Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

problemsss

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • problemsss

    salam friends
    main aap logon say ek mashwara chahti hoon.
    darasal aaj kal meray deemagh main ajeeb say haiyalat aatey ahin jis ki waja say har waqt ek ajeeb si sir main tension hoti hai to main kis tarah is say chutkara haasil karoon...
    plz helppppppppppp

  • #2
    Re: problemsss

    Originally posted by magnet View Post

    Wa Alaikum Assalam

    Ajiib se khyalat :mm:,if u dont mind then tell k kis baat se related ?:donno:
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: problemsss

      like abhi kuch honay wala hai bura ya is tarah kay dar ek lihaaz say ....main sahi tarah say explain nahi kar pa rahi hoon....

      Comment

      • #4
        Re: problemsss

        Originally posted by magnet View Post
        salam friends

        main aap logon say ek mashwara chahti hoon.

        darasal aaj kal meray deemagh main ajeeb say haiyalat aatey ahin jis ki waja say har waqt ek ajeeb si sir main tension hoti hai to main kis tarah is say chutkara haasil karoon...

        plz helppppppppppp
        Wa salaam

        Khiyalaat insani zindagi ka aik aham juzz hain. Aap key zehan mein khiyalaat aatey hain goya aap ko zindagi mehsoos hoti hai aur aap ko fiker hai keh aaindah kuchh honey wala hai.

        Ab rahi baat burey khiyalaat ki to is per aap sey ziyada behtar koi nahin soch sakta keh aisa kyun hai aur woh kaun sey khiyalaat hain jo aap ko pareshan kartey hain, kya unka aap ki zindagi mein kahin koi amal dakhal hai? Aap key gird'o'jawar mein basney walon sey unka ta'aluq hai? Ya yeh faqat aik waswasa hai, jo aap ko pareshaan kar raha hai??

        Give some time to yourself and ask yourself these questions. Realise, what is happening inside your brain..

        Elawa'azeen aap ba'wuzu raha kijiyey aur Charon Qul ka wird apni zuban per rakhein, kabhi raat key sanatey mein tanhaa beth ker Allah Tala sey dua kijiyey keh aap ko zehni sakoon ata farmaein :). Tanhaii mein beth ker Rab ko yaad karney sey bohat sarey waswasey door ho jatey hain...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: problemsss

          thankyou sooo much..........

          Comment

          • #6
            Re: problemsss

            waalikum asslam

            dear magnat aap student hai working woman hain ya house wife...jo b hain sab se pehlay apnay liye koi masbat masroofiat talash kijiye...faraghat se chutkara payem...it wl do u good :rose
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment

            • #7
              Re: problemsss

              Originally posted by magnet View Post
              salam friends
              main aap logon say ek mashwara chahti hoon.
              darasal aaj kal meray deemagh main ajeeb say haiyalat aatey ahin jis ki waja say har waqt ek ajeeb si sir main tension hoti hai to main kis tarah is say chutkara haasil karoon...
              plz helppppppppppp
              magnet dear,
              insaan keh ander ek der har waqt rehta hai, but its part of life, kuch cases main yeh bhi hota hai keh insaan kissi cheez/soch ko apne ooper sawar ker leta hia keh woh nerves tak ko maflooj ker deti hai, iss ka sab se easy hall yehi hai keh jo preshani aap ko ziada tang kerti hai Darood Shareef perh keh Allah talah se kahain keh yeh preshani meri zahri bardasht se bahir ho rahi hai, aise kissi hadd tak preshani se releif mil jata hai, or doosri baat jo Sarah ne kahi hai woh bhi valid hia keh ager aap keh pass koi activity ho gi to with the passage of time yeh kam hoti jaye gi.

              Comment

              • #8
                Re: problemsss

                Originally posted by magnet View Post
                salam friends
                main aap logon say ek mashwara chahti hoon.
                darasal aaj kal meray deemagh main ajeeb say haiyalat aatey ahin jis ki waja say har waqt ek ajeeb si sir main tension hoti hai to main kis tarah is say chutkara haasil karoon...
                plz helppppppppppp
                Walikum salam
                uppar kafi achey suggestions deye hian sab ne
                aik kaam inn sab ke saath aur kar lijey ke Namaz ada kar ke apney lein sakoon aur KHuda Taala se dua karye apki pareshani dour ho jaeygi InshaAllah

                Comment

                • #9
                  Re: problemsss

                  ji bikul jahan tak mazhab ki baat hai tou tumaaaaaaaaaaaam maahir e nafsiaat n scholar etc ab iss baat pe mutfiq hain k ''namaz aur mustahkam mazhabi aqeeda insaan ko tumam pershaniyon ka shafi hall hai''

                  hamen pata sara hi hota hai bas hum kotahi bar,tay hain aur idhar udhar jaan boojh k hath paon maartay hain...so koshish kijiye k pehli hi baar asal qadam uthayen taa k khwaar na hona parray :rose
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment

                  • #10
                    Re: problemsss

                    Dekhein kitney dost hain jo aap ko uljhan ko door karney mein aap ki help karna chahtey hain....

                    Merey zehan per jab bhi Eshaa sawar honey lagti hai main Lahol-wala-quwata parhta hoon to foran bhaag jati hai 372-haha
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: problemsss

                      Assalamualikum ,
                      is mein hansne ki kia baat hai , khud apni hi baat qahqaha zaar hain . ja , be ja na hansa karein .:)

                      Comment

                      • #12
                        Re: problemsss

                        Originally posted by magnet View Post
                        salam friends
                        main aap logon say ek mashwara chahti hoon.
                        darasal aaj kal meray deemagh main ajeeb say haiyalat aatey ahin jis ki waja say har waqt ek ajeeb si sir main tension hoti hai to main kis tarah is say chutkara haasil karoon...
                        plz helppppppppppp
                        yeh aap ke halath par muhasir hai . aisa dimagh ki besakooni aur neend ki kami ki wjaha se bhi hota hai .oper sab hi ne sahi mashwarey deiye hain likin mere khiyal mein aap ki halath hain .

                        Comment

                        • #13
                          Re: problemsss

                          Originally posted by Masood View Post
                          Dekhein kitney dost hain jo aap ko uljhan ko door karney mein aap ki help karna chahtey hain....

                          Merey zehan per jab bhi Eshaa sawar honey lagti hai main Lahol-wala-quwata parhta hoon to foran bhaag jati hai 372-haha
                          aur jab esha k sath esa hota hoga tou wo aap ko bhaganay k liye kya parhti hongee :ANYWORD7
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment

                          • #14
                            Re: problemsss

                            Originally posted by saraah View Post
                            aur jab esha k sath esa hota hoga tou wo aap ko bhaganay k liye kya parhti hongee :ANYWORD7
                            Haan to hota hai na, jab woh aainah dekhti hain to 2 baar lahol parhti hain keh haey Allah yeh kaun churrail hai :kr:
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: problemsss

                              Originally posted by milestone View Post
                              Assalamualikum ,
                              is mein hansne ki kia baat hai , khud apni hi baat qahqaha zaar hain . ja , be ja na hansa karein .:)
                              Abhi to hansney ka moqa mila hai aur abhi aap hamari hansi per pabandi laga dijiyey
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...