Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik recipe chahiye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aik recipe chahiye

    salam alaikum,
    mujhey aik meetha ki recipe chahiye....jo bas 20-30 mins sey ziada cooking na ley :$


    aur aik baat ye key mujhey kheer nahi achi lagti :P

    isi liye koi different aur achi recipe ho ..........plz

    i'll b waiting inshALlah
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: aik recipe chahiye

    sooji ka halwa bata doun ? :eye:

    aaj banaya tha main nay :)

    sooji ..............aik cup
    cheeni.............aik cup (zaida meetha chaye to adha cup or daal daian ...warna 1 cup normal meethay key leye hai )
    ghee...............aik cup
    pani................3 cup
    illachi...............2,3
    tarkeeb..
    deegchi ya karhaai main ghee dalaian.............pher illachi
    pher soouji daal kay bhounian.......souji zaida garam ghee main na dalaian warna jal jaye gee..
    thora bhounian jab halki si surkhi anay alagaye to us main cheeni daal daain..
    2,3 baar chamach chala kar pani daal daian...
    agar rang dalna chaian to thora sa zarday ka rang is main daal daian....aik chutki
    jab pani khushak honay lagay to souji bhi ghari honay lagay to achi taraha chamach chalaian...or halwa ghee chornay lagay to pher utaar daian.............:ghug:

    15-20 min main ready :phool:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: aik recipe chahiye

      zaida jaldi banana hai to french toast bana sakti hoo.........

      shahi tukarey bhi jaldi ban jatay hain

      custrad bhi..

      aik or recipe hai woh bataoun ?:wk lekan woh zara time layti hai :D
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: aik recipe chahiye

        Aanchaaaaaaaaallllll thanks :D

        mujhey halwa bhi nahi pasand .....:(

        tum mujhey custard aur shahi tukrey ki recipe bata do :rose


        thanks larki :phool:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: aik recipe chahiye

          Originally posted by barg.e.gul
          Aanchaaaaaaaaallllll thanks :D

          mujhey halwa bhi nahi pasand .....:(

          tum mujhey custard aur shahi tukrey ki recipe bata do :rose


          thanks larki :phool:
          custard key leye
          pani..........................1 glass
          powder doodh..........3 chamach
          cheeni.......................2 chamach
          custard powder.....................2 chamach
          ilachi
          Tarkeeb..

          aik degchi main aik glass pani daloo..
          pher us main 3 chamach powder doodh mix karoo
          2 chamach cheeni daloo
          2 chamach custard dall
          or ilachi agar pasand hoo to daloo warna rehnay doo
          in sab ko ab pakaoo
          chamach chalati rahoo jab tak boil nahi ata..................
          bas aik 2 boil kay bad custard gharri honi shuru hoo jati hai.chulha band kar daian

          yeh 10 min kay andar ban jaye gee :)



          .............................................
          shahi Tukray main
          double rooti slice wali chaye
          or doodh , ghee, cheeni, ilachi

          Tarkeeb...
          doodh main cheeni or ilachi daal kay boil karain...
          double rooti ko ghee main talaian....kam ghee main talna hain....warna buhat heavy hoo jaian gay or shahi tukray asal main shahi ban jaian gay :lol
          jab brown hoo jaian unhaye to unhay garam doodh main daal daian.....
          woh doodh main dalnay kay bad ghari hoo jaye gee...
          bas yeh kuch karna hai ab isay fridge main reakh doo :D: oo han tumharay paas to pehlay hi baraf par rahi hai bahir hi rehnay hoo khud hi thanda hoo jaye ga :D
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: aik recipe chahiye

            Assalaam o alekum,

            Lekin in donoon mien se ek bhi jaldiiiiii bannien walaa nahin achchaa khaaasaa waqt derqaar hai isse banaanien ko :tang: :tang: :tang: :tang:
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #7
              Re: aik recipe chahiye

              Umm 20 say 30 min sy bhe jaldi ban jayay ge
              freezer sy icecream nikaloo us ky 2 scoop cup main daloo then us per wafers lagao aur us per chocolate syrup dalo
              bas ready
              phir kha lo mazy sy :D:

              Comment


              • #8
                Re: aik recipe chahiye

                Originally posted by Aanchal
                custard key leye
                pani..........................1 glass
                powder doodh..........3 chamach
                cheeni.......................2 chamach
                custard powder.....................2 chamach
                ilachi
                Tarkeeb..

                aik degchi main aik glass pani daloo..
                pher us main 3 chamach powder doodh mix karoo
                2 chamach cheeni daloo
                2 chamach custard dall
                or ilachi agar pasand hoo to daloo warna rehnay doo
                in sab ko ab pakaoo
                chamach chalati rahoo jab tak boil nahi ata..................
                bas aik 2 boil kay bad custard gharri honi shuru hoo jati hai.chulha band kar daian

                yeh 10 min kay andar ban jaye gee :)



                .............................................
                shahi Tukray main
                double rooti slice wali chaye
                or doodh , ghee, cheeni, ilachi

                Tarkeeb...
                doodh main cheeni or ilachi daal kay boil karain...
                double rooti ko ghee main talaian....kam ghee main talna hain....warna buhat heavy hoo jaian gay or shahi tukray asal main shahi ban jaian gay :lol
                jab brown hoo jaian unhaye to unhay garam doodh main daal daian.....
                woh doodh main dalnay kay bad ghari hoo jaye gee...
                bas yeh kuch karna hai ab isay fridge main reakh doo :D: oo han tumharay paas to pehlay hi baraf par rahi hai bahir hi rehnay hoo khud hi thanda hoo jaye ga :D
                zaberdast .....chalo inshAllah kamyaab rahey gi
                shukran larki :rose

                aur mey meyri taraf us din key baad baraf nahi perhi .....bas wo mujh per hi asar andaaz honey key liye perhi thi :lol
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: aik recipe chahiye

                  Originally posted by khurram_shaikh
                  Assalaam o alekum,

                  Lekin in donoon mien se ek bhi jaldiiiiii bannien walaa nahin achchaa khaaasaa waqt derqaar hai isse banaanien ko :tang: :tang: :tang: :tang:
                  no worries mey bohot quick hun :P

                  aur doosra mujhey Aanchal per poora poora bharossa hai :D
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: aik recipe chahiye

                    Originally posted by aik_lerki
                    Umm 20 say 30 min sy bhe jaldi ban jayay ge
                    freezer sy icecream nikaloo us ky 2 scoop cup main daloo then us per wafers lagao aur us per chocolate syrup dalo
                    bas ready
                    phir kha lo mazy sy :D:
                    agar merey liye hota to mey zaroor aeysa kerti ....balkey iss sey bhi ziada asaan hal nikal leyti ... ;)

                    magar ye to is liye hai key u know "mey bhi acha wala meetha bana sakti hun" :D ;)
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: aik recipe chahiye

                      ..Ras Malaai..
                      Gul:rose ji..achi aur jaldi banti hay..mujhay bhi invite kijiye ga.. :lol


                      • 1 cup Powdered Milk
                      • 1 Egg
                      • 1 tsp of Oil
                      • 1/4 tsp Baking Powder


                      • 1 liter of Milk
                      • 6 tbs of Sugar
                      • Seeds of 1 small Illaichi
                      • 1 tbs of (chopped) Pista
                      • 1/2 tsp of Kevera Essence





                      1) Mix together the ingredients into a dough and form into small oval,slightly flattened balls. Meanwhile boil the milk with sugar and illaichi seeds. 2) When the milk starts to boil add the malai balls. When they start to swell up lower the heat and cook for 10 minutes. 3) Just before removing from heat add kevera essence. Garnish with pista.

                      Serving Suggestions: Serve Chilled
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: aik recipe chahiye

                        Originally posted by barg.e.gul
                        agar merey liye hota to mey zaroor aeysa kerti ....balkey iss sey bhi ziada asaan hal nikal leyti ... ;)

                        magar ye to is liye hai key u know "mey bhi acha wala meetha bana sakti hun" :D ;)
                        ohh achaa :khi:
                        chalo phir mai dhondte hon koe aise reciepe jo jaldi say ban jayay :D:

                        Comment


                        • #13
                          Re: aik recipe chahiye

                          Originally posted by hayaa_n
                          ..Ras Malaai..
                          Gul:rose ji..achi aur jaldi banti hay..mujhay bhi invite kijiye ga.. :lol




                          lol haya sure anytime aap ajayein ;)

                          and thanks for recipe mey inshAllah try karun gi :thmbup:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #14
                            Re: aik recipe chahiye

                            Originally posted by aik_lerki
                            ohh achaa :khi:
                            chalo phir mai dhondte hon koe aise reciepe jo jaldi say ban jayay :D:
                            sure :D

                            kal tak dey deyna warna phir late ho jaye ga :)
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15
                              Re: aik recipe chahiye

                              me ko to kuch banana hi nahi atta
                              anyway app jo kuch bhi try karin me ko bhi bola lijye ga jub wo dish ready ho jaye to us say phlay nahi (werna app kay saath me ko help kerni pary gi:P)

                              Comment

                              Working...
                              X