Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

haye rey yeh mangniyan.... :(

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • haye rey yeh mangniyan.... :(

    assalamalikum

    kuch arsa tak balkay ab bhi loog shadi kay ikhrajat ka roona roorat rehtay they ....ab yeh aik naya trend chal nikla hai kay mangni bhi dhoom dhaam say honi chaye ..................:tauba
    main nay aisi mangneoun pay gai houn jahan ja kay ehsah hota hai yeh mangnai nahi koi shadi hoo rahi hai :khi:

    aik mangani pay gai jo kay aisay aisay hi dhoom dhaam say hove ...speciall jorray silaywa gay ...shadi walye hotles main hove ...khoob dhoom dhaam say jesay shadi hoti hai na wesi rasmaian bhi hove , kahana peena , dheer saray loog sab kuch tha ....us ka manganai pay lakhoun main kharach hova ......................donoo aik doosray say baat bhi kartay they phone pay daily ...un kay parents ko itraaz nahi tha kay mangani hoo chuki hai or shadi honay wali hai to baat karnay main koi haraj nahi ...........
    kuch arsa yeh silsila chalta raha or pher...................mangani kisi waja say toot gai .....
    ab doobara us ki mangai ki tayaarian hoo rahi hai kisi or say

    pehli baat to yeh hai kay kia mangni bhi shadi ki taraha honi chaye ?
    kia mangani kay bad larka larki ko aik doosray kay sath zaida baat karna or milna julna sahi hai ?
    magnai toot jaye to kia inssan ki nafseeyat pay is ka kuch asar nahi paartaa ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

    chat mangni pt biya hona chahye........
    aise mangnioN ki shadyaN kesi hongi
    mangni ke baat cheet nahi honi chahye khas kar humare han to bilkul nai hone dete :p
    kaafi asar parta hay nafsyat par.....lekan itna bhi nai
    Allah

    Comment

    • #3
      Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

      maine itna lamba chauRa reply diya aur jab post kiya to koi error aa gaya..saara reply chala gaya..ab dubaara se likhna paRega :(

      Comment

      • #4
        Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

        hamare yahan to chaT mangni paT biyaah ka riwaaj hai..aur kahin kahin to maangni hoti hi nahi..seedhe shadi..mangni ke choonchale baazi mein paRte hi nahi...aur mangni saadgi se hoti hai aur shadi ke just 15 din ya 1 mahine pehle kam aur khaas logon ke darmiyaan ghar pe hi hoti hai ..aajkal dikhaawaa aur competition is qadar high ho gaya hai..har koi show off karna chaahte hai chaahe itni haisiyat bhi na ho....itni dhoomdhaam se log mangni bhi karne lage hain..uff! aur han mangni ke baad hamare yahan bilkul ek doosre se milna julna allowed nahi..pehle to baat bhi karna allowed nahi tha magar things have changed a bit ab agar gharwaale allow karein to larka larki ek doosre se phone pe baat kar lete hain taakeh ek doosre ko behtar taur samajh sake...magni TooTna shadi TooTne se to dardnaak nahi haina.....agar pehle hi ek doosre ko samajh lein..dekh lein kitni compatibility hai to atleast shadi ke baad jo hota hai atleast woh to na ho... khair in sab baaton ke baad main is conclusion pe pahuchi hoon keh....

        1.Mangni bahut saadgi se kam aur khaas logon ke darmiyaan karni chahiye shadi ke kuch arse pehle bas..bahut saalon pehle se mangni tay karke nahi choRhna chahiye kyonki phir agar khuda na khwaasta mangni TooT jaaye to zyaada asar paRta hai zehn-o-dil pe.

        2.mangni ke baad kam se kam baat cheet karna allowed ho phone pe taakeh ek doosre ko theek se samjh sakein aur shadi jaise itne bade faisle se pehle soch samajh lein ke woh dono ek doosre ke liye theek hain ke nahi..risk lene se to behtar hi hai ye....aur han milna julna allowed nahi hona chahiye shadi se pehle.

        3.mangni agar TooT jaaye to zaahir hai nafsiyat pe asar to paRta hi hai magar is cheez ko apne upar haawi nahi hone dena chhaiye..sochna chahiye ke shayad iske peeche Allah ki koi maslehat hogi..agar shadi ho gayi hoti to..?ho sakta hai Allah ne kisi baDi museebat se bachaa liya hai....sabr karna chahiye aur sochna chhaiye e Allah ne kuch behtar aap ke liye soch rakhaa hoga.....

        :rose

        Comment

        • #5
          Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

          Originally posted by shummu

          shummu hamesha copy ker liya karein before hitting submit :D

          :thmbup:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

            1.Mangni bahut saadgi se kam aur khaas logon ke darmiyaan karni chahiye shadi ke kuch arse pehle bas..bahut saalon pehle se mangni tay karke nahi choRhna chahiye kyonki phir agar khuda na khwaasta mangni TooT jaaye to zyaada asar paRta hai zehn-o-dil pe.

            2.mangni ke baad kam se kam baat cheet karna allowed ho phone pe taakeh ek doosre ko theek se samjh sakein aur shadi jaise itne bade faisle se pehle soch samajh lein ke woh dono ek doosre ke liye theek hain ke nahi..risk lene se to behtar hi hai ye....aur han milna julna allowed nahi hona chahiye shadi se pehle.

            3.mangni agar TooT jaaye to zaahir hai nafsiyat pe asar to paRta hi hai magar is cheez ko apne upar haawi nahi hone dena chhaiye..sochna chahiye ke shayad iske peeche Allah ki koi maslehat hogi..agar shadi ho gayi hoti to..?ho sakta hai Allah ne kisi baDi museebat se bachaa liya hai....sabr karna chahiye aur sochna chhaiye e Allah ne kuch behtar aap ke liye soch rakhaa hoga.....
            :thmbup:
            100% agreed

            Comment

            • #7

              aaj kal trend chal nikla hai bas :lol pehlay kam kam aisa hota tha or aaj kal to .........
              main kitnay logoo kay manginiyan deekhi chuki houn toot chuki hain woh bhi zara zara si batoun pay ....aik to bilkul shadi honay wali the shadi ki date fix karnay gay to koi baat hoo gai or toot gai....doosri bachpan say hoo gai the aik larki ki baray hoo kay larkay nay toor di ........aisa lagta hai koi tamasha chal raha hoo aik na sahi doosri sahi ....
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8
                Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

                mangni nahi honi chaey or ager ho to bohat short time me shadi bhi kar deni chaey,coz jitni lambi mangni utni zeada fazool ki baten hoti hen jo dono familes me peda hone lagti hen.or ager mangni toot jaey to sab se zeada aser larki par hi parta he.

                Comment

                • #9
                  Re: haye rey yeh mangniyan.... :(

                  1. as tarah dohoom daham sey mangni nahin honi chahiye.. warnaa jo loog greeb hain
                  agey chal ker jaheez ke tarah yeh bhi un ke liey boohjh ho jay ga
                  2. no way.. ladky aur ladky ko akley ghomnain phrnain aur gup shup ke choti nahin honi
                  chahiya...
                  3. yes pschological effects tu hoty hain ... ziyda nuksan Ladki ka hotaa hai log
                  ausi ke khilaaf batin kertin hain .. aur agher woh mangter ke saath ghotmi thin.. tu
                  phir family waly sub janty hain as liey khandan main next rishta mushkal ho jataa hai

                  so ladkiyon ko specially care kerni chahiya.. mangni ke baad bhi apni limits main rehnaa chaihiye.......
                  Zaid Hammid on Sawat War..
                  A must Watch..

                  Comment

                  Working...
                  X