Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ublay hove chawal .........naye kahana bananay waloun kay ley :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ublay hove chawal .........naye kahana bananay waloun kay ley :)

    assalamalikum

    ham aksar aisi recipes post kartay hain jo un logoo kay leye hoti hain jo kahana banana jantay hian ..ya koi nai cheez try karna chahtay hain ...............lekan ham un becharay logoo ko bhool jatay hain jo first time try kar rehay hotay hian :D: to un logoo kay leye kuch batati rehaye choti choti si recipes jo woh ba-asani bana sakain :rose

    main babatai houn unblay hovey chawaloun ki asaan si recipe...

    aik cup chawal.............
    2 cup pani............(jitnay cup chawal laian gee us say double cup pani daltay hain ..yeh yaad reakhye ga :) )
    aik chamach oil
    aik chamach namak.....namak zaida mat add keye bhar kay thora dalye pher jab chawal boil honay lagtay hain or aap ko kam lagay to mazeed daal sakti hain....


    Tarkeeb..

    aik bartan main 2 cup pani dalye..
    aik chamach oil daleye
    aik cup chawal dalye (chawal aap nay pehlay say takran 10 min bhigoo kay reakhnay hain)
    aik chamach namak dalye....
    jab pani kushak hoo jaye poora to anch bilkul dheemi kar kay dam daian gay ...aik cup chawal kay leye 5,6 min kafi hai ....

    bas aap kay asaan say sada ublaye hovey chawal tayaar hain .........
    yeh bilkul exact andaaza hai aisay banaye aap kay chawal kharab naahi houn gay :D:

    yeh try kejey bad main doosry bataoun gee :wk
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: ublay hove chawal .........naye kahana bananay waloun kay ley :)

    bohat hi shukeriyan app ka mughy banay thay kal chawal wo bhi ubly hovay banay nahi atty thay kahin aur say doonti yahin mil gaye/bhangra:)

    Comment


    • #3
      Re: ublay hove chawal .........naye kahana bananay waloun kay ley :)

      ubley howien chawal istarhan thori hi bantey hain.chawal ubal ker unka pani pheck diya jata hai phir dam per lagaye jaate hain.:pagal:

      Comment

      Working...
      X