bongian matt mara kero :a stick:
                          ... agar aap pehley hi saheeh likh detin to main aik bongi sey to bach jata na yeh bongi aap key khaatey mein jati hai keh aap ki wajah sey mari hai :zuban:
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                            Originally posted by imsaal
                            awwww metlab apk liye phir special khana banta hai,, wooow nawab zade hue phir to aap...:wk lekin bechari apki mom k unhe double kaam karna parta hai
                            :lol Nawab....kya????? :lol To ghalti kis ki hai mama hi ki hai na keh woh itni mirchein kyun khati hain aur bhai ki keh wohi bhi itni mirchein khatey hain. Ab main ney to wohi khana hai jo main bardasht kar sakoon.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: khanay main mirchian kitni daltay hain ? :p

                              Achha aap ko aik baat btata hoon mirchon sey yaad aai.
                              Aik baar ham log khana khaa rahey they. Chhotey bhai ko pattah nahin kya shrarat soojhi kehney laga: Bhai agar tum yeh sabz mirch (aik kaafi badi sabz mirch thi) khaa jao to main tumhein inaam doon ga. :khi: Main ney kahan ji nahin itna bewaqoof nahin hoon main keh inaam key liye mirch khaa jaon. Pattah nahin kaisey main raazi ho geya khaney ko aur sari sabz mirch khaa di Magar jo merey chehrey ka haal huwa aur jo mera baad mein haal huwa woh main hi jaanta hoon :blush: :blush:

                              Isi liye DON'T TRY THIS AT HOME :lol
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X